Salaam E Nabi

by Nadeem Ahmed Kavish on June 08, 2009, 05:45:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2445 times)
Nadeem Ahmed Kavish
Guest
Reply with quote
Is forum ar main shuruaat karta hu salaam ke sath. daad ki chahat nahi subhan Allah kahen to aapka bhi fayeda Kisi ka sher hai ke

Zabaan jab bhi sana e rasool karti hai,
Sukhan ki daad khuda se wasool karti hai.

Salaam dekhiye


Assalam Assalam
Assalam Assalam
Shah ke atwaar ko
Shah ke esaar ko
Shah ke darbaar ko
Shah ke kirdaar ko
Assalam assalam
Assalam assalam

Shah ke imaan ko
Shah ke farmaan ko
Shah ke quraan ko
Shah ke Paiman ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Shah ke tahammul ko
Shah ke takhaiyyul ko
Shah ke tawassul ko
Shah ke tasalsul ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Shah ki nabuwat ko
Shah ki shariyat ko
Shah ki hukumat ko
Shah ki nafasat ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Aaqa ke kamaal ko
Aaqa ke Jamaal ko
Aaqa ke afaal ko
Aaqa ke khayal ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Aaqa ke waqaar ko
Aaqaa ke dayaar ko
Aaqa ke ikhtyar ko
Aaq ke mazaar ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Aaqa ki kitaab ko
Aaqa ke hijab ko
Aaqa ke huwwab ko
Aaqa ke shabaab ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Aaqa ke maqaam ko
Aaqaa ke payaam ko
Aaqa ke nizaam ko
Aaqa ke qalaam ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Aaqa ki tabiyat ko
Aaqa ki imaamat ko
Aaqa ki naseehat ko
Aaqa ki risalat ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Amna ke laal ko
Hazrat e bilaal ko
Mustafa ki aal ko
Fatima kishaal ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Rahmat e abraar ko
Beqaso ke yaar ko
Mahbub e gaffar ko
Bani e sansaar ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam

Awwal akhirin ko
Saadiq e amen ko
Mustafa ke deen ko
Hazrat e mubeen ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam


Mustafa ki aan ko
Bani e Jahan ko
Amn ke maqaan ko
Rahmat e farhaan ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam


Mah e ramazan ko
Mustafa ki shaan ko
Rahmat e daraan ko
Maula ke farmaan ko
Assalam Assalam
Assalam Assalam
Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: June 08, 2009, 08:49:26 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Nadeem Sahab......!! Aapka Salam Huzoor tak pahunche.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2009, 09:58:16 PM »
Reply with quote
Nadeem Saheb bahaut achi shuruwat hai...Salaam apka Huzoor toh Inshallah ponchega
Logged
pakichamp
Guest
«Reply #3 on: June 08, 2009, 10:28:14 PM »
Reply with quote
MASHA ALLAH bohot khoob

thanks for sharing
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: June 09, 2009, 12:38:42 AM »
Reply with quote
very nice sharing Ahmed ji. Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 09, 2009, 05:54:12 AM »
Reply with quote
Subhan Allah Subhan Allah Subhan Allah,.

Nadeem Bhaijaan,.
Tareef Hi Nahi Kar Sakte, Ye To Be Misaaal; Hai,.

May Allah Bless You,.
Logged
Nadeem Ahmed Kavish
Guest
«Reply #6 on: June 10, 2009, 05:26:30 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya aap sbhi ki samaaton ka
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:13:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer