guys in this prayer,isme poet ne apne bhagwan ki stuti ki hai
and he is telling that bhagwaan se badhkar pyaar kise kia ja sakta
hai,since this is God only who builds us and loves us
isme poet ne nirakaar(invisible) bramha ke saath eeshwar ke sagun(imaginative) roop ki bhi vandana ki hai
hey prabhu ye samast jad chetan tera hi banaya
teri bhakti se bada pyaar aur kya ki ye sharir tera hi banaya
saare rishte naate tere baad hain
ehsaas ki pehli kiran teri soch ke baad hai
mohabbat bhagwaan se badi kisse koi kare aur kyun kare
eeshwar ki hi satta atal hai iske chahne par hi koi patta hile
hey prabhu hey mere malik tujhse sundar tujhse pyara kaun hai
nahi koi nahi
tere anupam kripa tere asheesh se behtar haath kahan hai
nahi koi nahi
hey prabhu zara hausla zara ilmiyat aur badhate rahna
har shakhs se pyaar se rahun par tum apni oor bulate rahna
mera pyaar kaun hai kya hai tum hi to ho
mere ehsaason ko yun hi roohani banate jana
husn tera hi aisa hai jo husn se bhi badhkar hai
ishk tujhse hai tu ishk se bhi badhkar hai
pyaar tune har taraf bhara
Prabhu mere meri aatma tere noor se ghiri
Pyaar vohi pyaar hai jo tujhse ho
bandagi ka har mukaam teri banadgi se hi to khile
aye parwardigaar aye mere Rab teri kripa tere karam se badha kiska karam hai
teri bhakti se pawan tere naam se pawan ye antarman hai
ye dharti ye aasmaan ye kahkasha ye taaren sab tujhse hain
ye saba ye nadi ye parwat ye ujaalen sab tujhse hain tere hain
meri aakhon me apni bhakti ki chhavi basate jana
tere haathon se hi to ye prithvi ye jal ye vaayu bani hai
kaynaat ke zarre zarre me teri chhavi basi hui hai
mritu ke baad hume tere hi dar hai jana
teri kripa se hi dil me tera hai aana
meri duaon me prathnaon me khud ko basate jana
unhe kubool karte jana mujhe sachhi raah dikhate jana
hey prabhu samast jad chetan ko tune hi to banaya