thanks Pandey ji for yr nice appreciation.
and in which context Krishna is telling to Arjun that is not being written by you,well aagrah yahi ki aapne bhi kuch likha hota to aur acha lagta.
ek choti/prayer si rachna prastut kar raha hun
vo nirakaar hai vo hi satya vo hi Brahma hai
Brahm me sthit hona hi Brahamnatva hai
vo sabki sunta parmatma har dil me rahta hai
vo amrit se bhi meetha aur pyaar se bhi dulara hai
uski sahaj kripa se hi manav ne jeevan ko paya hai
hai uska haath papi,dani,karmi,akarmi,doshi,dayalu sab par
uski nazar me har insaan ne ek hi darja paya hai
vo purtan hai sanatan hai aadi se bhi aadi hai
vo sarvroop sarvvyaapt sarvshaktishali hai
vo hi prem ka sagar hai vo hi karuna ki khaan hai
uske lie sikh isaai hindu muslim har shakhs samaan hai
@kaash ji "Brahm satyam jagat mitthya" aik aisa maha mantra hai jis per anaadi kaal se hi bhartiye manishinion ne chintan manan karke manas ptal ko aalokit kiya hai.. yahan tak ki Vedon ka lipibaddh na kiya jana bhi nirakaar ke prati samman prakat karne ka aik sasakt tareeka tha. Kintu kalantar me shrutiyon ko saakar roop mein parinit karke Vedon ki rachna ki gai.. jise ham Indo-European sangam kah sakte hain.. iska shreye Aryon aur bhartiyon ka sammilit prayas ko jata hai. Vedon mein (Rig-veda)nirakaar brahm ki hi upaasna ki gai hai.
Brahm ke nirakaar swaroop ko NAAD ke roop mein Ramcharit manas ke rachiyta Tulsi Das Ji ne kuchh youn rekhankit kiya hai;
Soo-han smriti jyoti akhanda, Deep shikha soi param prachanda!!
Punah isi baat ko dusre shabdon me kaha hai;
Pag binu chalay sunay binu kaana, Kar binu karai karam bidhi nana!!
Isi OMKAAR naad ko samarpit karta hun kuchh shabd...
Vishav ke udgam mein hai bas aik naad OMKAAR,
Avani aur ambar mein hai bas aik naad OMKAAR,
Prakriti aru purush mein hai aik naad OMKAAR,
Har sans har dhadkan mein hai aik naad OMKAAR.
Har cheekh aur pukar mein hai aik naad OMKAAR,
Pooja mein hai ajaan mein hai aik naad OMKAAR,
Srishti ke har praan mein hai aik naad OMKAAR,
Har naad mein anunaad hai bas aik naad OMKAAR.