@kaash
Guest
|
|
|
Jeev roopi prakrati prabhu ki para prakrati hai Anu panchbhoot tatha man,budhhi,ahankaar apara prakrati hai Panchbhoot joki agni,jal,vayu,aakaash,dharti hain Aur aatma budhi,man aur indriyun se upar hai Ye shareer ek sadhan mila hai prabhu ki prapti ke lie Ye aatma aatma me tabhi isthit ho pati parmaatma ki prapti ke lie Parantu prabhu ki maya hamesha hamari aazmayish karti rahti Gyaanendriyan kaan,naak,gala,mukh,netra mile hain aatma ke sadhan banne ke lie Parantu ye gyanendriyun ke vishyun shabd,sparsh,dekhna,sooghna,khane me bhatke hue Iske atirikt jo vikaar kaam,krodh,mad,moh,abhimaan hain ye bhi hamari pareeksha lete rahte Is tarah se maya hume bhatkaye rahti aur ye vikaar hume har vaqt jakde rahte Hum inme bhatak kar inme hi apna sara jeevan laga dete hain Inse hi sukh milna,yehi sukh hai inhe hi jeevan ka maksad bana lete hain Dhan,bal,shakti,aishwarya,samarthya,naam,sampatti ko sarvasva maan lete hain Ye sab au inse jobhi joda humne ant me nasht ho jane hain ye baat hume dhyaan me nahi rahti Hum khud ko karta aur karmfal ko apne adheen samajhne lagte hain Abhimaan,agyaanwash sansarik sukh se sukhi aur dukh se dukhi hote rahte hain Hamara man apni chanchalta ko aur adhik chanchal banata jata hai Naashwaan cheezon me ram apne avinashi tatva aatma se door hota jata hai Is tarah se ye apne prbhu apne parmaatma se bhi door ho jata hai Parantu jis tarah chandrama ki roshni sooraj ki hoti hai Usi tarah se ye saari indriyaan budhhi ka hi kahna maanti hai Aur budhhi gyaan bina achetan ya phir man aur indriyun ke adheen ho jati hai Hum sansaar jo ki anitya hai,asat hai naashwaan hai use sat aur hamesha ke lie maan lete hain Aur aatma joki parmaatma ka ansh hai aur jise sada sarvada rahna hai use shareer se jod lete hain Aur isi vajah se hum sansaar me tatha sansarik vastuon me aasakti,kaamna badhate jate hain Sukh- dukh,maan-apmaan,laabh-hani me usi tarah ki manoisthati rakhne lagte hain Isi tarah hum sambhandhon rishtey,naaton,doston me moh dwara moh badhaye jate hain Parantu sachha moh to upar vale se hota aisa kabhi na jaan pate hain na jana pate hain Srashtikarta ko jaanne ki jagah vyarth ki jaan pehchaan badhane me lag jate hain Usse maan pane ki jagah sansarik maan ke lie krodh,abhimaan ke ghar ho jate hain Aur phir zara si anukool pristhati me sukhi aur pratikool me dukhi hone lagte hain Sadhu-santon ki sangat unki charcha hume aisi lagne lagti hai Jaise is sabse kya hoga asli baaten hi faaltu ki lagne lagti hain Tamaam umr hum sukoon,shanty,sukh,anand baahar talaashte rahte hain Parantu parmanand,paramshanti khud hamare andar hai hum nahi jaan pate hain Aur jab hamare andar prabhu ko jaanne ki utkantha aur bhakti umadti hai To sachhe bhawon tatha santon dwara hume aseem shanty milne lagti hai Gyaanijano se hume isthitpragyata ka mahatva samajh me aata hai Sahaj bhaav se hota ye, iske lie kuch bhi ativishesh nahi kia jata hai Samagra kaarya hume saare karm vaise ke vaise hi karne hote hain Bus kartapan aur karmfal ki ikchha ke bhaav chhorne padte hain Sam ka sidhaant hume isthitpragyata ke nazdeek lata hai Koi bhi kaarya aasakti,kaamna ke lie nahi kia jata hai Ye saari gyanendriyan,indriyan,vishay hume eeshwar me lagane hain Hum karm karte rahen parantu karm aur unke fal eeshwar ke nikat jane ke lie hain Ye maan kar saare vikaaron ko bhool indriyun ko wash me karke eeshwar ka dhyaan karte rahna hai Hum jis bhi naam se upar wale ko yaad kare parantu ye har roz hi karte rahna hai hum chahe jape,dhyaan,vandana,pooja karen,bhakti karen apne bhaav se karte rahen bus sansarik karmon ka dhyey parmaatma,amarta hai itna hi maanna aur sochna hai Na dukh me dukhi na sukhi me sukhi ye sam ka sidhaant hai Isi sidhaant ka palan saari srashti aur swayam eeshwar bhi karta hai
|