Talat
Guest
|
Fasalon ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bebas nahin besahara nahin
Khud unhi ko pukarenge hum door se Raaste mein agar paaon tak jayenge
Hum Madine mein tanha nikal jayenge Aur galiyon mein kus dun batak jayenge
Hum wahan jake wapas nahin ayenge Dhoondte dhoondte log thak jayenge
Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega Bandagi ka qareena badal jayega
Sar jhukane ki fursat milegi kise Khud hi palkon se sajde tapak jayenge
Naam-e-Aaqa jahan bhi liya jayega Zikr unka jahan bhi kiya jayega
Noor hi noor seeno mein bhar jayega Sari mehfil mein jalwe lapak jayenge
Eh Madine ke zaair KHuda ke liye Daastaan ne safar mujhko yoon mat suna
Baat bhar jayegi dil tarap jayega Mere mohtat aansoo chalak jayenge
Unki chashme karam ko hai iski khabar Kis musafir ko hai kitna shauq-e-safar
Hum ko "Iqbal" jab bhi ijazat mili, Hum bhi Aaqa ke darbar tak jayegene (Not Mine)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #1 on: May 28, 2008, 02:03:33 AM » |
|
Wah wah... Iqbal sb ka sher pe comment kya kare. Mashallah bahut badiya posting ki hai aapne celmira.
Aap ka yeh gazal padkar mujhe Iqbal sb ka likha yaad aa raha hai I really liked and i am sharing it with you Celmira
Lab pe ati hai Dua banke tamanna me .. Zindagi Shamma ki surat ho khudaya meri.
Door duniya ka mere dam se andhera ho jaye. har jagah mer chamakne se ujala ho jaye..
ho yon hi mere dam se mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat..
mera kam ghareebo ki Himayat karna .. dardmando wa zaeefo se Muhabbat karna..
mere allah burayi se bachana mujhko.. nek jo rah hai us rah pe chalana mujhko...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #2 on: May 28, 2008, 04:20:24 PM » |
|
good sharing Celmira and Sonia
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #3 on: May 30, 2008, 03:36:37 PM » |
|
Thanks Sonia and Pooja... Sonia aapne to kuch saalon peeche la diya jab hum log ye dua gaya karte the
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #4 on: May 30, 2008, 03:50:15 PM » |
|
Thanks Sonia and Pooja... Sonia aapne to kuch saalon peeche la diya jab hum log ye dua gaya karte the Bahut bahut shukhriya Celmira jee. (maine galat toh nahi ki na? mujhe wo gazal bahut pasand tha isliye post ki thi)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #5 on: May 30, 2008, 03:59:44 PM » |
|
Nahin, aapne to bachpan ki khoobsurat yaadain taaza kar din, jo ab busy life main kahin peeche reh gayi hain Thanks for sharing !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
Rau: 4
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:53 days, 9 hours and 51 minutes.
Posts: 3738 Member Since: Oct 2005
|
|
«Reply #6 on: May 31, 2008, 12:45:35 PM » |
|
bahoot khoob sania ji and talat ji..... meri arze tamanna bhi, ek ajab tamanna hai.... tujhi se maangta hun mai aur tujhi ko mangta hun mai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #7 on: May 31, 2008, 12:57:43 PM » |
|
Bohot khoob Bekarar... Shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Muhammed
Guest
|
|
«Reply #8 on: June 20, 2008, 07:27:21 AM » |
|
Celmira Ji.. La-Raib-Bila-shuk La-jawab Naat-e-paak pesk ki hai.. Allah va Rasool-e-akram Ki shaan wo bhi muj jaise haqir-faqir kya bayan karey..Rubb-e-qadir Khud Apni aur Apne Habib Ki shan Quran-e-paak me Kahi Hai..
Hum Naat Ki soorat Me Qur'aan sunate Hai...
qur'aan Ki Harr har Ayat-e-mubarka Allah va Rasul Ki Naat Hai..
Yehaa'n Zubaa Ko zumbish Nahi.. Khabar dar Koi aisa Huroof Na Nikal Jaye Jin se Tohin-o-Tankis ho..
To suno..
Dil-daar Bade aaye, Mahboob bade dekhe'y Jo dekhe sub Unke Kadmo'n Me Pade dekhe'y.. Mehaboob Ki Middhat Me Hain Tab-e-sukhan Kisko Sub Ahal-e-Sukhan Maine Hairrat Me Pade dekhe'y...!!!
(Mahaboob = sarkar-e-madina salalahu alay hi wasallam )
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #9 on: July 03, 2008, 11:22:32 AM » |
|
Bohot bohot shukriya Mohammad....Bohot hi pyaari lines likhi hain aapne !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Muhammed
Guest
|
|
«Reply #10 on: July 03, 2008, 12:23:30 PM » |
|
Celmira Bahut Dino K Baad Aapki Reply Padhi..
Main To Samaj Ta Tha Ki aap Reply Nahi Karenge., Aur Ye Topic Kahin Hide Na Ho Jaaye..
Celmira Ji Muje aapka Sahi Naam Maloom Nahi..
Par Ye Naat Sarif Ka Topic Muslim World Me No.1 Pe Hota Hai..
Shaahiba..Naat OR Shayri Me Jamin Asman Ka Farq Hai..
Naat Usiki Hoti Hai Jisme Koi aaib Nahi..Jo Paak Rooh Hai.. aur, Shayri Aam Aur Khas K Liye Hoti Hai..Jisme Positv & Negtv Dono Hota Hai..
Aap agar Chaahe To Ye Topic Kabhi Khatam Na Honga.. Insha-allah Aap Bhi Do Chaar Line Likhte raho.. Main Bhi Insha-allah Kuch Likhta Rahu..
Al-Hamdu-Lillah Ye Topic Sab ka Favourite Ho Jaaye..!!! Amin.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #11 on: July 03, 2008, 12:31:03 PM » |
|
Muhammed Celmira mohtarma ka naam hai - Dr. Talat JabeenPyar se hum use Tallu bhi bulate hain. ----------- Aap sab doston ne bahut khoob likha hai... Keep going
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #12 on: July 08, 2008, 11:50:12 AM » |
|
Muhammed Celmira mohtarma ka naam hai - Dr. Talat JabeenPyar se hum use Tallu bhi bulate hain. ----------- Aap sab doston ne bahut khoob likha hai... Keep going Taarruf ke liye shukriya !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #13 on: July 08, 2008, 11:54:22 AM » |
|
Celmira Bahut Dino K Baad Aapki Reply Padhi..
Main To Samaj Ta Tha Ki aap Reply Nahi Karenge., Aur Ye Topic Kahin Hide Na Ho Jaaye..
Celmira Ji Muje aapka Sahi Naam Maloom Nahi..
Par Ye Naat Sarif Ka Topic Muslim World Me No.1 Pe Hota Hai..
Shaahiba..Naat OR Shayri Me Jamin Asman Ka Farq Hai..
Naat Usiki Hoti Hai Jisme Koi aaib Nahi..Jo Paak Rooh Hai.. aur, Shayri Aam Aur Khas K Liye Hoti Hai..Jisme Positv & Negtv Dono Hota Hai..
Aap agar Chaahe To Ye Topic Kabhi Khatam Na Honga.. Insha-allah Aap Bhi Do Chaar Line Likhte raho.. Main Bhi Insha-allah Kuch Likhta Rahu..
Al-Hamdu-Lillah Ye Topic Sab ka Favourite Ho Jaaye..!!! Amin.
Bohot sharminda hoon der se jawab dene ke liye...aur tah-e-dil se maafi chahti hoon. Bohot tasali hui aapka jawab yahan dekh kar...bilkul durust farmaya aapne Inshallah yahi koshish hogi ki yahan Huzoor S.A.W ki shaan main likhte rahen (ameen)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Muhammed
Guest
|
|
«Reply #14 on: July 08, 2008, 12:20:49 PM » |
|
Shukriya Talat Ji.. Inshaallah Kal Se Is Topic Ko Start Karunga.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|