Na'at Shareef......!

by Talat on May 27, 2008, 11:09:19 PM
Pages: 1 2 3 [4]  All
ReplyPrint
Author  (Read 12534 times)
Naath
Guest
«Reply #45 on: December 06, 2011, 09:08:34 AM »
Reply with quote
Not Mine...

Nabi Nabi Nabi Nabi

Chaman Chaman ki dilkashi,gulon ki hai wo taazgi,
hai chand jinse shabnami,wo kehgashaan ki roshni..

fazaon ki wo raagini,hawaaon ki wo naghmagi,
hai kitna pyaar ana mubi,nabi nabi nabi nabi...

.

Zameen bani zamaan bane,makeen bane makaan bane,
chuni bane chuna bane,wo waj'he kunfakaan bane..

Kaha ye maine aye Khuda,ye kiske sadqe mein bana,
to ghaib se sada mili,nabi nabi nabi nabi...

.

Ye aamade bahar hai,wo noor ki qataar hai,
fazaa bhi khushgawar hai,hawaa bhi mushkbaar hai..

Hawaa se maine jab kaha,ye kaun aa gaya bata,
hawaa pukaarti chali,nabi nabi nabi nabi...

.

Jo sidra par nabi gaye,to jibraeel bole ye,
zara gaya udhar pare,to jal padenge par mere..

to nabi ji aage chal pade,wo sidra se nikal pade,
zameen pukaarti rahi,nabi nabi nabi nabi...

.

Wo husn-e-lazawaal hai,wo ishq-e-bemisaal hai,
jo charq ka hilaal hai,wahi to ek bilal hai..

ke badan sulagti reth par,ke thar thara uthe hajar,
magar zubaan pe bas yahi,nabi nabi nabi nabi...

.

Chale jo qatl ko umar,kaha kisine rok kar,
kahan chale ho aur kidhar,mizaaj kyun hai arsh par..?

Zara behen ki lo khabar,fida hai wo rasool par,
wo keh rahi hai har ghadi,nabi nabi nabi nabi...

.

Umar chale behen ke ghar,ghazab me soch soch kar,
udayenge hum unka sar,jo hai nabi ke deen par..

suna hai jab Qur'an ko,khuda ke us bayan ko,
umer ne bhi kaha yahi,nabi nabi nabi nabi...

.

wo husn-e-intekhaab hain,wo ishq-e-lajawaab hain,
wo rehmaton ke baab hain,wo noor ki kitaab hain..

wo jis taraf nikal gaye,fazaa me phool khil uthe,
kali kali pukaar uthi,nabi nabi nabi nabi...

.

wo ishq ka husool tha,wo sunniyat ka phool tha,
wo aisa ba usool tha,ke aashiqe rasool tha..

to raza se maine jab kaha,ye shaan kiski hai 'ata,
raza ne bhi sada yahi,nabi nabi nabi nabi...

.

Raza ka ye payaam hai,wazifaye tamaam hai,
wahi to nek naam hai,nabi ka jo ghulam hai..

jo aashiq-e-nabi huwa,khuda ka wo wali huwa,
wahi huwa hai jannati,nabi nabi nabi nabi...



Not Mine...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KOI TO HAMEIN BHI BATLA DE WOH ROZA - E - ATHAR KAISA THHA ( NAAT SHAREEF ).........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Avesh
Guest
«Reply #46 on: April 07, 2013, 02:28:07 AM »
Reply with quote
MASAHALLAH brother very sweet allahazarat sayri
Logged
Pages: 1 2 3 [4]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:13:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer