9th night devoted to the Siddhiratri ( Nineth Avatar )
Ensconced upon a lotus, most commonly, with 4 arms, and is the possessor of 26 different wishes to grant her bhakts. Siddhiratri's famous pilgrim centre, is located in Nanda Parvat in the Himalayas.
Novi Sidhi Dhatri jagjaane
Jai Sidhi Dhatri tu Sidhi ki daata
Tu bhakto ki rakshak tu daso ki maata
Tera naam lete he milati hai Sidhi
Tere naam se man ki hoti hai shudhi
Kathin kaam sidh karati ho tum
Jabhi hath sewak ke sir dharati ho tum
Teri pooja main to na koi vidhi hai
Tu jagdambein daati tu Sarvsidhi hai
Raviwar (Sunday) ko tera sumrin kare jo
Teri murti ko hi man main dhare jo
Tu sab kaaj uske karati ho poore
Kabhi kaam us ke rahe na adhure
Tumhaari daya aor tumhaari yah maaya
Rakhe jiske sir per maiya apni chaya
Sarv Sidhi Daati wo hai bhagayeshaali
Jo hai tere dar ka hi Ambein sawali
Himachal hai parvat jahan vaas tera
Maha Nanda mandir main hai vaas tera
Mujhe asra hai tumhara hi maata
Vandna hai sawali, tu jiski daata (NM)
March 19th se Navratre shuru hai. Main is post mai kuch prayers likh rahi hu... jo in dino mai padi jaati hai:)
First Prayer:
Mitti ka tan hua pavitar Ganga ashnaan se
Antah karan ho jaaye pavitar Jugdembe ke dhayan se
Sarv Mangal Maanglay Shive sawarth sadhake
Sharnaye Triyambke Gorry Narayani namohustute
Shakati shakati do mujhe karu tumhara dhayan
Path nirvighan ho tera sabka ho kalyaan
Hirday sainghasan per aa baitho meri Maat
Suno vinay mum din ki jug janani vardaat
Sunder Deepak ghee bhara karu aaj taiyaar
Gayaan ujaalla Ma karo metto moh andhkaar
Chandar Suray ki roshani chamke Vandna ankhand
Sab main vayapak tej hai jawala ka pranchand
Jawala jug janani sabki raksha karo hamesh
Door karo Ma Ambinka sabke sabhi kalesh
Shardha aor vishwaas se teri jayot jalaau
Tera hi hai asra tere hi gun gaau
Teri adhBhudh gaatha ko padu main nishchaye dhaar
Sakshaat darshan karu, tere jagat adhaar
Man chanchal se path ke samaye jo aogun (awgun) hoye
Daati apni daya se dhayan na dena koi
Main anjaan malin man, jaanu na koi reet
Aat pat vaani ko hi Ma samjho meri preet
Vandna ke aogun bahoot, karma na Ma dhayan
Singh vahini ma Ambike karo sabka kalyaan
Dhanye dhanye ma Ambike Shakati Shiva vishal
Ang ang main rum rahi Daati Din Dayal!!! (NM)
3rd night devoted to the Chandraghanta (Third Avatar )
Worshipped on the 3rd night this Ma Durga Shakti is astride a tiger, displays a golden hue to her skin, possesses ten hands and 3 eyes. Eight of her hands display weapons while the remaining two are respectively in the mudras of gestures of boon giving and stopping harm. Chandra + Ghanta, meaning supreme bliss and knowledge, showering peace and serenity, like cool breeze in a moonlit night. Ma is worshipped in this form in Kanchipuram (Tamil Nadu) India.
Teesari ‘Chandra Ghanta Shubh Naam
Jay Ma Chandra Ghanta Sukh Dham
Puran kijo mere kaam
Chandra saman tu Sheetal daati
Chandra tej kirno mai samaati
Krodh ko shaant banae wali
Meethe bol sunane wali
Man ki malak man bhati ho
Chandra Ghanta tum Vardaati ho
Sunder bhaw ko laane wali
Her sankat main bachane wali
Her budhwaar ko jo tujhe dhayae
Shardha sahit jo vinaye sunaaye
Murti Chandra akaar banaaye
Samunkh ghee ki jayot jalaaye
Sheesh jhuka kahe man ki baata
Puran aass karo jagdaata
Kanchipur sathaan tumhara
Karnitika main maan tumhara
Naam ter rattu Maharani
Vandna ki Raksha karo Bhawaani!! (NM)
2nd night devoted to the Bhramcharni (Second Avatar )One hand holds a "Kumbha" or water port and the other rosary. She personifies love and loyalty. Bhramcharni is store-house of knowledge and wisdom. Rudraksha is HER most adorned ornament.
Doosri Brahmcharni man bhaweJay Ambe
2nd night devoted to the Bhramcharni (Second Avatar )
One hand holds a "Kumbha" or water port and the other rosary. She personifies love and loyalty. Bhramcharni is store-house of knowledge and wisdom. Rudraksha is HER most adorned ornament.
Doosri Brahmcharni man bhawe
Jay Ambein Brahmcharini Mata
Jay Chaturagan Priye such data
Brahma ji ke man bhati ho
Gyan sabhi ko sikhlati ho
Brahm mantar hai jaap tumhara
Jis ko jupe sakal sansara
Jay Gyatri Ved ki mata
Jo jan nis din tumko dhayata
Kami koi rahne na paaye
Koi bhi dukh sahne na paaye
Uski virati rahe thikane
Jo teri mahima ko jaane
Rudraksh ki mala laker
Jupe jo mantar shardha dekar
Aalas chor kare gungaana
Ma tum usko sukh pahuchana
Brahmcharini tero naam
Puran karo sab mere kaam
Vandna tere charno ki pujaran
Rakhna laaz meri Ma Chaturagan(NM)
in Brahmcharini Mata
Jay Chaturagan Priye such data
Brahma ji ke man bhati ho
Gyan sabhi ko sikhlati ho
Brahm mantar hai jaap tumhara
Jis ko jupe sakal sansara
Jay Gyatri Ved ki mata
Jo jan nis din tumko dhayata
Kami koi rahne na paaye
Koi bhi dukh sahne na paaye
Uski virati rahe thikane
Jo teri mahima ko jaane
Rudraksh ki mala laker
Jupe jo mantar shardha dekar
Aalas chor kare gungaana
Ma tum usko sukh pahuchana
Brahmcharini tero naam
Puran karo sab mere kaam
Vandna tere charno ki pujaran
Rakhna laaz meri Ma Chaturagan(NM)