Mohammad {Peace Be Upon Him}

by Jaanasheen on March 09, 2009, 10:28:32 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3349 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
As Salaam Walaikum Doston, Please Ek Baar Darood Pardh Lena,.

Sab Ko Milaad-un-Nabi Mubarak Ho,
Ise Manaana Badi Baat Nahi, Mohammad{SWAS} Ke Bataaye Hue Raaste Pe Chalna Hi Haqeeqat Hai,.

Rab Hume Inke Sunnaton Par Chalne Ki Taufeeq De
Aameen,.

Ek Choti Koshish Ki Hain Inke Shaan Mein Likhne Ki, Agar Kuch Galti Hui Ho To Bataa Dena,.



Dekho Aaye Hamaare Nabi {SWAS},.
Pyaare Pyaare Hamaare Nabi {SWAS}..

Wo Hain Rehmat-ul-Aalameen,.
Jinka Hai Aasmaan-o-Zameen,.

Inke Liye Bani Hai Ye Nadiyaan,.
Tardpi Inke Noor Ke Liye Ye Duniyaan,.

Chamak Uthaa Suraj Bhi Inke Dum Se,.
Chal Rahi Hai Duniyaa Inhe Ke Karam Se,.

Unke Sadqe Hain Hum Sab Saare,.
Ye Chaand, Suraj Aur Sitaare,.

Dekh Unhe Chaand Bhi Sharmaaye,.
Inke Hoton Ki Laali Suraj Churaaye,.

Kaunsa Zaalim Rahaa Inke Aage,.
Inse To Yaaron Shaitaan Ghabraaye,.

Quraan Ki Roshni Se Kiya Ujaala,.
Har Andhere Ko Door Kar Daala,.

Jinke Ishaare Ne Chaand Ke Tukde Banaaye,.
Aah Sunkar Inki, Farishton Ne Jo Parr Bichaaye,.

Ye Rab Ka Karam Hai, Ke Hum Inke Ummati Hue,.
Inki Nabuwat Mili Hume, Hum Mohammadi Hue,.

Is Ummat Mein Aane Ko, Nabiyon Ne Tarsa,.
Inka Noor Dono Aalam Mein Barsa,.

Saadgi Ka Libaaz Pehne Jisne Badshaahat Ki,.
Bhooke Rahe Magar Sab Ko Sakhaawat Ki,.

Na Aaya Hai, Na Aayega, Inke Jaisa Is Zamaane Mein,.
Jisne Sab Khurbaan Kardiya, Deen Ko Phailaane Mein,.

_____________________________-Jaanasheen-



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mohammad Mustafa ke aastaN tak baat jaa pahuNchi. by Ghulam Haider in Shayari-e-Parastish
NaaT____Darbaar-e-Mohammad by vipul kumar in Shayari-e-Parastish
mohammad arman by armaan92 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Peace-Peace by swaroopam in English
third division by Syed Mohammad Jafri by a.r.hashmi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 09, 2009, 10:44:35 PM »
Reply with quote
i appreciate u  yaa
mashaallah kya likha aapne,,

Shukriya Hanan Ji..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 10, 2009, 08:35:17 AM »
Reply with quote
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: March 10, 2009, 08:47:44 AM »
Reply with quote
Subhan_allah chote khuda is naat ke sadke tumhare sare gunaah maf kar de.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: March 10, 2009, 08:52:08 AM »
Reply with quote
Subhan_allah chote khuda is naat ke sadke tumhare sare gunaah maf kar de.

Aameen,.
Sab Ke Maaf Karein Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 10, 2009, 08:58:28 AM »
Reply with quote
Nabi pak ( SWAL) : ki tariff me khuch ashar Arif Rizwi Sahab ke !! Apke Ane se Pahele Arab me kya – kya zulm hote the , aur an eke baad manzar kaise badal gaya , kya qoob bayan kiya hai !!



Arab ki sarzameen pe raath din wo zulm hote the !!
Ke apni bebasi pe char su mazloom rote the !!

Jo the mazdoor unko apni mazdori na milti thi !!
Garibon ke liye to pet bhar roti na milti thi !!

Musafir koi milta to usko loot lete the !!
Zara bhi hausla karta to usko maar dete the !!

Na thi un zalimo ke paas khuch paas-a- hayakari !!
Khule aam kiya karte the wo din me zinakari !!

Wo zalim apni zinda ladkiyun ko gaad dete the !!
Yetimo bebason ki ladkiyon ko chin lete the !!

Tamazath dhoop ki itni badi jalne lagi dharti !!
Kaf-a- afsoos apni jaan pe malne lagi dharti !!

Yetimoo ,bebason aur za-e-fon ne bhari aanhen !!
Ho dushwar bhook se jane lagi jaane !!

Jawa o julfat se sare jahan me aag jal uthi !!
To usko dekh ke rahem ki rahemat machal uthi !!

Wo noor –a- Mustafa jo kar raha tha noor-a-afshani !!
Ussi se rub ne zophi shaqi abdulla ki peshani !!
Amant noor ki Aamna ko rub ne pahoncha di !!


Nida aa-e- ke ye tamhid hai duniya ke maqsad ki !!
Shikam me amad ho gaa-e- pyare Mohammad ki !!

Rasool {SWAS} abhi maa ke pet me the manzar kaise badal jata hai,.


Kissi ko ye nahi maloom ke ye kyun inqilab aya !!
Gaya daur kufr-o-batil ka ye kyun amno ama chaya !!

Zamin ne sabze ka eakdam pair hankaya !!
Ghata rahemat ki uthi aur jam ke mina barsaya !!

Darqton ne naha key un libase qausra pahena !!
Chaman ki daliyun ne aaj pahena pholon ka gahena !!

Tarane hamd ke gaa-a- parindon ne magan hokar !!
Sana ki apne qaliq ki gulon ne qandazan hokar !!

Karen sub naaz kismat per ke wo din ane wala hai !!
Mera maheboob duniya ko massarath lane wala Hai !!

Wo banke rahmat ullil alamee duniya me aayega !!
Siha-a- kufru batil ki zamane se mitayega !!

Sabaq dega jahan walon ko aake bhai chahera ka !!
Sahara banke ayega wo har eak be sahare ka !!

Yetimo , bewaun , aur za-e-fon ki qabar lega !!
Wo aqlaqo mahobbath se jahan ko apna karlega !!

Hayath-a-javedan kahiye jisse wo zindagi dega !!
Mere bhatke howe bandon ko zauqe bandage dega !!

Jahan me dono subse badke uska martaba hoga !!
Wo qatmul mursali hoga imamul imbiya hoga !!

Usse dono jahan ka malik-o-muqtar kardenge !!
Qayamath me shafath karne ka haqdar kardenge !!

Apke paida hone ke baad !!

Hawa-en- aa rahi thi dhimi dhimi baage jannath se !!
Tarane ga rahi thi bulbulen josho massrath me !!

Idhariya sayid-a-kaunain ki awazen ati thi !!
Zameen upne muqaddar pe nahi phole samati thi !!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: March 10, 2009, 09:06:52 AM »
Reply with quote
Aameen,.
Sab Ke Maaf Karein Bhaijaan,.

AAMEEN...
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #7 on: March 10, 2009, 12:11:31 PM »
Reply with quote
this is absolutely a mastermind piece! bahot khoob lihkka hai! thank you for sharing with us. Allah aapko humesha khush rahkke! keep it up azeem ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: March 10, 2009, 01:01:26 PM »
Reply with quote
this is absolutely a mastermind piece! bahot khoob lihkka hai! thank you for sharing with us. Allah aapko humesha khush rahkke! keep it up azeem ji

Shukriya Sidraah Ji, Allah Paak Aapko Bhi Khush Rakhe,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: March 11, 2009, 08:35:30 PM »
Reply with quote
Bohot hi khoobsurat Na'at Sharif likhi hai Azeem....aur doosri Na'at bhi bohot achchi share ki hai....!!

Logged
salma786
Guest
«Reply #10 on: March 12, 2009, 04:30:24 AM »
Reply with quote
Bahoot hi khoob naat likhi hai apne Azeem ji.....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: March 12, 2009, 05:09:47 AM »
Reply with quote
Applause Applause Bahaut khoob Azeem bhaijan
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 12, 2009, 09:09:19 AM »
Reply with quote
Shukriya,.

Talat Didi,.
Salma Ji,.
Rahim Bhai,.

Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: March 12, 2009, 07:24:03 PM »
Reply with quote
Ur most welcome Azeem bhaijan..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: April 16, 2009, 10:42:31 AM »
Reply with quote
ALLAH ALLAH Mere Madni Ki
To Baat Hi Alag Hai

Bohat Hi Pyaar Likha Hai
Azeem Bhai Kya Muhabbat Hai
ALLAH Pak Tumhe Kuhsh Rakhe

Mere Bhai Aameen...

Aamen, Ya Rabul Aalameen,.

Allah Kareem Sab Ko KHush Rakhe./
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:35:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer