Jawani Ki Ibadat --- Rishi

by Rishi Agarwal on January 22, 2010, 07:52:25 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 6089 times)
Rishi Agarwal
Guest
Reply with quote

Allha Pak Ne Har Insan ko Zindagi Ka 1 Dour Bahut Haseen Diya Hai Aur
Who Hai Jawani
Aaj Ham Kahi Bhi Noukri k liye Jia To Har Jagha NawJawan Ka Demand Hai
Office,Call Cnters,Sales Man,Har Jagha Young Man Chahiye

Usi Tarha Allha Tala ko Bhi Jawani ki Ibadat Bahut Zyada Maqbool hai
Is Liye Qayamat k Din Allha Pak Ne 1 Mustakil Sawal Rakha Hai,K Jawani Kaha Khurch ki hai

Aur Jawani Ka 1 Sajda Budhape K 70 Sajdo se Afzal Hai
Q K Jawani me Hamare Sath Khwahishat ,Aur Masrofiayt lagi hai,aur Us Me se Waqt Nikal
Kar Allha ki Itaat karna Allha Ko Bahut Pasand Hai

Jis Tarha ham Jawani me Dunya ki Khoob Mehnat kar rahe hai ke Budhape me Aaram rahega
Usi Tarha Jawani me bhi Allah ki khoob Ibadat kare
Jo Nek Amal Ham Jawani me Kar rahe hai,Budhape me kamzoori ki wajha se Nahi kar pai to Allha Pak
Hame Jawani me Amal karne ki bunyad par,Bhudhape me pora pora sawab Denge...

BE REGULAR TO NAMAZ.. 'And DUVA 4 ALL....ALLAH HAFIS
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tamanna Ibadat Ki by Ravi_Dave in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ibadat Ki Hai... by maya01 in Shayri-E-Dard
IBADAT by md.ayad in Shayari-e-Parastish
ibadat mohabbat ki by Bikrol in Shayri for Khumar -e- Ishq
Lauta do wo Jawani.................Rishi by Rishi Agarwal in Miscellaneous Shayri
Versatile Shayar
Guest
«Reply #1 on: January 22, 2010, 07:54:12 AM »
Reply with quote
Nice One Rishi
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #2 on: January 22, 2010, 07:54:44 AM »
Reply with quote
Nice One Rishi

Thnx VS Ji
Logged
mrZakram
Guest
«Reply #3 on: January 22, 2010, 08:40:26 AM »
Reply with quote
kis khism ki dua karna aap k liye rishi ji..............
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: January 22, 2010, 08:48:29 AM »
Reply with quote
Waah Rishi bade kaam ki baten batai aapne. Kash musalmano ki samajh men aa jaye aur regularly namaz ada karney wale ban jayen aur ek bahut bade azaab se bach jayen.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: January 22, 2010, 09:04:06 AM »
Reply with quote
kis khism ki dua karna aap k liye rishi ji..............

Bahut Bahut Shukriya AKram Ji And DUAA Humare Liye Nahi
Sabhi Ke Liye Mange Aap Ki Sab Mein Bhai Chara Bana Rahe
Mein Ek Hindu Per Mein Her Dharm Mein Belive Karta Hu
Aur Mein Masjid Bhi Jata Hu To Church Bhi To Gurdawara Bhi
Agar yahi Sab Her Insaan Ke Dil Mein Jazbaat Paida Ho Jaye
To Charo Taraf Sakoon Sakoon Hoga
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #6 on: January 22, 2010, 09:06:13 AM »
Reply with quote
Waah Rishi bade kaam ki baten batai aapne. Kash musalmano ki samajh men aa jaye aur regularly namaz ada karney wale ban jayen aur ek bahut bade azaab se bach jayen.

Riyaz Ji Ha Hum Bhi Chahte Hai
Bhai Mushalmano Ko Hi Kyu Her Dharm Ke
Insaan Ko Apne God Ke Samne Mastak Tekana Chahiye
Logged
S.hashmi
Guest
«Reply #7 on: January 22, 2010, 10:28:48 AM »
Reply with quote
Rishi Ji bilkul sahi farmaya apne jawani ki ibadat Allah bahot pasand karte hain
... kain baar aisa hota hai hame baaten pehle pata hoti hain lekin kabhi wo aise waqt par, iss lehze mein saamne aati hai ki sidhe dil pe asar karti hain ........ Aage se main aur iss cheez ka khyaal rakhungi ki duniai cheezon mein jahaan sara din mubtala rahten hain jo ki khuchh dino ke khel se zyada kuchh nahi hai, wahi khuda ki ibaadat ko bhi pure dil se aur regular karun, Jo ek sach hai aur hamesha rehne wala hai......... iss ahsaas ko phir se taza karne ke liye bahot-bahot shukriya..........
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: January 22, 2010, 11:14:43 AM »
Reply with quote
Rishi Ji bilkul sahi farmaya apne jawani ki ibadat Allah bahot pasand karte hain
... kain baar aisa hota hai hame baaten pehle pata hoti hain lekin kabhi wo aise waqt par, iss lehze mein saamne aati hai ki sidhe dil pe asar karti hain ........ Aage se main aur iss cheez ka khyaal rakhungi ki duniai cheezon mein jahaan sara din mubtala rahten hain jo ki khuchh dino ke khel se zyada kuchh nahi hai, wahi khuda ki ibaadat ko bhi pure dil se aur regular karun, Jo ek sach hai aur hamesha rehne wala hai......... iss ahsaas ko phir se taza karne ke liye bahot-bahot shukriya..........

Shukriya Zarra Nawazi Ka Hashmi JI
Aur Aapne Bilkul Sahi Kah Ki Hum Bhul Jate Hai
Bus Do Waqt Hi Sahi Usse Yad Jarrur Kijiye


Rishi
Logged
nameerafatima
Guest
«Reply #9 on: January 22, 2010, 03:51:31 PM »
Reply with quote
salam rashi ji..
apne itni sachayi koot koot ker likhe hai......
her lafz itni achi hum musalan bhi nahi likhre..
khuda apko huzoor k sadqe me hamesha khush rakhe...ameen...
kabe k dar k samne ye dua mangi hai faqt
hatoon me hashr tak daman e mustafa rahe faqt
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #10 on: January 22, 2010, 03:56:35 PM »
Reply with quote
salam rashi ji..
apne itni sachayi koot koot ker likhe hai......
her lafz itni achi hum musalan bhi nahi likhre..
khuda apko huzoor k sadqe me hamesha khush rakhe...ameen...
kabe k dar k samne ye dua mangi hai faqt
hatoon me hashr tak daman e mustafa rahe faqt

Salam Nameera Ji
Bahut Bahut Shukriya Zara Nawaji Ka
Aur Aapki Duaa Ke liye Ameen Nameera JI
Hume To Aap Logo Se HI Ye Sab Shikhane Ko Milta Hai


kabe k dar k samne ye dua mangi hai faqt
hatoon me hashr tak daman e mustafa rahe faqt

Bahut Bahut Shukriya Is duaa Ke liye
Logged
Death Designer
Guest
«Reply #11 on: January 23, 2010, 02:12:35 PM »
Reply with quote
Bahut Hi Khubsurat Likha Hai Jawani Ki Ibadat Ko Aapne Rishi Ji Aapki Her Duaa Allah Ki Mehrbani Se Qabul Ho Jaye Hum Aapke Liye Yahi Duaa Karenge
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #12 on: January 23, 2010, 02:45:23 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya DD Ji Aapki Duaa Mein Asar Ho Jaye Hum Yahi Duaa Karenge Khuda Se
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #13 on: January 23, 2010, 03:25:43 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB "RISHI" JI  Applause  Applause  Applause

BAAT TOH AAP SAHI LIKHI
HAR INSAN KO NAMAZI HONA CHAHIYE
BAS EK BAAT USME ZAROOR HONI CHAHIYE
WOH NAMAZ DIL SE PADE
"KHUDA" KI BARGAH USI KE LIYE KHULI HAI
JO DIL SE DUA MANGE OR
APNI PURI ZINDAGI IBADATGAAH MEIN SHAMIL KARE.....AMEEN......

ZINDAGI MEIN AGAR KOI "NAMAZ" NAHI PADTA TOH WOH KAFIR HAI
 JO "NAMAZ" PADE WOH NAMAZI HAI
BAS "ALLAH" KO YAAD KARO OR APNI ZINDAGI OR NAAM ROSHAN KARO ...AMEEN......

***********************************MUSKAN************************************* Usual Smile  happy3  angel11  icon_flower
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:23:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer