Shikwa, Khuda se.....!!!!!

by Talat on February 18, 2007, 02:38:50 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 7035 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: March 09, 2008, 02:26:31 AM »
Reply with quote
Ae Khuda ! dilon main kaisa yeh dard hai,
Pu-nam hain aankhain, har chehra zard hai

Lachaar, toota hua, har shakhs majboor hai,
Duaaon ki pahunch se kya aasman ab door hai

Kho gaye hain raaste, ya har aankh band hai,
Apne bandon ke  ab kyun nahin Tu sang hai

Gunahgar hain, par tere hi bande hain hum
Bhula kar khatayen, karde ab hum pe reham !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shikwa.... by Shweta_v7 in Shayri-E-Dard
shikwa............ by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
shikwa (gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
shikwa hai by SHUBHSHAYAR in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #16 on: March 09, 2008, 09:54:22 AM »
Reply with quote
bohot khoob talat!
ye misra to Aasman se bhi uncha he:-
Duaaon ki pahunch se kya aasman ab door hai

or is me samandar se zyada gehrai he, bade raaz chhupe he:-
Daata Teri hi dunya ne diye hain Tujhe phir itne saare naam kyun
Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: March 09, 2008, 10:03:05 AM »
Reply with quote
Ae Khuda ! dilon main kaisa yeh dard hai,
Pu-nam hain aankhain, har chehra zard hai

Lachaar, toota hua, har shakhs majboor hai,
Duaaon ki pahunch se kya aasman ab door hai

Kho gaye hain raaste, ya har aankh band hai,
Apne bandon ke  ab kyun nahin Tu sang hai

Gunahgar hain, par tere hi bande hain hum
Bhula kar khatayen, karde ab hum pe reham !


bahut khoob talat sis
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: March 09, 2008, 11:52:57 AM »
Reply with quote
Thank You Roja sis Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: March 09, 2008, 11:55:29 AM »
Reply with quote
bohot khoob talat!
ye misra to Aasman se bhi uncha he:-
Duaaon ki pahunch se kya aasman ab door hai

or is me samandar se zyada gehrai he, bade raaz chhupe he:-
Daata Teri hi dunya ne diye hain Tujhe phir itne saare naam kyun

Bohot bohot shukriya Sayyid aapki zarranawazi ka Usual Smile
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #20 on: March 09, 2008, 04:42:27 PM »
Reply with quote
Waah Talat ji waah....dil de daad kaboolFarmaiyega....itni lambi behr maiN aapne ek ek lafz ko jo jama pehnaya hai kaabil-e-tariif hai....ye halaat-etasara gar koi samjhe toh yakeenan kutchh seekh hi le payega....bahut khoob Talat ji .....aapkee Ye tehreer hameiN bahoot pasand aayee....aise hee achchhe-achchhe kalaam se iss bazm kee raunaq barhaate rahiye...

allaah kare zauq-e-qalam aour


Harash
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: March 09, 2008, 05:44:37 PM »
Reply with quote
Bohot bohot Shukriya Harash....aapke in lafzon ke liye...yaqinan ye  hauslaafzai aur achcha likhne ki koshish paida karti hai qalam main. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: March 18, 2008, 03:06:38 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob Talat!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: March 19, 2008, 04:04:18 PM »
Reply with quote
Thanks Pooja...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: March 21, 2008, 01:55:29 PM »
Reply with quote
Nice One,.
Magar Shikwa Khuda Se Nahi Karte,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: March 21, 2008, 01:59:44 PM »
Reply with quote
Shikwa Khuda Se Kiyaa Nahi Karte,.
Jab Hum Khuda Ke Farzon Par Chalaa Nahi Karte,.

Khudaa Bhi Bakhshta Hai Unhi Bandon KO "Azeem",.
Jo Sabar Karte Hain, Aur Gilaa Nahi Karte,.

Khudaa Ne Insaano Ke Saath Paighambaron KO Aazmaaya Hai,.
Khudaa Par Jinhe Yakheen Hai, Wo Kabhi Ghabraaya Nahi Karte,.

___________________________________-Jaanasheen-
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: May 30, 2008, 04:49:20 PM »
Reply with quote
Nice Azeem....Hum to usse shikwa karte hain jise hum apne sabse qareeb maante hain, jiska apne upar haq samajhte hain...aur Khuda se badhkar qareeb koi nahin....!!!
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #27 on: May 30, 2008, 05:20:41 PM »
Reply with quote
Shikwa Khuda Se Kiyaa Nahi Karte,.
Jab Hum Khuda Ke Farzon Par Chalaa Nahi Karte,.

Khudaa Bhi Bakhshta Hai Unhi Bandon KO "Azeem",.
Jo Sabar Karte Hain, Aur Gilaa Nahi Karte,.

Khudaa Ne Insaano Ke Saath Paighambaron KO Aazmaaya Hai,.
Khudaa Par Jinhe Yakheen Hai, Wo Kabhi Ghabraaya Nahi Karte,.

___________________________________-Jaanasheen-

Accha likha hai aapne Jaanasheen jee.. ( I disagree..)





Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #28 on: June 01, 2008, 10:56:45 AM »
Reply with quote
Accha likha hai aapne Jaanasheen jee.. ( I disagree..)

Iska Matlab Hum Kya Samjhe,.
Kya Aap Is Se Sehmit Nahi Hain,.






Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #29 on: June 01, 2008, 11:40:55 AM »
Reply with quote
Nice Azeem....Hum to usse shikwa karte hain jise hum apne sabse qareeb maante hain, jiska apne upar haq samajhte hain...aur Khuda se badhkar qareeb koi nahin....!!!

Sach kaha aapne jisse jitni zyada ummid hoti he shikwa bhi utna hi hota he, or shikwa apno se kiya jaata he geron se nahi goya khuda se apna-pan zahir karna huwa, {wallah-u-aalam} magar aehtiyat zaruri he or ye bhi sach he ke jo shikwa nahi karte wo hamse zyada unche maqaam par hen.

Jese azeem bhaai....  tongue3
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 07:13:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer