Padhkar ke Guru Granth zehen ko mubarak bana lo

by @kaash on December 03, 2010, 11:48:07 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3721 times)
@kaash
Guest
Reply with quote




padhkar ke Guru Granth zehen ko mubarak bana lo
guruon ne di hain jo shikchha jeevan saja lo


isme sikh dharm ke pehle guru GuruNanak ji ki bani hai
jise doosre guru GuruAngad ki swayam ki bani sang milayi hai
teesre guru GuruAmardaas ji ne 'Govindwal pothis' isme joda
jisme unhone bhagatbani,apni shikchha va Nanak ji ko kaha

chauthe guru GuruRamdas ji ke bhajano ko ga lo

padhkar ke Guru Granth  zehen ko mubarak bana lo


alaukik vaakyon ko aur badhaya Panchve guru Guru Arjan ji ne
pratyek lafz Granthsahib ka dooba hai ati pavitra vani me
Guru Hargobind, Guru HarRai ko hum sadar sheesh navate hain
Guru HarKrishan,Guru Teghbahadur ka hriday se vandan karte hain

Poojya GuruGobind Singh ki yaad me aankhen bhar lo
padhkar ke Guru Granth zehen ko mubarak bana lo


jeevaatma tatha parmaatma ke samuchit darshan ye sikhata
GuruGranth ki mahaanta ye Guru bankar bhi asheesh lutata
iske sidhaanton par chalne se jeevan safal hota hai
kaam,krodh,lobh,mad,moh ahankaar se ye door karta hai

samaanta ke iske darshan ko aatmaa me basa lo

padhkar ke Guru Granth  zehen ko mubarak bana lo



padhkar ke Guru Granth  zehen ko mubarak bana lo
guruon ne di hain jo shikchha jeevan saja lo




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Ghazals
zehen...... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
haay kaya kiya mujko deewaana bana diya ...rehan mubarak "tanhaa" by haan in Shayri-E-Dard
Zehen mein har khayaal.... by RUHAANII in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 03, 2010, 01:26:42 PM »
Reply with quote
Sabse pehle Dhan Dhan Gursikhi..

Kaash Ji Aapka Dhanyawaad Kin Lafzon mein Kiya Jaaye, Aapne Sikhi Ko Iss Kavita mein Dhaal Diya..bahut Hi khoobsurti Se Aapne Sikhi jeevan Aur Unke guruon Ke Guuno Ko Iss Kavita mein Dhaala Hai..

Aur Yakeen Maniye, 10 Guruon Ke Tasveer Aur Dhan Shri Guru Granth Saheb Ke Tasveer Ke darshan Karke Mann Nihaal Sa Ho gaya..

Aapka Tehhhhhhhhhhhhhhhhhhhh Dillllllllllllll Se Dhanyawaad

 notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 03, 2010, 03:27:36 PM »
Reply with quote
Achchi presentation hai kaash ji, pardhkar achcha laga thanks for the knowledge you shared with us,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: December 06, 2010, 04:17:48 AM »
Reply with quote
Good one Kaash Ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:56:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer