maa tu kuch din aur na jati

by mohsin akhter on March 27, 2006, 10:20:11 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3853 times)
mohsin akhter
Guest
Reply with quote
Maa tu kuch din aur na jati
main nahi kahta bahu hai kahti
Maa tu kuch din aur na jati
kahte pote natee hai
maa tu kuch din aur na jati
Jis gayya ko deti thi roti
ghar ke aage roj rambhati
maa tu kuch din aur na jati
raato ko jab main sota hoon
lori teri yaad hai aati
maa tu kuch din aur na jati
aangan soona tulsi sooni
garm hawayen aati jaati
maa tu kuch din aur na jati
sayad tujhko yaad nahi tha
mera woh rato ko jagna
teri god main sar rakh kar
rona aur bilakhna
dil ki chahat roj jagati
maa tu kuch din aur na jati
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khud mai simat jati hu by Pooja in Miscellaneous Shayri
SHAYARI BAN JATI HAI by heart_part in Shayri for Khumar -e- Ishq
ruh taras jati hai by punjabiroop in Shayri-E-Dard
so jati hai shaam by samnoj in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Khamosi bahut kuch keh jati hai. by ishu_singh10 in Share: Poetry of Pain
nikki
Guest
«Reply #1 on: March 27, 2006, 10:33:31 AM »
Reply with quote
toooo gud Mohsin ji...
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #2 on: March 27, 2006, 12:23:04 PM »
Reply with quote
bahut bahut sukriya nikki ji hamari mahfil main tasreef lane ko magar koi nagma to sunao mere mahkhane ko
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #3 on: March 29, 2006, 01:20:42 PM »
Reply with quote
kya jaroorat kya mohabbat kya thi chahat ki batein
kash tu kuch din aur rukti MAA tujhko har baat batatein


intjaar main ek dost
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: April 01, 2006, 02:47:17 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob!!

Maa kabhi kahi nahi jaya karati hai
wo to tan chorty waqat, man mai bas jaya karty hai
rahti hai wo dil ke ander
her baat ander se bataya karati hai

Maa kabhi kahi nahi jaya karty hai
wo to bacho ke man mai bas jaaya karty hai
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #5 on: April 03, 2006, 01:30:36 PM »
Reply with quote
skriya pooja ji apka meri mahfil main tasreef lane ka


bahut waqt se soch raha tha ki aap bhi meri mahfil main aye aur aapne meri hasrat poori kar di


aapka tahe dil se sukriya ada karta hoon
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #6 on: August 05, 2006, 04:19:06 AM »
Reply with quote
is duniya me kahi koi apna nahi milta
maa ke siwa kisi se falsafa nahi milta
u hi gujar jati hai jindagi mere dosto
magar maa se achcha dost kahin nahi milta
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: August 25, 2006, 06:11:37 AM »
Reply with quote
sahi kaha MK ji.....

Maa se bad kar payaar na dega koi
maa se bad kar maafi ne dega koi
bin sawarth ke bas seva wo karati rahti hai
bin kisi aass ke payaar wo karati rahti hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 31, 2006, 07:57:27 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Mohsin Bhai And Pooja Didi,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: August 31, 2006, 08:05:50 AM »
Reply with quote

    Maa ,..

Aisi Cheez Hai Maa Jo Kasht Uthaati Hai Phir Bhi Apne Bacche KO Aaraam Deti Hai,..
Milegi Duniya Mein Mohabbat Hume Magar Duniya Kahan Maa Ki Mamta Deti Hai,..

Kadar Na Jaani Maine Maa Ki Aaj Bhatak Raha Hoon Uski Mohabbat Ke Liye,..
Deti Hai Duniya Bhi Har Kisi Ko Mohabbat Yaaron To Bas Daulat Ke Liye,..

Maa Se Bardkar Is Duniya Mein Aur KOi Khazaana Nahi,..
Jisne Maa Ka Dil  Dukhaaya Ho Uska To Narg Mein Bhi Theekaana Nahi,..

___________________________-Azeem-_________________________
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: September 08, 2006, 06:16:13 PM »
Reply with quote
superbb Pooja sis Jaanasheen n MK ji...

maa se bhad kar koi pyar nahi karta bachon se
maa to mar kar bhi amar ho jaya karti hai
kabhi apne dil se pooch kar dekho
jab bhi zaroorat hoti hai madad ki
chahe haqeeqat mein aa na sake paas tumhare
sapno mein hi aakar samasya suljhaya karti hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: September 09, 2006, 11:08:27 AM »
Reply with quote
Shukriya Nikki Sis,.

Logged
rohit_or_love
Guest
«Reply #12 on: September 17, 2006, 10:23:31 AM »
Reply with quote
maangi thi ek dua kabul naa hoo saki,
chaahat thi hume sukun ki wo bhi na mil saki,

tere dar per aa gae thy hum felake apne hatho ko,
malum netha hume khdaa bhi humse khefaa hooga.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: September 18, 2006, 10:37:32 AM »
Reply with quote
Great Yaar,..
Keep Going
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #14 on: November 14, 2006, 03:18:53 PM »
Reply with quote
bahut khoob keep it up
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:12:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer