sai baba,sai baba tera kitna bada upkaar
sabka malik ek hai batane ke lie hua avatar
tune bhakton ke kasht hare,tum hamesha karuna ki khaan rahe
jisne bhi jab bhi jahan se pukara tum saamne aa khade hue
tera janm sabhi me prembhawna sadbhaaw badhane le lie hua
mere malik tere darbaar se koi bhi dukhiyara khali haath na gaya
teri dikhai hui raah par chal rahe hain marte dam tak chalte rahenge
brahm bhi de vardaan to tere gulshan ka phool banne ki dua karenge
tune insaniyat ka aisa diya jalaya har shakhs par tune pyaar lutaya
jaat paat ke kaanton ko alag karke tune hume mahakna sikhaya
tujhse door rahke bhi tujhe yaad karta hai gar insaan koi
tu uske aasuon ko hatane aa jata hai khud vahi
tere dar se kabhi koi dua khali nahi jati
humse to tere karam ki ginti kari nahi jati
Chaand Patil to ek bahana tha,aapko Shirdi aana tha
1830 me aap avtarit hue aur ek fakeer ke yahan pale badhe
1839 me Sant Bankusa ko saunpe gaye,jinse aadhyatmik gyaan paye
Sant Bankus se mata,pita,guru ka aapko pyaar evam sneh mila
12 varsh ki aayu tak adhyatmik darshan va divya shaktiyun ka bhandaar mila
Guru ke baad bhi guru ko aapne Eeshwar sa sammaan dia
Bhojan karte vaqt sadaiv baai oor ek aasan guru ke lie rakha
Dharmik paramparon,reeti rivaajone se bahut upar the Sai
Na Hindu na muslim na Sikh na Isaai sabhi ke the Saai
Unka maksad sabme prem baatna,prem badhana tha
Anuyayiyun ke kasht ka aabhaas unhe unse pehle ho jana tha
Mere Sai kisi ka dukh dekh nahi pate the,turant door karte
Paancho tatva agni,prithvi,jal,vaayu,aakaash unke adheen the
Shradhha saburi mool mantra Sai ne hum sabko dia
Sadaiva Brahma me nishtha rahen hume prerit kiya
Vishaya vikaar se door rahkar hi asli anand hai
Ye jagat mithya hai maya me nahi anand hai
Krodh,dikhave se brahm me nishth na ho payenge aapne sikhaya
Laalchi va Lobhi bhakton ko aapne sada aahat se pehchana
Ahankaar,abhimaan se jo door rahen aap unke hriday me rahe
Chamatkaar karte rahe par srishti ke niyam na kabhi badle
Masjid me rahe hamesha Saai jise vo Dwarkamaai bulate the
Bhawna ko hi vandana me sabse pramukh vo mante the
Baaijabaai beta samajh unhe apne haathon se khilaati thi
Sai ko karuna usi tarah aaj bhi sabpar aur kal bhi sneh lutaati thi
Sai fakeer ke bhes me usi Khuda usi Eeshwar dwara bheje gaye the
Sabka Malik Ek hain Sai sabko yehi updesh dia karte the
Ram Raheem ek hain dekho bandon unme bhed na rakho
Apni apni bhawna se tum nirakaar parmaatma ko bhajo
Koi nirgun ko,koi sagun ko koi dono ko hai bhajta
Bhajo man se chahe jaise bhi jise bhi tum bhajo
Sai ka avatar manushyon me prem badhane le lie hua
Har shakhs ek duje se prem kare,bhaichaargi ke lie hua
Allah Malik hai main uska adna banda mere Sai sada hi kahte the
Bhaktgan ki bhawna dekh apni aarti se bhi mana nahi karte the
Kabhi mare ko jila dia kabhi pane se Deepak jalaye aapne
http://www.indif.com/kids/hindi_stories/Sai_baba/images/sai_baba_story01.jpgApni dhuni se udee de bhakton ka hamesha kalyaan kiye aapne
Rohilla ko apne haathon se tune Mecca Madina aur Kuraan dikhaye
Mhalasapati aur Tatya ko tum kabhi Shiva ,kabhi Marutinandan nazar aaye
Koi Sai,koi Sai Baba,koi Sai Raam koi sadguru kahkar bulata hai
Mera Sai sabpar uski bhawna ke anusaar pyaar lutata hai
Shirdi me har vaqt har mazhab ka aadmi tere geet gata hai
Hindu,Muslim,Sikh,Isaai teri Chhat ke neeche ek ho jata hai
Sant sabhi ke hote hain mere Sai sabka upkaar karte rahe
Shirdi me rahe par saare jahan ko vo pawan karte rahe
15 oct 1918 ko Sai mahasamadhi me leen ho gaye
Apna bhautik sharer chhor Booti Baada me Aastha ke Kendra ho gaye