raam jaane

by ranjeet_rp on December 13, 2005, 12:28:54 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2347 times)
ranjeet_rp
Guest
Reply with quote
kahte hain uski marji ke bina patta bhi nahi hilta
phir kyon hote hain chori aur balatkar
insaanon ki loot khasot aur bhrashtachar
garibi main piste bache laachar
aur aurton ka lagta hua bajaar
kyon uski marji bhi inmain shamil hai
ram jaane(only god knows)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Allah Kaho Raam Kaho Ya Kaho Bhagwaan by Azeem Azaad in Shayari-e-Parastish « 1 2 3  All »
Sai Raam Bolo(inspired) by dolly in Miscellaneous Shayri
MAN MEN RAAM BASA LE MAN MADIR BAN JAYEGA......bansi by BANSI DHAMEJA in Share:Miscellaneous Shayari « 1 2  All »
Raam naam satya hai marne se pehle jaano by @Kaash in Shayari-e-Parastish
ranjeet_rp
Guest
«Reply #1 on: December 31, 2005, 08:51:50 AM »
Reply with quote
aap kah sakte hain inhen karmon ka phal
jiski hui cheej chori uske karmon ka phal hai
jisse huwa balatkar uske karmon ka phal hai
garib hai jo wo bhi uska karam hai
pakar main nahi aata par ye maram hai
kisi ko dene ko uske karmon ka phal
kisi aur se karwa daalo galat karam?
kaisa hai ye majra
ram jaane(only god knows)
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #2 on: December 31, 2005, 09:01:51 AM »
Reply with quote
aap kahenge khuda nahin karta galat karam
ye to sirf insaanon ka hai man
inssan jo chahe karte hain
khuda deta hai sirf uska phal
par agar koi balatkar naa kare
to kaise de payega khuda
balatkar se pirit
us aurat ko pichle karmon ki saja
aai bari duwidha
raam jaane(only god knows)
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #3 on: December 31, 2005, 09:09:01 AM »
Reply with quote
agar karne waala bhi woh hai
aur karata bhi woh hai
to insaan kyon bhoge karmon ki saja
jabki saara karam hai usi ne kiya
par agar insaan hi hai karne wala galat karam
aur khud hi deta hai karmon ki saja
to phir kyon kahlata hai woh khud ko khuda
ram jaane(only god knows)
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #4 on: December 31, 2005, 09:21:27 AM »
Reply with quote
agar koi karta hai balatkaar
to woh hai khuda ki marji
ya us soch ki galti
jo aurat ko bhog ka saamaan manti hai
bazaron main gai mata se sasti bechti hai
 jaidad aur siyasat(politics)se marhoom rakhti hai
agar koi hai gareeb
to ye hai uska naseeb
ya insaan ki galti hai
jo khud hi kagaj ke note chapti hai
aur use sahi tarha se nahi bantti hai
mehnat ke hak ka proffit
khud dakarti hai
dharm (religious superstetions)aur siyasat(votes) ke liye
aabadi barhati hai
raam jaane(only god knows)
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 12:26:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer