mujh ko apna faiz...zarraa

by zarraa on June 16, 2014, 02:22:28 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1491 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
doston...aaj pehli dafa shayari-e-parastish ke aastaan mein sar jhuka ke hazir ho raha hoon.... kisi bhi galti ke liye muafi ka talib hoon aur aap ki duaon ka talabghaar hoon...zarraa


mujh ko apna faiz ataa kar de KHUDA
ab to kaasaa-e-gadaa* bhar de KHUDA

maiN rahooNgaa tishnaa tere naam ka
qatraa de chaaheiN samandar de KHUDA

bas tera dast-e-shifaa* mera ilaaj
bas mere maathe ko chhoo bhar de KHUDA

maiN ne zulmat ke banaaye the mahal
noor ka chhotaa sa ik ghar de KHUDA

maiN gunah karte hi varnaa jaaooNgaa
tu sazaa mujh ko baraabar de KHUDA

peeth par bhi ho n aaye haath meiN
mujh ko zabt*-e-dard-e-khanjar de KHUDA

mujh ko sab meiN tu hi tu aaye nazar
meree nazroN ko wo manzar de KHUDA

jis se mera dil munawaar* reh sake
deen-o-eemaaN ka wo naiyyar* de KHUDA

ho qafas meiN lutf jo parwaaz ka
ik falak mere hi andar de KHUDA

mujh ko jazba-e-mohabbat aur de
chaaheiN mujh ko aql kamtar de KHUDA

chaahiye kya mujh ko chhorhaa tujh pe ab
chaah se faarigh mujhe kar de KHUDA

aaNkheiN theeN "zarraa" magar andhaa rahaa
khol de aaNkhoN ke sab parde KHUDA


- zarraa


*
kaasaa-e-gadaa = beggar's bowl
dast-e-shifa = healing hand
zabt = tolerance
munawaar = lighted
naiyyar = sun
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: June 16, 2014, 02:40:08 AM »
Reply with quote
Kya bat hai,,,,,,,,,,,,,,,,bahut khoob.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: June 16, 2014, 03:00:04 AM »
Reply with quote
doston...aaj pehli dafa shayari-e-parastish ke aastaan mein sar jhuka ke hazir ho raha hoon.... kisi bhi galti ke liye muafi ka talib hoon aur aap ki duaon ka talabghaar hoon...zarraa


mujh ko apna faiz ataa kar de KHUDA
ab to kaasaa-e-gadaa* bhar de KHUDA
ameeeeeeeeeeeeeeeeen!
maiN rahooNgaa tishnaa tere naam ka
qatraa de chaaheiN samandar de KHUDA
ameeeeeeeeeeeeeeeeeen!
bas tera dast-e-shifaa* mera ilaaj
bas mere maathe ko chhoo bhar de KHUDA
ameeeeeeeeeeeeeen icon_flower icon_flower icon_flower!
maiN ne zulmat ke banaaye the mahal
noor ka chhotaa sa ik ghar de KHUDA
summaameeeeeeeeen!
maiN gunah karte hi varnaa jaaooNgaa
tu sazaa mujh ko baraabar de KHUDA
mujhe gynaah se bacha mere khuda aur apne ghusse se bacha mere ALLAH---ameen
peeth par bhi ho n aaye haath meiN
mujh ko zabt*-e-dard-e-khanjar de KHUDA
mushkilo.n mein sabr de mere khuda!
mujh ko sab meiN tu hi tu aaye nazar
meree nazroN ko wo manzar de KHUDA
ALLAH ko pahchana hai to uski banaai cheezo.n per ghaur karo !
jis se mera dil munawaar* reh sake
deen-o-eemaaN ka wo naiyyar* de KHUDA
summa ameen icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
ho qafas meiN lutf jo parwaaz ka
ik falak mere hi andar de KHUDA
ameeeeeeeeeeeeeeeeen!
mujh ko jazba-e-mohabbat aur de
chaaheiN mujh ko aql kamtar de KHUDA

mujhe deen aur duniya dono ki kaamyaabi aur bhalaai de!
chaahiye kya mujh ko chhorhaa tujh pe ab
chaah se faarigh mujhe kar de KHUDA
deen ki chaah ataa farmaa mere dil ko -------ameen
aaNkheiN theeN "zarraa" magar andhaa rahaa
khol de aaNkhoN ke sab parde KHUDA
ameeeeeeeeeeeeeeeeeeeen-sahi samjh at'a farmaa

- zarraa


*
kaasaa-e-gadaa = beggar's bowl
dast-e-shifa = healing hand
zabt = tolerance
munawaar = lighted
naiyyar = sun


achi doa hai sirf red wala chhor kar. ALLAH se kabhi aisi DOA nahin maangni chahiye.ek example deti hoon ek baar ek aadmi ke ghar aulaad nahin ho rahi thi to uski maan ne pareshan ho kar ye doa ki ki chaahe jaisi bhi ho magar khuda mere bete ke ghar aulaad de . to aulaad hui per saari invalid. to pata chala ALLAH se jaisa gumaan kare.n ge waisa hi mile gaa. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: June 16, 2014, 07:53:15 AM »
Reply with quote
maashaa aalaah laajawaab aur shaandaar parstish waah
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #4 on: June 16, 2014, 05:57:05 PM »
Reply with quote
maiN ne zulmat ke banaaye the mahal
noor ka chhotaa sa ik ghar de KHUDA

waah waah zarra sahab bohut khoob likha hai apne
dheron daad
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2014, 11:01:03 PM »
Reply with quote
mujh ko apna faiz ataa kar de KHUDA
ab to kaasaa-e-gadaa* bhar de KHUDA

maiN rahooNgaa tishnaa tere naam ka
qatraa de chaaheiN samandar de KHUDA

bas tera dast-e-shifaa* mera ilaaj
bas mere maathe ko chhoo bhar de KHUDA

maiN ne zulmat ke banaaye the mahal
noor ka chhotaa sa ik ghar de KHUDA

maiN gunah karte hi varnaa jaaooNgaa
tu sazaa mujh ko baraabar de KHUDA

peeth par bhi ho n aaye haath meiN
mujh ko zabt*-e-dard-e-khanjar de KHUDA

mujh ko sab meiN tu hi tu aaye nazar
meree nazroN ko wo manzar de KHUDA

jis se mera dil munawaar* reh sake
deen-o-eemaaN ka wo naiyyar* de KHUDA

ho qafas meiN lutf jo parwaaz ka
ik falak mere hi andar de KHUDA

mujh ko jazba-e-mohabbat aur de
chaaheiN mujh ko aql kamtar de KHUDA

chaahiye kya mujh ko chhorhaa tujh pe ab
chaah se faarigh mujhe kar de KHUDA

aaNkheiN theeN "zarraa" magar andhaa rahaa
khol de aaNkhoN ke sab parde KHUDA
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #6 on: June 16, 2014, 11:11:45 PM »
Reply with quote
maiN ne zulmat ke banaaye the mahal
noor ka chhotaa sa ik ghar de KHUDA

maiN gunah karte hi varnaa jaaooNgaa
tu sazaa mujh ko baraabar de KHUDA

bahut umdah peshkash hai, Zarraa Sahib. Dheron daad.
Surindar.N
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #7 on: June 17, 2014, 02:08:04 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
bohut umda
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #8 on: June 20, 2014, 01:52:25 AM »
Reply with quote
Kya bat hai,,,,,,,,,,,,,,,,bahut khoob.

Shukriya Ravindera ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: June 20, 2014, 02:13:46 AM »
Reply with quote
achi doa hai sirf red wala chhor kar. ALLAH se kabhi aisi DOA nahin maangni chahiye.ek example deti hoon ek baar ek aadmi ke ghar aulaad nahin ho rahi thi to uski maan ne pareshan ho kar ye doa ki ki chaahe jaisi bhi ho magar khuda mere bete ke ghar aulaad de . to aulaad hui per saari invalid. to pata chala ALLAH se jaisa gumaan kare.n ge waisa hi mile gaa. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

Aameen ka shukriya Sheba ji. Aur red wali baat sahi bhi lagi aur achchhee bhi.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: June 21, 2014, 03:57:40 AM »
Reply with quote
maashaa aalaah laajawaab aur shaandaar parstish waah

Nawazish Saini sahab
Logged
sanchit
Guest
«Reply #11 on: June 21, 2014, 08:50:46 PM »
Reply with quote
Bahut khoob peshkash zarra ji... yun hi likhte rahiye... duaon ke saath...
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: June 23, 2014, 02:00:58 AM »
Reply with quote
Shukriya aap ka Sahal bhai !



quote author=sahal link=topic=115203.msg1499159#msg1499159 date=1402941425]
maiN ne zulmat ke banaaye the mahal
noor ka chhotaa sa ik ghar de KHUDA

waah waah zarra sahab bohut khoob likha hai apne
dheron daad
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
[/quote]
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: June 24, 2014, 12:45:28 AM »
Reply with quote

Aap ka bahaut bahaut shukriya Suresh Sangwan ji


mujh ko apna faiz ataa kar de KHUDA
ab to kaasaa-e-gadaa* bhar de KHUDA

maiN rahooNgaa tishnaa tere naam ka
qatraa de chaaheiN samandar de KHUDA

bas tera dast-e-shifaa* mera ilaaj
bas mere maathe ko chhoo bhar de KHUDA

maiN ne zulmat ke banaaye the mahal
noor ka chhotaa sa ik ghar de KHUDA

maiN gunah karte hi varnaa jaaooNgaa
tu sazaa mujh ko baraabar de KHUDA

peeth par bhi ho n aaye haath meiN
mujh ko zabt*-e-dard-e-khanjar de KHUDA

mujh ko sab meiN tu hi tu aaye nazar
meree nazroN ko wo manzar de KHUDA

jis se mera dil munawaar* reh sake
deen-o-eemaaN ka wo naiyyar* de KHUDA

ho qafas meiN lutf jo parwaaz ka
ik falak mere hi andar de KHUDA

mujh ko jazba-e-mohabbat aur de
chaaheiN mujh ko aql kamtar de KHUDA

chaahiye kya mujh ko chhorhaa tujh pe ab
chaah se faarigh mujhe kar de KHUDA

aaNkheiN theeN "zarraa" magar andhaa rahaa
khol de aaNkhoN ke sab parde KHUDA
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: June 25, 2014, 02:27:37 PM »
Reply with quote
maiN ne zulmat ke banaaye the mahal
noor ka chhotaa sa ik ghar de KHUDA

maiN gunah karte hi varnaa jaaooNgaa
tu sazaa mujh ko baraabar de KHUDA

bahut umdah peshkash hai, Zarraa Sahib. Dheron daad.
Surindar.N
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Bahaut bahaut shukriya aap ka Surindarn ji ...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 10:59:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer