Roothi Raadhika..manaate Shyaam...dolly

by dolly on April 17, 2012, 10:09:58 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1666 times)
dolly
Guest
Reply with quote


Nayan Kateele,Lachke Kamariyaa,
Chalii panghat gori,leekar ke gagariyaa

Radhe ke kesu hain,gunthe hue phoolon se,
Dagariya hai saji hui,saawan ke jhulon se..

Peeche peeche mohan ke ,dikh rahe gwaal baal,
Raadhika ki sakhiyon k,liye dekho bichaaya jaal

Kabhi pakdte hain choti,kabhi pakde ghaghariya,
Baah jhatakti Raadhe,muskaate Kanhaiyaa..

Dekho yun satao nahi,humein tum manao nahi,
Apne ko Kanhaiyaa,bhola tum bataao nahi..

Haath badaakar hain dete,Shyaam muraliyaa,
Raadhe ab maan jao,hansegi ye sakhiyaan

Sapna rahega soona,saaz rahega adhoora
Raadhe ke bina ye,shyaam naa rahega poora

Bansi bhi bajaana aur,gayiyaan bhi charaana tum,
Hum daude chale aayenge shyaam,akele mein bulaana tum
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: April 17, 2012, 10:17:16 AM »
Reply with quote
bahut sunder dolly ji hardik shubhkaamnaayen
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #2 on: April 17, 2012, 10:25:21 AM »
Reply with quote
Bhooot khoob
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #3 on: April 17, 2012, 10:26:07 AM »
Reply with quote
Bhooot khoob
Logged
dolly
Guest
«Reply #4 on: April 17, 2012, 10:29:19 AM »
Reply with quote
bahut sunder dolly ji hardik shubhkaamnaayen

Thank u sk jii...:)shukriyaa....Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: April 17, 2012, 11:00:21 AM »
Reply with quote
bahut sundar bhakti ras se bharpoor kalaam. Raadhika ke kesu  ka sara jag deewana hai.  vaaah vaah.
Logged
Anahita
Guest
«Reply #6 on: April 17, 2012, 12:06:33 PM »
Reply with quote
Bhaut badhiya Didi
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #7 on: April 17, 2012, 12:17:55 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: April 17, 2012, 01:14:08 PM »
Reply with quote
Superb ! Just superb !! Aisi  devotional  poetry  per  hazaaron  ishqia  ghazlein   qurbaan !!! Hats  off !!!!
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #9 on: April 17, 2012, 04:12:14 PM »
Reply with quote
dolly jee, main to kehta hun k dil garden-garden ho gaya. Bahut khoob,aise hi liknte rahiye.
Logged
dolly
Guest
«Reply #10 on: April 17, 2012, 04:15:52 PM »
Reply with quote
Bhooot khoob

Thank u masoom..Usual Smile
Logged
sbechain
Guest
«Reply #11 on: April 17, 2012, 08:25:21 PM »
Reply with quote


Nayan Kateele,Lachke Kamariyaa,
Chalii panghat gori,leekar ke gagariyaa

Radhe ke kesu hain,gunthe hue phoolon se,
Dagariya hai saji hui,saawan ke jhulon se..

Peeche peeche mohan ke ,dikh rahe gwaal baal,
Raadhika ki sakhiyon k,liye dekho bichaaya jaal

Kabhi pakdte hain choti,kabhi pakde ghaghariya,
Baah jhatakti Raadhe,muskaate Kanhaiyaa..

Dekho yun satao nahi,humein tum manao nahi,
Apne ko Kanhaiyaa,bhola tum bataao nahi..

Haath badaakar hain dete,Shyaam muraliyaa,
Raadhe ab maan jao,hansegi ye sakhiyaan

Sapna rahega soona,saaz rahega adhoora
Raadhe ke bina ye,shyaam naa rahega poora

Bansi bhi bajaana aur,gayiyaan bhi charaana tum,
Hum daude chale aayenge shyaam,akele mein bulaana tum


dolly , kuch nahin buss aur buss superb ....! kabhi tum radha nazar aati ho kabhi meera. waise tum jo bhi ho. tumhaari beauty tumhaare kalaam se jhalakti hai.
Logged
sarfira
Guest
«Reply #12 on: April 18, 2012, 07:16:56 AM »
Reply with quote
haathi ghoda paalki
jai kanahaiya laal ki
--
raadhe raadhe Usual Smile

Maate--
 bht bht sundar likha h aapne
bht badhiyaaaaaaa Usual Smile
Logged
dolly
Guest
«Reply #13 on: April 19, 2012, 07:13:18 AM »
Reply with quote
bahut sundar bhakti ras se bharpoor kalaam. Raadhika ke kesu  ka sara jag deewana hai.  vaaah vaah.

Dhanyavaad mkvjii...Usual Smile...ji bilkul Radhika ke kesu ...ka vichaar ekdm sahi....Usual Smile
Logged
dolly
Guest
«Reply #14 on: April 19, 2012, 07:14:13 AM »
Reply with quote
bahut sundar bhakti ras se bharpoor kalaam. Raadhika ke kesu  ka sara jag deewana hai.  vaaah vaah.

Dhanyavaad mkvjii...Usual Smile...ji bilkul Radhika ke kesu ...ka vichaar ekdm sahi....Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:32:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer