Frnds,
i am writing this poem wid havin a thought that
every religion almost tells the same things to us.
i would also like to say that i wrote it after
being inspired by one of the line of a
poem of Iqbal ji and that is
Mazhab nahi sikhata apsa me bair rakhna
i would like to dedicate this poem
to Allama Iqbaal ji n to all
ummeed hain aap is kalaam is kavita ko
pasand karenge
mazhab sabhi ka ek jaisa aur satya ki raah hi dikhata hai
har taraf ujaala nahi kahin andhera hume batata hai
khud me bharosa rakhen zindagi ka har pal jeeyen
vaani me madhurta shaanti ka sthaan hriday rakhen
dua ho ya praathna prayer ho ya keertan
bandagi sirf bandagi dekhti jo hai wandan
yehi praathnaayen hain jinse rooh uparvale se mili rahti
duaen sabke lie karna badi se zyada baat achhi hoti
Allah kahen Raam kahen ya phir Jesus kahen
zaroori hai apne eeshwar ko hum dil se mahsus kar saken
unka anukaran unke hisaab se chal saken
andheren kahin nahi bus itna samajh saken
har insaan barabar hai ye khud ko kah saken
pratipal hum is baat ko hriday me dharan kar saken
khud ka dil dukhe par doosre ka na dukhne paaye
yehi to saar hai jisse aadmi insaan ka darza paaye
saare insaan akhir to usi uparwale ne banaye hai
badi shiddat se usne aadmi me dil banaye hain
ninda se bachen dil me sabke lie sneha rakhen
chori jhooth dambh ke changul se mukt rahen
jeevan amar na tha kisi ka na hamara hi rahega
hamare baad hamara zikr magar phir bhi rahega
mushkilon se na daren jeevan jeet hai ye samjhen
khud pe bharosa rakhen khudi ko bahotkuch samjhen
uparwala apne bandon ko haste dekh muskurata hai
mazhab sabhi ka ek jaisa aur satya ki raah dikhata hai