Na'at Shareef......!

by Talat on May 27, 2008, 11:09:19 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 12610 times)
sanya310
Guest
«Reply #30 on: April 03, 2009, 07:40:40 PM »
Reply with quote
its lovely Talatt
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KOI TO HAMEIN BHI BATLA DE WOH ROZA - E - ATHAR KAISA THHA ( NAAT SHAREEF ).........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #31 on: April 03, 2009, 07:41:51 PM »
Reply with quote
Thanks Nobi Usual Smile
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #32 on: April 05, 2009, 05:23:42 AM »
Reply with quote
Maqsood-e-zindagi hai itta'at Rasool ki
Mairaj-e-bandagi hai Mohabbat Rasool ki

Ko'tahiye amal ka mujhe khas gham nahi
Kaafi hai mere waste nisbat Rasool ki

Unke karam ki shaan kisi mein kahin nahin
mujrim ko dhoondti hai shifa'at Rasool ki

har aarhe waqt Rehmat-e-alam ko yaad kar
Tujhse bohat qareeb hai rehmat Rasool ki

Imaan-o-aag ki jise kehta hai yeh jahan
Ulfat Rasool ki hai woh, ulfat Rasool ki

Irshad-e-marra'ane se sabit huwa yeh raaz
Deedar hai Khuda ka ziyarat Rasool ki

Mukhtar-e-kainaat koi aur to nahin
duniya Rasool ki hai to jannat Rasool ki

Sar par rakhe taj woh shifa'at jab ayenge
Dekhenge shaan roz-e-qayamaat Rasool ki

"Khaliq" jo maut aaye to aaye kuch is tarah
Pesh-e-nazar rahe mere soorat Rasool ki

Not Mine

Subhan allah Talat....dars o Tadrees aur soz Se Mamoor hai Ye Ash'aar..Kuch ahaditho k Matan ka Ujala dikhai de raha hai In ash'aron me
Yaani didaar e khuda..Ziyarat Rasool ki...wallah " Mann ra'aani Faqad ra'al haqq"...Huzoor ka Irshaad e Mushkbaar- Jisne Mujhe dekha Usne Haqq dekha.,Khuda ko dekha- allah allah Mazar e Khuda,Soorat Rasoolallah ki...

                         || RAZA || 

Arsh e haqq hai,Masnad e Rif'at Rasoolallah ki.,
Dekhni Hai Hashra Mein,Izzat Rasoolallah ki.......

Wo Jahannum Mein Gaya,Jo Unse Mustagnee Hua.,
Hain Khalil ul allah ko,Hajat Rasoolallah ki.......

Ahl e Sunnat Ka Hai,Beda paar Ashaab e Huzoor.,
Nazm Hai aur Naav Hai,Itrat Rasoolallah ki.......

Tuz se Aur Jannat se Matlab Munaafiq door Ho.,
Hum Rasoolallah ke,Jannat Rasoolallah ki.......

Kabra Mein Lehraayege Ta-Hashra Chasm e Noor Ke.,
Jalwa Farmaa Hongi Jab,Tal'at Rasoolallah ki.....

Ey RAZA Khud Saahib e Qur'aan Hai Maddah e Huzoor.,
Tuz Se Kab Mumkeen Hai Fir,Mid'hatt Rasoolallah ki.....
                 
              ( S**** allahu Ta'ala a'ala afzaloos salaatu vas sanaa )

              -- Imaam Ahmed Raza Radiallahu anhu va Radu anhum,
                 Mazaar e Paak Bareilly Sharif,U.P,Al-Hind

[ Insha allah Ta'ala waqt Milte Hi Tashreeh Karuga In ash'aaro ki..wallahu Ta'ala aa'lum ] 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #33 on: April 05, 2009, 03:52:36 PM »
Reply with quote
NIce One, Ashraf Bhai,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #34 on: April 06, 2009, 04:22:41 AM »
Reply with quote
NIce One, Ashraf Bhai,.

AZeem Miyaan..Kuch Padhte bhi Ho Yaa Direct Nice One Bol dete Ho Janab...

Dekho Kareeb se Kitni Badi Galati Sarjadd Huee Khataa Mujse Huee
Amdan-Qasdan
"Mazar e Khuda,Soorat Rasoolallah ki..."

Astagfirullah Rabbi Min Qulle Zambivy Va Atuboo Ilayhe..

Ya Allah..Itni badi Galati Huee Mujse Maaf Farmaade Mujhse..
Maine Taubaa Ki..Sub Tere Bandon K saamne..Tu Hazir o Nazir Hai..Maaf Farma aey Rabb e Qa'aba..Ba Vasila e Huzur e paak Tahiyyet us sana k Mubaraq va Mas'ood Naam e paak Sadq..

Sahih lafz -
 " Maz'har e Noor e Khuda,Surat Rasoolallah ki.."

Aur " Nazm " Nahi Sahih Lafz Hai - " Najm "...Sitaare

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #35 on: April 06, 2009, 03:18:46 PM »
Reply with quote
AZeem Miyaan..Kuch Padhte bhi Ho Yaa Direct Nice One Bol dete Ho Janab...

Dekho Kareeb se Kitni Badi Galati Sarjadd Huee Khataa Mujse Huee
Amdan-Qasdan
"Mazar e Khuda,Soorat Rasoolallah ki..."

Astagfirullah Rabbi Min Qulle Zambivy Va Atuboo Ilayhe..

Ya Allah..Itni badi Galati Huee Mujse Maaf Farmaade Mujhse..
Maine Taubaa Ki..Sub Tere Bandon K saamne..Tu Hazir o Nazir Hai..Maaf Farma aey Rabb e Qa'aba..Ba Vasila e Huzur e paak Tahiyyet us sana k Mubaraq va Mas'ood Naam e paak Sadq..

Sahih lafz -
 " Maz'har e Noor e Khuda,Surat Rasoolallah ki.."

Aur " Nazm " Nahi Sahih Lafz Hai - " Najm "...Sitaare

AsfrafSaheb, Jab Dil Se Koi Kalaam Pardha Jaaye, Aur Wo Kalaam Jisme Rasool Sall Allahum Alayhi Wasallam Ka Zikar Ho,.
Maine Un Lines Par Gaur Nahi Diya, Main Pardhta Chala Gaya,.

Allah Mujhe Bhi MaafKarein,.
Aameen,.
Ya Rabul Aalameen,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: April 08, 2009, 10:23:47 AM »
Reply with quote

Subhan allah Talat....dars o Tadrees aur soz Se Mamoor hai Ye Ash'aar..Kuch ahaditho k Matan ka Ujala dikhai de raha hai In ash'aron me
Yaani didaar e khuda..Ziyarat Rasool ki...wallah " Mann ra'aani Faqad ra'al haqq"...Huzoor ka Irshaad e Mushkbaar- Jisne Mujhe dekha Usne Haqq dekha.,Khuda ko dekha- allah allah Mazar e Khuda,Soorat Rasoolallah ki...

                         || RAZA || 

Arsh e haqq hai,Masnad e Rif'at Rasoolallah ki.,
Dekhni Hai Hashra Mein,Izzat Rasoolallah ki.......

Wo Jahannum Mein Gaya,Jo Unse Mustagnee Hua.,
Hain Khalil ul allah ko,Hajat Rasoolallah ki.......

Ahl e Sunnat Ka Hai,Beda paar Ashaab e Huzoor.,
Najm Hai aur Naav Hai,Itrat Rasoolallah ki.......

Tuz se Aur Jannat se Matlab Munaafiq door Ho.,
Hum Rasoolallah ke,Jannat Rasoolallah ki.......

Kabra Mein Lehraayege Ta-Hashra Chasm e Noor Ke.,
Jalwa Farmaa Hongi Jab,Tal'at Rasoolallah ki.....

Ey RAZA Khud Saahib e Qur'aan Hai Maddah e Huzoor.,
Tuz Se Kab Mumkeen Hai Fir,Mid'hatt Rasoolallah ki.....
                
              ( S**** allahu Ta'ala a'ala afzaloos salaatu vas sanaa )

              -- Imaam Ahmed Raza Radiallahu anhu va Radu anhum,
                 Mazaar e Paak Bareilly Sharif,U.P,Al-Hind

[ Insha allah Ta'ala waqt Milte Hi Tashreeh Karuga In ash'aaro ki..wallahu Ta'ala aa'lum ] 

Shukriya Raza ......Aapne bhi  behad dilkash Na'at Sharif pesh ki hai....bohot hi dil ko lubhati hai....kuch lafzon ke maaene albatta dekhne pade.....Shukriya aapne yahan ise likha.
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #37 on: May 02, 2009, 06:21:31 PM »
Reply with quote
bohot hi khoob peshkash hai...mashaallah
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #38 on: May 02, 2009, 07:44:17 PM »
Reply with quote
Not Mine...

Nabi Nabi Nabi Nabi

Chaman Chaman ki dilkashi,gulon ki hai wo taazgi,
hai chand jinse shabnami,wo kehgashaan ki roshni..

fazaon ki wo raagini,hawaaon ki wo naghmagi,
hai kitna pyaar ana mubi,nabi nabi nabi nabi...

.

Zameen bani zamaan bane,makeen bane makaan bane,
chuni bane chuna bane,wo waj'he kunfakaan bane..

Kaha ye maine aye Khuda,ye kiske sadqe mein bana,
to ghaib se sada mili,nabi nabi nabi nabi...

.

Ye aamade bahar hai,wo noor ki qataar hai,
fazaa bhi khushgawar hai,hawaa bhi mushkbaar hai..

Hawaa se maine jab kaha,ye kaun aa gaya bata,
hawaa pukaarti chali,nabi nabi nabi nabi...

.

Jo sidra par nabi gaye,to jibraeel bole ye,
zara gaya udhar pare,to jal padenge par mere..

to nabi ji aage chal pade,wo sidra se nikal pade,
zameen pukaarti rahi,nabi nabi nabi nabi...

.

Wo husn-e-lazawaal hai,wo ishq-e-bemisaal hai,
jo charq ka hilaal hai,wahi to ek bilal hai..

ke badan sulagti reth par,ke thar thara uthe hajar,
magar zubaan pe bas yahi,nabi nabi nabi nabi...

.

Chale jo qatl ko umar,kaha kisine rok kar,
kahan chale ho aur kidhar,mizaaj kyun hai arsh par..?

Zara behen ki lo khabar,fida hai wo rasool par,
wo keh rahi hai har ghadi,nabi nabi nabi nabi...

.

Umar chale behen ke ghar,ghazab me soch soch kar,
udayenge hum unka sar,jo hai nabi ke deen par..

suna hai jab Qur'an ko,khuda ke us bayan ko,
umer ne bhi kaha yahi,nabi nabi nabi nabi...

.

wo husn-e-intekhaab hain,wo ishq-e-lajawaab hain,
wo rehmaton ke baab hain,wo noor ki kitaab hain..

wo jis taraf nikal gaye,fazaa me phool khil uthe,
kali kali pukaar uthi,nabi nabi nabi nabi...

.

wo ishq ka husool tha,wo sunniyat ka phool tha,
wo aisa ba usool tha,ke aashiqe rasool tha..

to raza se maine jab kaha,ye shaan kiski hai 'ata,
raza ne bhi sada yahi,nabi nabi nabi nabi...

.

Raza ka ye payaam hai,wazifaye tamaam hai,
wahi to nek naam hai,nabi ka jo ghulam hai..

jo aashiq-e-nabi huwa,khuda ka wo wali huwa,
wahi huwa hai jannati,nabi nabi nabi nabi...

Not Mine...
Logged
Talat
Guest
«Reply #39 on: June 25, 2009, 11:52:45 AM »
Reply with quote
Very beautiful Na'at Sharif, SS
Logged
sajidccil
Guest
«Reply #40 on: July 28, 2009, 01:03:10 PM »

just4you
Guest
«Reply #41 on: August 14, 2009, 05:31:56 PM »
Reply with quote
 :clap:Nyc !! yara
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004

View Profile
«Reply #42 on: May 03, 2010, 09:49:16 AM »
Reply with quote
nice sharing Talat ji

diladi yaad aaqa ki, ke ab dil nahi lagta yaha
mujhe bhi le chal,sabz gumbad se hawa aati hai jaha
Logged
razia sultana
Guest
«Reply #43 on: January 03, 2011, 03:14:17 PM »
Reply with quote
i want a naat (jo tarpati hai dil meira wo ulfat hai mohammad ki).plz share it with me.i will be very thankful to you.
Logged
Rohina
Guest
«Reply #44 on: June 06, 2011, 06:04:42 PM »
Reply with quote
jo hai pesh-e-nazar her dum wo sorat hai mohammad kee
jo tarpati hai dil mera wo sirat hai mohammad kee

gonahgaroon ko jub janat k darwazye pe rokain gay
hokum hoga k janye do ye umat hai mohammad kee

Na hum janat main jain gay na hum dozakh main jaain gay
kharye dekha karain gay hashar main sorat mohammad kee

madinay se jo aati hai to itna pooch leta hoon
Saba jaldi bata kesi tabiyat hai mohammad kee

Subhaan Allah.....
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:54:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer