-:"Milad-e-Nabi"{SAWS}

by Jaanasheen on April 07, 2006, 01:39:12 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 7914 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Dekho Aaye Hamare Nabi Mohammed{SAWS}

Chamak Utha Suraj Unke Dum Se,..
Chal Rahi Hai Duniya Unke Karam Se,..
Aise Hain Hamare Nabi Mohammed{SAWS},.

Wo Hain Rahmath-Ul-Alameen,..
Unka Hai Asmaan Aur Zameen,..

Unke Liye Bani Hain Ye Nadiaan,..
Tadpi Hai Unke Noor Ko Ye Duniyaan,..

Unke Dum Se Hain Hum Sab Saare,..
Unse Roshan Hain Sab Taare,..

Dekh Unhe Chand Bhi Sharmaaye,..
Unhe Dekh Shaitaan Ghabraaye,..

Laaye Quraan Ka Wo Ujaala,..
Jis se Roshan Duniya Ko Kar Daala.,..

Jinke Ek Ishaare Ne Chand Ke Tukde Banaye,..
Jinki Ek Aah Se Farishton Ne Parr Bichaaye,..

Jinki Ummath Mein Aane Ko Nabion Ne Bhi Tarsa,..
Jinke Chehre Par Noor-e-Khuda Hai Jo Barsa,..

Naa Aaya Hai Aur Na Koi Aayega Inke Jaisa Is Zamaane Mein,..
Jinhone Sab Kuch Qurbaan Kar Diya Deen-e Islam Phailaane Mein,..
Aise Hain Hamare Nabi Mohammed {SAWS}

__________________-Azeem-____________________

Quote
Doston Pehli Baar Mohammed{SAWS} Ke Shaan Mein Kuch Likha Hoon,..Agar Mere Koi Alfaaz Galat Ho To Please Mujhe Maaf Kar Dena Aur Sab Ke Liye Dua Karna,..


Mere Janeeb SE Sab Ko Milad-e-Nabi{SAWS}  Mubarak Ho,..[/quote][/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Milad-un-Nabi {SAWAS} Mubarak Ho,. by Azeem Azaad in Occassion Specific Poetry « 1 2  All »
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
Nabi {SAWS} Ke Karam Ka Karoon Kaise Shukr Adaa,. by Azeem Azaad in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 07, 2006, 01:59:21 PM »
Reply with quote
As Salam Walaikum Doston,..

Monday 10 April Ko Mohammed {SAWS} Ka Janam Din Hai,..
Aise Hain Hamare Nabi Jinhone Sab Kuch Islam Ke Naam Par Loota Diya,..
Aur Hum Aise Hain Ke Unki Sunnathon Ko Kuchal Rahein Hai,..
Ye Meri ILTIJAA Hai Sab Musalmaan Bhaion Se Ke Wo Mohammed{SAWS} Ka Dard Apne Dilon Mein Laayein Aur Unki Sunnathon Par Aamaal Kare,..
Mohammed{SAWS} Aise Hain Jinki Tareef Koi Nahi Kar Sakta,.
Gar Karega Bhi To Kam Hai,..
Wo Aise The Jinpar Pathar Barsaye Gaye,.Aur Unhone Sab Saha Aur Apne Haath Uthaa Kar Sab Ke Liye Hidyath Maangi,..
Socho" Jinke Sadke mein Ye Duniya Chal Rahi Hai,.Aaj Hum Unke Hi Naam-o-Nishaan Mitaa Rahe Hain,..
Jinhone Apni Saari Zindagi Ummath Ke Dard Mein Kaat Di,..Unko Hum Bhoola Baithe Hain,.
Doston Itni Badi Khurbaani To Hum de nahi Sakte,..
Magar Unke Bataye Hue Raste Par To Chal Sakte Hain,..
Isliye Kehta Hoon Darood Ko Kasrat SE Pardha Karo,..
Jo Insaan Darood Pardta Hai Wo Mohammed{SAWS} ke Kareeb Ho jaata Hai,..
Aur Unki Sunnaton Ko Apni Zindagi Mein Laane Ki Koshish Karo,..
Aur Namaz Pardhte Raho,..
Allah Tala Mujhe Aur Apko Sahi Deen Par Chalne Ki Hidayat Dein,..{Ameen}
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2006, 06:01:00 AM »
Reply with quote
walaykum assalam mere bhai

toone sabke dil ki chahat poori kar di hai

ab mujhe ummeed ho gai hai ki sarkar ki shaan ke bina koi mahfil poori nahi hai
kosis karoonga ki main bhi kuch likhu
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 08, 2006, 03:10:59 PM »
Reply with quote
Bhai Unki Shaan Mein Hum Jitna Likhein Wo Kam hai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 10, 2006, 10:24:13 AM »
Reply with quote
Na Aaya Hai Aur Naa Ayega Mere Nabi Ke Jaisa,..
Jisne Apna Sab Kuch Loota Diya Islaam Ke Liye,.
Kahin Bhii Dhoond Lo Tum Nahi Paaoge In Ke Jaisa,..
Jisne Apne Nawason Ko Qurbaan Kar Diya Imaan Ke Liye,..
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #5 on: April 10, 2006, 01:05:39 PM »
Reply with quote
subahanallah


nate mustafa jab bhi koi gungunata hai
ars par faristo ka dil bhi jhoom jata hai
nate mustafa jab bhi.........................

jo hum sab ka pyara hai
jo khuda ka dulara hai
baat chale jab uski asman muskurata hai
nate mustafa jab bhi koi gungunata hai
ars par faristo ka dil bhi jhoom jata hai
nate mustafa jab bhi........................


janasheen bhai ye nazm sarkar ki shaan me hai
agar koi khata ho jaye t muaaf karna
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 12, 2006, 05:51:12 AM »
Reply with quote
Subhan Allah,..Bahot Acche Bhai,..

bhai Ghar Mein Sab Se Darood Kasrat Se Pardhne Ko kehna,..
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #7 on: April 12, 2006, 01:20:33 PM »
Reply with quote
jaroor mere bhai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: April 12, 2006, 03:06:44 PM »
Reply with quote
WS!!

Mosin and JShenn app dono ne hi bahoot acha likha hai!!!
Logged
Karan.sri
Guest
«Reply #9 on: April 13, 2006, 09:14:54 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Na Aaya Hai Aur Naa Ayega Mere Nabi Ke Jaisa,..
Jisne Apna Sab Kuch Loota Diya Islaam Ke Liye,.
Kahin Bhii Dhoond Lo Tum Nahi Paaoge In Ke Jaisa,..
Jisne Apne Nawason Ko Qurbaan Kar Diya Imaan Ke Liye,..


Salaam Walay kum, bhaijaan!

Jyada shayri nahi aati hume, isliye prose me likh rahe hain..........saari duniya dekh li hay kya apne jo itna bara judgmenet suna diya? Sarkar ne to apne nawason ko kurban kar diya Imaan Ki liye par Guru Gobind Singh ne apne char jawaan larke qurbaan kar diye imaan ki liye.........aur kitni badardi se mara tha un massum bachho ko islaam ke manne walo ne, ye duniya janti hay..........isliye kripa karke aisa kuch nahi likhe jisse doosro ko dukh pahuche...........

Thank you,

God bless!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: April 13, 2006, 02:35:08 PM »
Reply with quote
Karan,

Apne jo last line likhi hai, agar app khud uss per amal karty to yah sab na likhty!!!

Her dharm mai her tarah ke log paaye jaaty hai kayun ki wo sare insaan pahle hai!!!

Jahan per her dharm mai logo ne apne logo ka tayaag kiya hai, wahin per kuch galat logo ne bhi atyaachar kiya hai. aor yah her dharm aor majhab mai hua hai.

Aggy se likhne se pahle, please is baat per sochna, phir kuch likhna, yahan per sabko ek jaisa haq hai ki wo apne vishwaas ko apne shabdo mai bayaan kare.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 13, 2006, 02:40:47 PM »
Reply with quote
Main Tumhari Is Bat Se Raazi Hoon Pooja Ji,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 13, 2006, 02:46:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "Karan.sri"
Quote from: "Jaanasheen"
Na Aaya Hai Aur Naa Ayega Mere Nabi Ke Jaisa,..
Jisne Apna Sab Kuch Loota Diya Islaam Ke Liye,.
Kahin Bhii Dhoond Lo Tum Nahi Paaoge In Ke Jaisa,..
Jisne Apne Nawason Ko Qurbaan Kar Diya Imaan Ke Liye,..


Salaam Walay kum, bhaijaan!

Jyada shayri nahi aati hume, isliye prose me likh rahe hain..........saari duniya dekh li hay kya apne jo itna bara judgmenet suna diya? Sarkar ne to apne nawason ko kurban kar diya Imaan Ki liye par Guru Gobind Singh ne apne char jawaan larke qurbaan kar diye imaan ki liye.........aur kitni badardi se mara tha un massum bachho ko islaam ke manne walo ne, ye duniya janti hay..........isliye kripa karke aisa kuch nahi likhe jisse doosro ko dukh pahuche...........

Thank you,

God bless!


Satsriyaakal,..

Dekh Bhai Jahan Phool Khilta Hai,..
Wahan Kaante Bhi Hote Hain,..
Ye Jo Tune Kahan Ke Islaam Walon Ne Jaan Li,..
Pata Hai Tujhe Ke Islam Mein Jaan Ka Badla Jaan Hai,..
Gar Us waqt Main Hota To Unhe Khatal Karta,..
Magar Tune Ye Jo Islaam Walon Kaha Hai,..
Us Mein Main Bhi aata Hoon
Gali Dena Hai To Unko De Jisne Unko Marra,..
Unko Mat De Jo Us Paak Zaat Islam Ko Mante Hain,,..
Aur Humne Yahan Kisi SE Lardne Ki Baat Hi Nahi Ki.,..
To Phir Kyun Tu Bhardka,..Khair Allah Tujhe Neak Hidayat De,..

Ok Bye,..
Ayinda aise Baton Par Discuss Mat Kar,..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: April 13, 2006, 08:24:36 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Karan,

Apne jo last line likhi hai, agar app khud uss per amal karty to yah sab na likhty!!!

Her dharm mai her tarah ke log paaye jaaty hai kayun ki wo sare insaan pahle hai!!!

Jahan per her dharm mai logo ne apne logo ka tayaag kiya hai, wahin per kuch galat logo ne bhi atyaachar kiya hai. aor yah her dharm aor majhab mai hua hai.

Aggy se likhne se pahle, please is baat per sochna, phir kuch likhna, yahan per sabko ek jaisa haq hai ki wo apne vishwaas ko apne shabdo mai bayaan kare.


hmmmmmmmmm   bahot  sahi  kaha  aap  ne  sis.........  :lol:  100  % true...............:lol:
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: April 14, 2006, 10:42:58 AM »
Reply with quote
Lakhon Mein Ek Hain Hamare Nabi,..
Unke Aane Ki Khushi Mein Saara Kainaath Jhoom Utha,..
Unke Rehmath Se Hi Aaj Ye Duniya Chal rahi Hai,..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:31:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer