kufr aur swaab

by ranjeet_rp on March 07, 2006, 05:10:22 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3085 times)
ranjeet_rp
Guest
Reply with quote
chand logon ne naam khuda ka leekar
dunia main beej nafraton ke bo daale
hamain lafjon ka gulaam bana daala
insaaniyat ke naksh dho daale
unhonne farmaya unko khuda ne bheja hai
humne unki har baat ko sach maan liya
khud ko hadon ke ander baandh daala
aur logon ko khud se kaat liya
meri najar main ye deenon imaan
sirf jeene ka tarika hai aur kuch bhi nahin
is dunia main kufr aur sawaab
sirf riwaajon ka naam hai aur kuch bhi nahin
ab hamein ye riwaaj parakhne honge
insaaniyat ki us kasauti par
jis kasauti par sab baraabar hon
ek hi kudrat ke banaye huwe
aur jo naye riwaaj bane
unhain banaye sab insaanon ka gulaam
jinhain waqt ke saath badla jaa sake
puri khalkat ki behtari ke liye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KUFR KI BADLEE ...................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2  All »
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #1 on: March 31, 2006, 09:23:09 PM »
Reply with quote
behtareen ranjeet bhai

na baandh khudko riwazoon ki zanzeeron mein
ki tu to woh haathi hai jo ab chhota nahi raha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: April 01, 2006, 02:43:31 PM »
Reply with quote
Bahoot pahle ke waqat mai, kuch logo ne farmaya tha
Insaan rahe insaan, isliye, seemao ko bandhwaya tha
Us waqat ke log, Insaniyat ko mana karty thy
Her ane wale ajanbi ko, bhagwaan mana karty thy

Ho koi bhi majahb, insaniyat ka sabse bara naata tha
Us waqat ke logo ka, apna hi mahtav (impotance) mana jaata tha
Yahin tarika tha unka, her ek ko sahi rasta dikhane ka
Bahoot sanskaari thy wo log aor janty thy, her ek farz nibhane ka!!

Ajj ke yug ne, her cheez ko vayopar banaya hai
Her dhram ke thekedaro ne, insaano ko larraya hai
Kuch hai paise ke bhukhy, kuch hai sata ke bhukhy
Miljul kar mere dost, khuda ko bhi jameen mai milaya hai

Khuda naam hai jaadu ka, jo chahe tum isse kar jao
Chaho to Pooja karo tum, chaho to agg laga jao
Mana ki science ke aggy, khuda ka naam dikhana mushkil hai
Koi bhi udaharn (example) nahi mere pass, phir bhi yah mere dil mai hai!!!
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #3 on: April 02, 2006, 07:51:06 PM »
Reply with quote
pooja ji aap mujhe apna chela bana lijiye

behtareen likhti hai aap
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: April 03, 2006, 04:12:37 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukariyan Izhaar ji!!!

app khud bahoot acha likhty hai,
is tarah se kah kar kayun sharminda karty hai
kalam apni ko, bin rok, zabaat likhne do
jo bhi ayye man mai, her wo baat likhne do.......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: April 26, 2006, 10:15:19 AM »
Reply with quote
Bahoot Acha likha hai Ranjeet And Pooaj Ji Ap Dono Ne,..
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #6 on: July 02, 2006, 03:14:34 PM »
Reply with quote
kaun saa waqt tha wo bahna jab insaan ik insaan tha,
kaun sa waqt tha aisa jab insaan nahin gulaam tha?
kaun sa waqt tha aisa jab aurat naa badnaam huwi?
kaun sa waqt tha aisa jab naa riwajon se pareshaan huwi?

mehnat kash ki kamaai kaa paisa shasak log kha jaate the
baaki jo bach jaata tha pujari use ura jaate the
insaan kaa itihaas darindgi aur lootpaat kaa hai
kudrat ke aage bebas dukhiyon aur laachaar ka hai

jo itihaas ham parhte hain,wo bhi raajaon ka hai
aam logon kaa itihaas,abhi tak likha gaya nahin
kis tarah unhain kaha gaya ki jo bhi tum kamate ho
usmain sab kuch mera hai,tumko kuch bhi mila nahin

tumhari kismat hi hai kharaab,dharm tumhara sewa hai
hamare paas jo paisa hai,so saara mewa mera hai
ham jamin ke maalik hain,hamne isko jeta hai
pet tumhara bhar jaae bas itna hi haq tera hai

saara din kheton main pasina tumhain bahana hai
aur us fasal kaa aadha hissa ham tak tumhain panhuchana hai
aur agar koi dukh aae to hamare paas naa aana hai
chahe karj uthakar jaao,tirath jaake nahana hai

santosh main hi to sukh hai,dunia ye saari maya hai
tum maya dene ko aur ham lene ko aaya hai
haath jor aankhein band rakhkar baat jo meri maanoge
baat hamari maan lo sidhe swarg sidhaaroge

agar kahin galti se tum maaya ke piche jaaoge
kisi aur yoni main phir punarjanma tum paaoge
punya daan kar jaao abhi tab hi sukh tum paaoge
baat hamari nahin maani to piche phir pachtaaoge

wo dharmi hai woh adharmi,wo brahman, woh shudra hai
wo malech hai,woh hai kafir,ek nahi sab anek hain
uske saath mat baitho aur uske saath naa shadi karo
inhonne hi philaya ye saara dwesh hai

bahna jaag aur jara dekh,gyan kaa ab yug aaya hai
insaaniyat ke is dharam main ab naa koi paraya hai
waqt jaldi hi aaega jab sab farak mit jaayenge
andhon ko jab aankh milegi,soye huwe jaag jayenge

hamare dil main jo accha hai wahin to bas bhagwaan hai
aur jo bhi kuch bura hai wahin to bas shaitaan hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: July 03, 2006, 10:22:35 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Ranjeet Bhai Lage Raho,..
Keep It Up,.
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #8 on: July 04, 2006, 12:18:30 PM »
Reply with quote
thanx,waise bhaiya jyaada mat chrhao,kahin meri pitaai na ho jaae.............he he he
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #9 on: July 04, 2006, 12:27:43 PM »
Reply with quote
Ranjeet

Bahut achcha likha hai aap ne !

Aur bhai pitai kyun hogi...Police chakkar lagati rehti hai yahan  :D

Aman shaanti hai yahan. Aap dil khol kar likhiye.

Rajbir
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 06, 2006, 11:45:22 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjeet_rp"
thanx,waise bhaiya jyaada mat chrhao,kahin meri pitaai na ho jaae.............he he he


Are Bhai Pitaai Kyun Hogi Tumhari,..
Tumhe To Phoolon Ki Maala Pehnaani Hai,..
Jo Tum Likhte Ho Bahoot Acha Likhte Ho,..
Lage Raho,.
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #11 on: July 06, 2006, 02:02:38 PM »
Reply with quote
bhaiya main isliye darta hoon kyonki sach bolne waalon ki hamesha pitaai hi hoti hai,tabhi to surjit pattar ne kaha hai ki-------

inna wi sach naa bol ki kalla rah jaayen
do ku bande chad de modha den layee

meaning:itna bhi sach mat bolo ki akele rah jaao
do aadmi chod do kandha dene ko

SACH KI YE DUNIA DUSHMAN HAI
AB SACH KAHNE SE DARTA HOON
YE KHWAB BHI TO SAB JHOOTH HI HAIN
KYA KAHOON MAIN IN HAALATON MAIN
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: July 06, 2006, 02:09:46 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjeet_rp"
bhaiya main isliye darta hoon kyonki sach bolne waalon ki hamesha pitaai hi hoti hai,tabhi to surjit pattar ne kaha hai ki-------

inna wi sach naa bol ki kalla rah jaayen
do ku bande chad de modha den layee

meaning:itna bhi sach mat bolo ki akele rah jaao
do aadmi chod do kandha dene ko

SACH KI YE DUNIA DUSHMAN HAI
AB SACH KAHNE SE DARTA HOON
YE KHWAB BHI TO SAB JHOOTH HI HAIN
KYA KAHOON MAIN IN HAALATON MAIN


Bahoot Khoob,..

Yaar Hamesha Sacchai Ki Jeet Hoti Aayi Hai,..
Gandhi Ji Iske Misaal Hai,..
Unhone Sach Ka Saath Diya,..
Unhe Goli Lagi,..
Aur Wo Amar Hogaye,..
Har Haal Mein Sacha Ka Saath Dena Chahiye,..

Hota Aaya Hai Ye Sadion Se,..
Sachaai Ki Jeet Aur Jhoot Ki Haar Hai,..
Jo Sachaai Ka Saath De Uske Angan Mein Bahaar Hai,..

____________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: August 20, 2006, 08:26:34 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai Ranjeet ji app bahoot hi kam likhte hai, magar her baar kamal ka likhte hai.....

Lil bro as usal gr88 job!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: August 23, 2006, 08:40:44 AM »
Reply with quote
Shukriya Didi,..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:25:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer