RAH-E-RAAST

by surindarn on November 19, 2014, 09:35:17 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 708 times)
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
Reply with quote
RAH-E-RAAST AGAR CHEH DOOR HAST Yeh ek Faarsii kee idiom hai, the last word HAST isse AST bhi likhte hain, donon kaa matlab ek hee hotaa hai. Iss idiom ke literal meaning hain, hameshaa jaanee pehchaanee rah pe hee chalnaa chaahiye, chaahe woh kitnee bhi lambhee yaa mushkil ho. Lekin iss idiom ke philosophical meaning bhi hote hain jo main ek sher kee shakal mein pesh kar rahaa hoon, yeh neeche darj hai.

DUNIYA KE MAALIK MUJHE TEHRIK DE AISEE KE RAH-E-RAAST PE HEE CHALOON,
RAH CHAAHE KITNEE BHI DUSHWAAR-O-LAMBHEE HO RAH-E-RAAST PE HEE CHALOON,
DARTAA HOON KE KAHIN BHATAK NAA JAAUN KISEE TAARIK RAAHON MEIN,
KAR DE HAR RAH APNE GHAR KEE ROSHAN TAA KE TERE GHAR KEE RAH PE HEE CHALOON!!

Tehrik = inspiration; wisdom; Dushwaar = mushkil; Raast = sahee; theek;

Year 1975 - 1980 main Iran mein Architect/Planner kaa kaam kartaa thaa, kaam ke sisile mein main aksar National Iranian oil Company ke planes mein travel kiyaa kartaa thaa, Inh flights mein kaafi Iranians mere dost ban gaaye theh. Ek dost ne mujhe iss Idiom kaa matlab bataayaa thaa aur yeh bhi bataayaa thaa ke yeh Idiom ek darvesh ne 14th century mein India kee visit ke baad likhee thee. Uss ne mujhe yeh bhi bataayaa thaa ke iss kaa idea Darvesh ko Veda's kee kisee Hyme se hee milaa thaa. Yeh mujhe kuchh hee saal pehle maloom parhaa hai ke idiom kaa matlab Gayatri mantra kee aakhre line ke saath bilkul miltaa hai. Jisse main apnee kal kee post mein likhun gaa.

Surindar.N                                                 "MohanN"
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:52:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer