mushkil yeh muskuraana he!

by Prateek Mardia on December 03, 2008, 02:57:25 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 3976 times)
Prateek Mardia
Guest
Reply with quote
Nahi Alfaaz he koi, nahi koi taraana he
Tujhe –e-zindgi fir bhee, hume gungunaana he!

Shohratey  bik rahi he khoob, daam dekar kharid lo
Boli badhao bus, bazaar jaana-pehchaana he!

Hazaaron nibhaayi kasme,faqat si baat se dushman
Mere mehboob ka mujhse bada accha bahaana he!

Unhey hur baat pur tooku,meri tabiyat nahi aisi
Pur kuch bhee nahi kehkar kya is dil ko jalaana he!  

Yeh aaina sanam tumko dikhata kyon nahi sub such
Yeh kaisa dost he tera, yeh kiasa dostaana he!

Teri aankhon se jyada, mere adhron ki museebat he
Aanso aasani se aatey,mushkil ye muskuraana he!

Bade naazon se paala he,tum kehte chhodd do isko
Arey is dard se apna zara rishta puraana he!

Zindgi chaar din ki he,ranjishey fir bhee he hurdum
Hairaan hota hu, yeh kaisa zamanna he!

Zindgi mein nahi jub bhor, ujaala ho gaya kehkar kyon uthate ho
Yeh kaisi baat he saaki, yeh kaisa maikhaana he!
Logged
saloni bharani
Guest
«Reply #1 on: December 03, 2008, 03:01:46 PM »
Reply with quote
bahut acha likha hain aapna
                                 saloni
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: December 03, 2008, 03:15:20 PM »
Reply with quote
Nahi Alfaaz he koi, nahi koi taraana he
Tujhe –e-zindgi fir bhee, hume gungunaana he!

Shohratey  bik rahi he khoob, daam dekar kharid lo
Boli badhao bus, bazaar jaana-pehchaana he!

Hazaaron nibhaayi kasme,faqat si baat se dushman
Mere mehboob ka mujhse bada accha bahaana he!

Unhey hur baat pur tooku,meri tabiyat nahi aisi
Pur kuch bhee nahi kehkar kya is dil ko jalaana he!   

Yeh aaina sanam tumko dikhata kyon nahi sub such
Yeh kaisa dost he tera, yeh kiasa dostaana he!

Teri aankhon se jyada, mere adhron ki museebat he
Aanso aasani se aatey,mushkil ye muskuraana he!

Bade naazon se paala he,tum kehte chhodd do isko
Arey is dard se apna zara rishta puraana he!

Zindgi chaar din ki he,ranjishey fir bhee he hurdum
Hairaan hota hu, yeh kaisa zamanna he!

Zindgi mein nahi jub bhor, ujaala ho gaya kehkar kyon uthate ho
Yeh kaisi baat he saaki, yeh kaisa maikhaana he!

Prateek ji,

Pehla sheir padha toh laga, is se behtar aur kya ho sakta hai...
Doosra padha toh laga.. yeh toh is shayari ka "best one" hoga..
Teesra padha toh.. Woh bhi pehle aur doosre se kam naa laga..
Phir forth one..  Phir fifth... aur sach mein pata hi nahin chala, kab har ek ashaar par "waah.. Prateek ji ka jawaab nahin" kehte kehte hum dobaara  online khinche aaye... DOH

Sach mein, aapka toh jawaab nahin... Applause Applause Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #3 on: December 03, 2008, 03:18:40 PM »
Reply with quote
bahut acha likha hain aapna
                                 saloni

shukriya saloni ji.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #4 on: December 03, 2008, 03:21:34 PM »
Reply with quote
 Applause Applause

subhan-allah..behtreen likha hai prateek ji...daad kabool karen...

tere har sher pe wah bhi ab choti hi lagti hai
meri ulajhan ka ye silsila kaafi purana hai,
thodi frequency badhao likhne ki to baat ban jaaye,
tere zahan me abhi baaqi shabdon ka khajana hai
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #5 on: December 03, 2008, 03:24:19 PM »
Reply with quote
Prateek ji,

Pehla sheir padha toh laga, is se behtar aur kya ho sakta hai...
Doosra padha toh laga.. yeh toh is shayari ka "best one" hoga..
Teesra padha toh.. Woh bhi pehle aur doosre se kam naa laga..
Phir forth one..  Phir fifth... aur sach mein pata hi nahin chala, kab har ek ashaar par "waah.. Prateek ji ka jawaab nahin" kehte kehte hum dobaara  online khinche aaye... DOH

Sach mein, aapka toh jawaab nahin... Applause Applause Applause[/quote)}

jinse seekhte he hum,unhone thupthaadi peeth
thodi der ke liye hume bhee itraana he!

Mahiya ji-Shukriya, aapne pasand kiya..toh lagta he ki theek theek likha gaya hoga!

Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: December 03, 2008, 03:27:23 PM »
Reply with quote
Applause Applause

subhan-allah..behtreen likha hai prateek ji...daad kabool karen...

tere har sher pe wah bhi ab choti hi lagti hai
meri ulajhan ka ye silsila kaafi purana hai,
thodi frequency badhao likhne ki to baat ban jaaye,
tere zahan me abhi baaqi shabdon ka khajana hai

Tahe dil se shukriya,aapke saraahna ke alfaaz hi mere likhne ki manziley he, sanjeev bhai.

Frequency badhai thee, currency ghut gayi saari
pur tyaar hu main bhee,mujhe sub kuch lootana he!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #7 on: December 03, 2008, 04:03:31 PM »
Reply with quote
ye sanam saaz hai kaisa, miyan kaisa tarana hai,
bhale hum besure kitne hume to gaate jaana hai,
mai kaise bhul jaaun, tere unkahe ehsaano ko
mere is besure-pan me bhi suna tune tarana hai,

kathputali hai har-ek aur manch jagat sara,
nachanewala hai koi aur, bas nachte jaana hai,
aisa mai nahi kahta, ye dharamwalon ke bayan hai bhai,
mera to mazhab hai maikhana yahi mera thikana hai,

duniyadaari ko tum bhi ishq aur aashiqi samajho
ik aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai
jal jaao to bano khaak, raho hawa ke karam pe
bach jaaoge bhi to ek din khaak me jaana hai

one line of the last sher is not mine
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #8 on: December 03, 2008, 05:09:51 PM »

Bahoot khoob hazoor....bhaut achhe!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #9 on: December 03, 2008, 05:35:26 PM »
Reply with quote
shukriya janab
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: December 03, 2008, 06:19:31 PM »
Reply with quote
bas Prateek kehne ke liye alfaz nahi hain aur shayed mere shabd kam pad jaye bas itna kahuga Subhan-Allah
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: December 03, 2008, 06:35:46 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likhte ho Prateek Ji
Aap ka bhi jawaab nahi Bekarar Ji
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #12 on: December 04, 2008, 07:44:27 PM »
Reply with quote
bas Prateek kehne ke liye alfaz nahi hain aur shayed mere shabd kam pad jaye bas itna kahuga Subhan-Allah

Aapko pasand aaya,mujhe khushi hui.

Ghayel ho gaya mein bhee,dard ki ghazlen likh likha kar
kalam yeh chahti meri khumaar mein doob jaana he.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #13 on: December 04, 2008, 07:45:46 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likhte ho Prateek Ji
Aap ka bhi jawaab nahi Bekarar Ji

bahut khoob padhte ho harish ji,dhnyawaad.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: December 04, 2008, 07:53:05 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot bahoot bahoot khoob Prateek ji... kamal ka likha hai...

Bekarar ji bahoot he acha jawab likha hai apne.....

Main in dino bahoot jayada busy ho gai hu... magar yaha jaroor likhne ki koshish hogi, jab bhi waqat mila!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:48:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer