Mohammad Mustafa ke aastaN tak baat jaa pahuNchi.

by Ghulam Haider on July 02, 2010, 10:58:05 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5397 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Suroor e dil kaheN kya kya kahaN tak baat ja pahoNchi.
Huva Ishq e nihaN zaahir bayaN tak baat ja pahoNchi.

Munavvar ho gaya dil noor e khursheed e risaalat se,
UThe jazbaat dil meN or zubaN tak baat ja pahoNchi.

Abhi ham tazkirah kar hi rahe the shaan e Ahmad ka,
Hamaari qudsiyoN ke darmiyaN tak baat ja pahoNchi.

Malaaik, Hoor o ghilmaN jhoomte haiN vajd meN aa kar,
ZameeN se chalte chalte aasmaN tak baat ja pahoNchi.

Nabi ke zikr meN shaamil nabi ki aal hai logo !
LikheN kya kya fazaail ham kahaN tak baat ja pahoNchi.

Haqeeqat meN haqeeqat noor ki bas noor hi jaane,
Fazeelat ki khudaa e mehrbaaN tak baat ja pahoNchi.

MuraadeN kyoN na hoN poori umeedeN kyoN na bar aayeN,
Mohammad Mustafa (S.A.) ke aastaN tak baat ja pahoNchi.

Jo mushkil thi wo mushkil meN paRi hal ho gaye uqde,
Dar e mushkil kushaa e do jahaN tak baat ja pahoNchi.

Jalega dil munaafiq ka to dil momin ka khush hoga,
Qalam ne jo likhi saare jahaN tak baat ja pahoNchi.

Sanaa khwan e Mohammad (S.A.) hai kalaam e kibriya haider,
PaRho QuraaN ke bahr e be karaN tak baat ja pahoNchi.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mohammad {Peace Be Upon Him} by Azeem Azaad in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
NaaT____Darbaar-e-Mohammad by vipul kumar in Shayari-e-Parastish
mohammad arman by armaan92 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Baat chalii terii aankho se jaa pahunchi by Masoom Shahzada in Share Poetry You Like
MERE MUSTAFA KA DAYAAR .............................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayari-e-Parastish
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: July 07, 2010, 04:53:03 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
bahoot achche haider sahab..........
ek choti si darkhwast hai..........urdu ke kathin shabdon ke arth / mayne bhi agar aap likh den to mujh jaise urdu ke kam jankaaron ki jankari bhi badhegi aur padhne ka maja doguna ho jayega...
likhte rahen....
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: July 07, 2010, 05:08:20 AM »
Reply with quote
Applause Applause
bahoot achche haider sahab..........
ek choti si darkhwast hai..........urdu ke kathin shabdon ke arth / mayne bhi agar aap likh den to mujh jaise urdu ke kam jankaaron ki jankari bhi badhegi aur padhne ka maja doguna ho jayega...
likhte rahen....

Aap ne bil kull sahih kaha hai. Aap ka ye hukm bhi sar aankhoN par. Waise maiN hamesh koshish yehi karta hoN ke baat simple words meN kahoN, lekin phir bhi kuchh hard words poetry ke rules ko baaqi rakhne ke liye majbooran use karne paRte haiN.
Aap ki baat 100% right hai.
Is behtar mashvare ke liye shukriya
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: July 07, 2010, 03:50:58 PM »
Reply with quote
HAIDAR SAHEB JIS PARESHANI SE BEKARAR JI DO CHAR HUE WAHI MERE ROOBARU HAI.KUCH HAD TAK SAMAJH BHI PA RAHI HOON.PAR TASALLI NAHI.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: July 07, 2010, 04:15:50 PM »
Reply with quote
HAIDAR SAHEB JIS PARESHANI SE BEKARAR JI DO CHAR HUE WAHI MERE ROOBARU HAI.KUCH HAD TAK SAMAJH BHI PA RAHI HOON.PAR TASALLI NAHI.
Mamta baJpai ji aap ke comment se mujhe lagat hai ke aap ye kehna chaahti haiN ke aap meri is poetry ko poori tarah samjh nahiN rahi haiN. ho sakta hai aap uske zaahiri alfaaz par baat kar rahi hoN, ya ho sakta hai us ke meanings par.
Is portry ko na't keh sakte haiN.
MusalmaanoN ke aakhiri rasool(Messanger from God) ki shaan meN ye kuchh shea'r kahe haiN. Is baat ka mujhe bhi poora iHsaas hai ke kuchh shea'r mushkil bhi haiN.
Aap agar kisi khaas shea'r par kisi bhi tarah ka ssuwaal karna chaaheN to kar sakti haiN ye mere liye be hadd khushi ki baat hogi. Poori tarah maiN aap ki baat samajh nahiN paya is liye abhi kuchh jawaab nahi de sakta.
Logged
zulfiqar husain
Guest
«Reply #5 on: January 14, 2016, 08:44:38 AM »
Reply with quote
tasavvur mai azab taiba kai manzar zaag zate hai kalam angdaui leta hai samundar jaag jate hai khuda kai waste apni samaat ko ba wazo kr lo nabi ki naat sunne se muqaddar jaag jate hai
Logged
aru12
Guest
«Reply #6 on: January 14, 2016, 10:09:26 AM »
Reply with quote
Bahut khoob..waah hee waah
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:55:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer