Parmaatma

by @kaash on September 06, 2010, 11:25:24 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1073 times)
@kaash
Guest
Reply with quote

Bahudha prashna ye uthta raha manomastishk me
Swabhavik hota hai prashno ka uthna
Parantu prashna koi bhi swabhavik roop se sadharan nahi hota
Aur prashn jiska samadhaan shanka roopi nistej jo samadhan ka tej de de
Jo garima ko aur garimamay kar de
Jiske nistaran se ast hue anand ke soorya khil uthe
Jo gyan ke lalaat ko prakashmayi ooj de de
Aise prashna jo aatma antas se poochhe
ki kaise ye jagat ka kaarybhaar iska sanchalan ho raha hai
brahmaand ka pratyek annu kis hetu pratipal sanchit vighat.it ho raha
kuruchhetra ki us agnibela par Arjun ko sahaj hi saare uttar mil gaye
Hari swayam use har rahasuodghatan karte chale gaye
Kintu vo Kauntaiya tha jo apne man ke aabhushano ki aabha par isthir tha
Aur us pahar usse baat swayam Hari kar raha tha,samjha raha tha
Phir aur sadharan uttar is asadharan prashna ka kya ho sakta hai
Saral shabdon me arth jo nihit the gyani jano se ye pata laga
Jise jaankar jise samajhkar ye jeev krut kritaarth ho gaya
Ki samast dhara ye samast bramaand us prabhu ke andar hai
Pratyek annu me vo swabhavik va prakritik roop se vidhyamaan hai
Aur pratyek jeev ka uski bhavnaon ke aunsaar abhinandan aur uska hit karta hai

Tatha jin bhi bhavnaon se hum uski pooja,vandana, archan karte vo sadar grahan karta hai
Jitna hum ramte hain usme utna us Paramachhar us Parambrahm ko jaan pate hain
Parantu use jaanne se zyada sahaj va saral use pana hai
Use janna atyant kathin ya asambhav hai ye kahen to atishyokti nahi
Kyunki rachaiyata se hi rachna hai aur is rachnakaar ne pratyek rachna me apna ansh rakha hai
Pratyek jeev me apne avinashi sanatan ansh ko aatma roop me isthit kiya hai
Jiske zariye nissandeh us parampita parmeshwar ko paya ja sakta hai
Kewal uski kripa se use paya va jana ja sakta hai
Pabhu ke bataye maarg uski bhakti se nishchit hi uski kripa ke hum adhikaari ho sakte hain
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: September 06, 2010, 11:55:12 AM »
Reply with quote
Bahut achi vichaar aur khoobsurti se likha aapne Kaash ji.great creation. icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #2 on: September 07, 2010, 01:54:09 PM »
Reply with quote


  Thoughts bahut khoobsurat pesh kiy hai aapne Kaash ji. Thumbs UP Thumbs UP
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: September 09, 2013, 05:54:08 PM »
Reply with quote
Madhu ji, tamanna ji aapka bahut shukriya!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:13:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer