mushkil yeh muskuraana he!

by Prateek Mardia on December 03, 2008, 02:57:25 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 3999 times)
Prateek Mardia
Guest
«Reply #15 on: December 04, 2008, 07:57:26 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot bahoot bahoot khoob Prateek ji... kamal ka likha hai...

Bekarar ji bahoot he acha jawab likha hai apne.....

Main in dino bahoot jayada busy ho gai hu... magar yaha jaroor likhne ki koshish hogi, jab bhi waqat mila!!

bahut bahut shukriya,pooja ji. Aapki kalam ki goonj ke to sada hi pratiksharat rehtey he,aapko jub anukul samay miley,is thread ko zarror sajjit kare apni kavitaao se.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #16 on: December 05, 2008, 04:48:46 AM »
Reply with quote
prateek ji kya khoob likha hai aapne
wonderful creation Applause

sanjeev ji good reply Applause
Logged
Deepati
Guest
«Reply #17 on: December 05, 2008, 05:42:00 AM »
Reply with quote
Nahi Alfaaz he koi, nahi koi taraana he
Tujhe –e-zindgi fir bhee, hume gungunaana he!

Shohratey  bik rahi he khoob, daam dekar kharid lo
Boli badhao bus, bazaar jaana-pehchaana he!

Hazaaron nibhaayi kasme,faqat si baat se dushman
Mere mehboob ka mujhse bada accha bahaana he!

Unhey hur baat pur tooku,meri tabiyat nahi aisi
Pur kuch bhee nahi kehkar kya is dil ko jalaana he!   

Yeh aaina sanam tumko dikhata kyon nahi sub such
Yeh kaisa dost he tera, yeh kiasa dostaana he!

Teri aankhon se jyada, mere adhron ki museebat he
Aanso aasani se aatey,mushkil ye muskuraana he!

Bade naazon se paala he,tum kehte chhodd do isko
Arey is dard se apna zara rishta puraana he!

Zindgi chaar din ki he,ranjishey fir bhee he hurdum
Hairaan hota hu, yeh kaisa zamanna he!

Zindgi mein nahi jub bhor, ujaala ho gaya kehkar kyon uthate ho
Yeh kaisi baat he saaki, yeh kaisa maikhaana he!

Bahut acha likha hai, Prateek Ji  Applause
Logged
Deepati
Guest
«Reply #18 on: December 05, 2008, 05:44:39 AM »
Reply with quote
ye sanam saaz hai kaisa, miyan kaisa tarana hai,
bhale hum besure kitne hume to gaate jaana hai,
mai kaise bhul jaaun, tere unkahe ehsaano ko
mere is besure-pan me bhi suna tune tarana hai,

kathputali hai har-ek aur manch jagat sara,
nachanewala hai koi aur, bas nachte jaana hai,
aisa mai nahi kahta, ye dharamwalon ke bayan hai bhai,
mera to mazhab hai maikhana yahi mera thikana hai,

duniyadaari ko tum bhi ishq aur aashiqi samajho
ik aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai
jal jaao to bano khaak, raho hawa ke karam pe
bach jaaoge bhi to ek din khaak me jaana hai

one line of the last sher is not mine

Very nice, Bekraar Ji Usual Smile
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #19 on: December 05, 2008, 06:35:28 PM »
Reply with quote
prateek ji kya khoob likha hai aapne
wonderful creation Applause

sanjeev ji good reply Applause

Hausla afzaahi ka shukriya Bhawna Ji.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #20 on: December 05, 2008, 06:38:00 PM »
Reply with quote

Bahut acha likha hai, Prateek Ji  Applause
[/quote]

Shukria Deepti Ji.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #21 on: December 06, 2008, 11:16:06 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB PRATEEK JI, Applause  Applause  Applause
MAASHAALLAH KYA KHOOB ALFAAZ BHANDHE HAI AAPNE,

U LAGTA HAI JAISE KOI PHOLO KO CHUN CHUN KAR MALA
BANATA GAYA... Clapping Smiley  Clapping Smiley

BY. K.SHAEL

KUCH KOSHISH KI HAI, SHAYAD PASANDH AAYE...

MANJIL TO HAI KAREEB BAHUT,AUR MUJHE ZALD HI PAHUNCH BHI
JAANA HAI,PAR BAAT HAI SACH KI MUJHE LOUT KAR NAHI AANA HAI,

TUM TO KEHTE HO TUMHE MERA NAAM TAK YAAD NAHI,TUNE NA MUJHE
PEHCHAANA HAI, PAR LOGO SE SUNA HAI KI TO MERA BARSO SE DEEWANA HAI,

TERE LIYE HI ZINDA THE HAMM,YE SAANSE BHI TERI HI AMANAT THI,
DEEDAAR TERA HO GAYA, AAB BASS HAME ISS DUNIYA KO CHOD KAR JAANA HAI,
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #22 on: December 06, 2008, 08:08:08 PM »

Taareef ke liye shukriya, Shally ji.Aapko jo pasnad aa gaya to jaankar accha laga.Aapne bhee khoob likha he.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #23 on: December 06, 2008, 08:14:35 PM »
Reply with quote
Few Add-ons to my poem...kuch aur panktiyaan bun gayi,chahta hu...yeh bhee aap tuk pahuche..Pesh he...

Badi aahista aahista,hum fookenge yeh rishta
baat apno ki he aakhir, nahi koi begaana he!

Mujhe jahannum miie mur ke,tumhe jannat nasseba ho
main aadat bun gaya teri,tu meri aadataana he!

Falak ke farishton se bhee mujhko baat karni he
dekha kiya sub kuch, ya ub bhee aazmaana he!

Nahi alfaaz he koi nahi koi taraana he
tujhe-e-zindgi fir bhee hume gungunnana he!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #24 on: December 06, 2008, 09:09:08 PM »
Reply with quote
Nice add-ons Prateek Ji

Ek geet ke kuch panktiyan yaad aa gayee
Pesh hai

Gungunaati hai, geet gaati hai zindagi
Muskuraati hai, khilkhilaati hai zindagi
Dil mein ab jaise kaliyaan si khilti hai
Gul khilaati hai, maheke jaati hai zindagi
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #25 on: December 07, 2008, 06:06:48 AM »
Reply with quote
Nice add-ons Prateek Ji

Shukriya Rajeshji.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: December 08, 2008, 03:06:05 AM »
Reply with quote
nice work shally, Prateek and Jas
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #27 on: December 13, 2008, 07:55:27 PM »
Reply with quote
Nahi Alfaaz he koi, nahi koi taraana he
Tujhe –e-zindgi fir bhee, hume gungunaana he!

Shohratey  bik rahi he khoob, daam dekar kharid lo
Boli badhao bus, bazaar jaana-pehchaana he!

Hazaaron nibhaayi kasme,faqat si baat se dushman
Mere mehboob ka mujhse bada accha bahaana he!

Unhey hur baat pur tooku,meri tabiyat nahi aisi
Pur kuch bhee nahi kehkar kya is dil ko jalaana he!   

Yeh aaina sanam tumko dikhata kyon nahi sub such
Yeh kaisa dost he tera, yeh kiasa dostaana he!

Teri aankhon se jyada, mere adhron ki museebat he
Aanso aasani se aatey,mushkil ye muskuraana he!

Bade naazon se paala he,tum kehte chhodd do isko
Arey is dard se apna zara rishta puraana he!

Zindgi chaar din ki he,ranjishey fir bhee he hurdum
Hairaan hota hu, yeh kaisa zamanna he!

Zindgi mein nahi jub bhor, ujaala ho gaya kehkar kyon uthate ho
Yeh kaisi baat he saaki, yeh kaisa maikhaana he!

[/quote\]

Bahut Bahut Khoob Prateekji..aapke kavita ki har ek akshar par dil se wah wah nikhalta hai..bahut hi ache Prateek ji,Bahut hi khoobsurti aur Gherai se aapne iss kavita ko likha hai.. Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #28 on: December 13, 2008, 07:57:57 PM »
Reply with quote
ye sanam saaz hai kaisa, miyan kaisa tarana hai,
bhale hum besure kitne hume to gaate jaana hai,
mai kaise bhul jaaun, tere unkahe ehsaano ko
mere is besure-pan me bhi suna tune tarana hai,

kathputali hai har-ek aur manch jagat sara,
nachanewala hai koi aur, bas nachte jaana hai,
aisa mai nahi kahta, ye dharamwalon ke bayan hai bhai,
mera to mazhab hai maikhana yahi mera thikana hai,

duniyadaari ko tum bhi ishq aur aashiqi samajho
ik aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai
jal jaao to bano khaak, raho hawa ke karam pe
bach jaaoge bhi to ek din khaak me jaana hai

one line of the last sher is not mine

Bahut Bahut Khoob Sanjeevji..
bahut hi acha likha hai aapne Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #29 on: December 13, 2008, 08:02:20 PM »
Reply with quote
Nahi Alfaaz he koi, nahi koi taraana he
Tujhe –e-zindgi fir bhee, hume gungunaana he!

Shohratey  bik rahi he khoob, daam dekar kharid lo
Boli badhao bus, bazaar jaana-pehchaana he!

Hazaaron nibhaayi kasme,faqat si baat se dushman
Mere mehboob ka mujhse bada accha bahaana he!

Unhey hur baat pur tooku,meri tabiyat nahi aisi
Pur kuch bhee nahi kehkar kya is dil ko jalaana he!   

Yeh aaina sanam tumko dikhata kyon nahi sub such
Yeh kaisa dost he tera, yeh kiasa dostaana he!

Teri aankhon se jyada, mere adhron ki museebat he
Aanso aasani se aatey,mushkil ye muskuraana he!

Bade naazon se paala he,tum kehte chhodd do isko
Arey is dard se apna zara rishta puraana he!

Zindgi chaar din ki he,ranjishey fir bhee he hurdum
Hairaan hota hu, yeh kaisa zamanna he!

Zindgi mein nahi jub bhor, ujaala ho gaya kehkar kyon uthate ho
Yeh kaisi baat he saaki, yeh kaisa maikhaana he!

[/quote\]

Bahut Bahut Khoob Prateekji..aapke kavita ki har ek akshar par dil se wah wah nikhalta hai..bahut hi ache Prateek ji,Bahut hi khoobsurti aur Gherai se aapne iss kavita ko likha hai.. Applause Applause Applause Applause Applause
Nice one Khwaish Ji
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:16:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer