Sadachaar,Manavta,Sachhai,Neki,Imaandaari har mazhab ki pramukh baaten

by @kaash on December 06, 2010, 11:59:36 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4364 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
Sadachaar,Manavta,Sachhai,Neki,Imaandaari har mazhab ki pramukh baaten
yehi dua yehi praathna hai,in par amal kar hum inhe jeevan me utaaren


prathak prathak mazhabon me hamara batna ghalat nahi
parantu apne mazhab ko hi shreshtha manna sahi nahi
koi dharm koi mazhab hume aneeti,nafrat ki shikchha nahi deta
sabka malik ek koi apne bhaiyun ko paraya samajhne ko nahi kahta

har mazhab me apne prabhu ko samajh dil se katuta sabhi mita den

yehi dua yehi praathna hai,in par amal kar hum inhe jeevan me utaaren



kya mila hai kya milega hume abtak aham baaton se khud ko door rahke
hazaron saal se saamrajyawaad,naslwaad,mazhabwaad me khoonkharaba dekhke
aaj tak samast vishwa me saari manav sabhayta shanti nahi la payi
shanti ke lie zarur parantu parmanu bamon ki hod kum na ho payi

Koria,China,Iraan,Afgaan sabhi deshon sahit khud bhi shanti failayen

yehi dua yehi praathna hai,in par amal kar hum inhe jeevan me utaaren


mazhab ko leke kattarpanthita kabhi bhi shanti nahi la sakti
zehen me kaam,krodh ki agni hume ibadat se door hai karti
manavta ke mol par hume bhagwaan se prem kabhi hasil nahi hona
manavta ki bhawna,manavta swayam bhagwaan,bhagwaan ka yehi kahna

krodh ko hum apne avguno par aur ikchha ko guno ke vikas me lagayen

yehi dua yehi praathna hai,in par amal kar hum inhe jeevan me utaaren


uparwala ek hai srasthikarta vo hi hai faqat naam alag alag hain
alag alag mazhab raasten jo sabhi le jate hume usi ki oor hain
kisi doosre ko uske raaste par na chalne dene se ahit hamara
kyunki apne vaqt ko jo hume archan me tha lagana use gawaya

shantiroop hai brahmaand,shantiroop hai Eeshwar aisa mahsoos kar len

yehi dua yehi praathna hai,in par amal kar hum inhe jeevan me utaaren


saargarbhit sachhai aur aham se aham baat bhi yehi hai
har ghadi har chhan ek avsar aur avsar ki hi ghadi hai
us pal ka sadupyog se neki durupyog se milta paap ka sila
baad me khush hon ya pachhtayen azaab,sawaab ka itna silsila

har pal har chhan prabhu ka,dil ko paak kar nek kaam me laga len

yehi dua yehi praathna hai,in par amal kar hum inhe jeevan me utaaren
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 06, 2010, 10:19:03 PM »
Reply with quote
Achchhi raye hai aap ki
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:28:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer