Shikwa, Khuda se.....!!!!!

by Talat on February 18, 2007, 02:38:50 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 6996 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #30 on: June 01, 2008, 11:51:18 AM »
Reply with quote
Sach kaha aapne jisse jitni zyada ummid hoti he shikwa bhi utna hi hota he, or shikwa apno se kiya jaata he geron se nahi goya khuda se apna-pan zahir karna huwa, {wallah-u-aalam} magar aehtiyat zaruri he or ye bhi sach he ke jo shikwa nahi karte wo hamse zyada unche maqaam par hen.

Jese azeem bhaai....  tongue3



Allah Paak Ko Sabse Zyada Shukr Guzaar Bande Pasand Hain,.
Huzur-e-Akram Sallalhu Alay Hi Wassalam Ne Kabhi Khuda-e-Paak Se Shikwa Nahi Kiya,.
Hume Bhi Farz Banta Hai Ki Hum Bhi Apne Nabi {SWAS} Ki Tarah Allah Paak Ka Har Haal Mein Shukr Adaa Karein,.

Haan Aapki us Baat Se Bhi Main ehmit Hoon Ke Jise Chahte Hain Unse Shikwa Bhi Karte Hain,.
Magar Jise Sachche Dil Se Chahte Ho, Uski Har Ek Adaa Hamaare dil Ko Bhaa Jaati hai,.

Allah Paak Hume Aur sabko Uska Shukr Guzaar Banaayein,.
Aamen,.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shikwa.... by Shweta_v7 in Shayri-E-Dard
shikwa............ by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
shikwa (gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
shikwa hai by SHUBHSHAYAR in Shayri for Khumar -e- Ishq
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #31 on: June 01, 2008, 11:53:31 AM »
Reply with quote
Ya Rab Banaa Mujhe Shukr Guzaar Banda,.
Badhaai Karoon Main Teri, Jab Tak rahoon Zinda,.

______________________________-Azeem-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #32 on: June 01, 2008, 11:56:53 AM »
Reply with quote
Ya Rab Mujhe Sabar Karne Ki Intehaa De,.
Koi Rahe Na Rahe Mere Kareeb, Tu Apna Waasilaa De,.

Baksh De Hume, Ke Hum Gunehgaar Bande Hain,.
Hamare Taraf To Reham Ka Faislaa De,.

_________________________________-Azeem-
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #33 on: June 01, 2008, 12:06:19 PM »
Reply with quote

Allah Paak Ko Sabse Zyada Shukr Guzaar Bande Pasand Hain,.
Huzur-e-Akram Sallalhu Alay Hi Wassalam Ne Kabhi Khuda-e-Paak Se Shikwa Nahi Kiya,.
Hume Bhi Farz Banta Hai Ki Hum Bhi Apne Nabi {SWAS} Ki Tarah Allah Paak Ka Har Haal Mein Shukr Adaa Karein,.

Haan Aapki us Baat Se Bhi Main ehmit Hoon Ke Jise Chahte Hain Unse Shikwa Bhi Karte Hain,.
Magar Jise Sachche Dil Se Chahte Ho, Uski Har Ek Adaa Hamaare dil Ko Bhaa Jaati hai,.

Allah Paak Hume Aur sabko Uska Shukr Guzaar Banaayein,.
Aamen,.

Allah aap ki in baton ko qubool farmaye or hame bhi is muqaam tak pohunchaye... Aameen.
Logged
Talat
Guest
«Reply #34 on: June 01, 2008, 12:06:52 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Likha Azeem !
Logged
Talat
Guest
«Reply #35 on: June 01, 2008, 12:18:27 PM »
Reply with quote
Rehnumaai ka bohot bohot shukriya Sayyid and Azeem. Jo baatain aapne likhin, mujhe bhi iska poora ilm hai aur Khuda ka shukr hai ki ise follow bhi karne ki koshish karti hoon (Alhamdulillah).

Agar yahan "Shikwa Khuda Se.." shayari likhi hai to sirf ek alag "point of view" of nazar main rakh kar, na ki isiliye ki mujhe sach main Khuda na kare, Khuda se shikayat hai !

Kai baar behad dard bhari, dil azaar karne waali shayari karte hain hum sab..lekin iska matlab ye nahin ki humari zindagi dard se bhari hai....!

Baaqi Allah humsabko hidayat dene waala hai....!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #36 on: June 01, 2008, 12:53:03 PM »
Reply with quote
Sahi kaha aapne celmira ji ayse unwaan par jab baaten hoti he to padhne waalon ko kuchh na kuchh seekhne samajh ne ko milta he, koi nai baat ki taraf tawajjoh dilata he jo pehle hamare zehen me na aai ho ya zehen se nikal gai ho, jese mene likha tha ke shikayat apno'n se hoti he gyro'n se nahi or azeem bhai ke baaton se yaad aaya ke jab koi apna shikayat karta he to zyada bura lagta he or takleef hoti he banisbat geyr ke, to is thread se kisi ko faida huwa ho ya nahi mujhe to apne imaan ka bada faida hasil huwa alhamdulillah.

+++++++++++


Logged
Talat
Guest
«Reply #37 on: June 01, 2008, 01:09:57 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Sayyid...aapka kehna ek dam durust ! Usual Smile


Baaqi, yahan mera maqsad ek mudde pe shayari post karna tha, na ki apni zindagi ke chalan ko show karna ki meri belief kya hai.....aur baaqi main kya karti hoon kya nahin, ye to mere aur Mere Khuda ke beech ka maamla hai....!! Usual Smile

Ae Khuda nazdikiyan tujhse meri badh jaaye
Mohabbat teri kuch aur iss dil me sama jaaye
Dunya banayi tune, aur banaya hum ko bhi,
Raah dikhana, dil na iss dunya main gum ho jaaye !


Waise maine aaj phir ek baar ghaur se apni dono poems ko padha...... Title hai "Shikwa, Khuda Se" ....... (Shikwa aur Khuda ke beech comma hai, yaani ki tasallsul nahin hai...).Shikwa ka matlab shikayat.....Shikwa Khuda se hai lekin Khuda ke liye nahin hai......aur Title aur poem padhkar ye clear hai ki yahan Khuda se Insaan ki shikayat hai......!!

Anyways..shayad iss poetry ko koi samajh hi nahin paaya !!! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #38 on: June 01, 2008, 02:17:46 PM »
Reply with quote
A request:

Jab bhi koi member kisi bhi poem ko dekhe, to sirf title padh ke apne comments na likhe, balki title ko us particular shayari ki roshni main dekhe...taaki wo galatfehmi na ho, jo yahan hui !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: June 01, 2008, 08:05:17 PM »
Reply with quote
Bahut khoob!! celmira,azeem bro, randeri saab..aap sab ne bahut khoob likha.. Applause Applause Applause

aur rahi baat yeh title ki...yeh baat suabaavik hai ki har insaan apne khuda ke aage pukaar zaroor lagata hai,kyonki woh khuda ko apne sabse kareeb maanta hai..
ek ghazal ki kuch lines yaad aa rahi hai..

eh khuda ret ke sehra ko samundar karde
yah jhalakti hui inn aankhon ko bhi pathar karde,
aur kuch bhi darkar nahi hai lekin,
meri chadar mere pairon ke baraabar karde..
 
                        -shahid meer-

iss sher mein bhi shayar ne sirf ek pukaar ki khuda ke aage..isse shikayat ka roop dena galat hoga.. ussi hisaab se agar celmira ki  likhi hui poetry padhi jaaye..mujhe aisa ek baar na laga ki unhone koi shikayat ki..yeh ek andaaz-e-bayaan hai ek shayar ki nazar se..is liye yeh kehna chahunga ki sirf title padhkar faisla karna galat hoga.. shukriya

Logged
Sonia01
Guest
«Reply #40 on: June 02, 2008, 02:25:53 AM »
Reply with quote
Bahut khoob!! celmira,azeem bro, randeri saab..aap sab ne bahut khoob likha.. Applause Applause Applause

aur rahi baat yeh title ki...yeh baat suabaavik hai ki har insaan apne khuda ke aage pukaar zaroor lagata hai,kyonki woh khuda ko apne sabse kareeb maanta hai..
ek ghazal ki kuch lines yaad aa rahi hai..

eh khuda ret ke sehra ko samundar karde
yah jhalakti hui inn aankhon ko bhi pathar karde,
aur kuch bhi darkar nahi hai lekin,
meri chadar mere pairon ke baraabar karde..
 
                        -shahid meer-

iss sher mein bhi shayar ne sirf ek pukaar ki khuda ke aage..isse shikayat ka roop dena galat hoga.. ussi hisaab se agar celmira ki  likhi hui poetry padhi jaaye..mujhe aisa ek baar na laga ki unhone koi shikayat ki..yeh ek andaaz-e-bayaan hai ek shayar ki nazar se..is liye yeh kehna chahunga ki sirf title padhkar faisla karna galat hoga.. shukriya

I am speechless icon_silent.... kitna accha meer sb ka shayri hai and aapne kitna acche tarike se samja hai...  icon_salut.... Keep up Khwaish jee
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #41 on: June 02, 2008, 04:11:19 AM »
Reply with quote
kuch behtareen panne ikkathe ho gaye he yahaan-kaash kitaab bun jaye-mera pustakaalaye bhee darshaniye ho jaayega!
celmira ji,fahiji,jansheen ji,sayid ji--subne maakul likha he.ek si stithi mein alag-alag vyaktiyon ka alag alag drishtikon hona atyant swabhaavik he-koi sahi aur galat nahi hota. yeh to ek swasth prtidwandta he jo aapke josh ko aur majboot karti he apne drishtikon ko aur vyavasthith kar jhalkaane mein! (agar critics nahi honge to kavitaaye adhoori he-yeh niyam puraana he).
jeet usi ki he-jo apni baat bebaaki se kahe aur doosron ki baaton ko bina kisi purvanumaan se sune aur mehsoos kare.
celmira ji-aap mun mein katai yeh bhaav na laaye ki aap ke arth ka koi bhee anarth kar dega-jaise hum subko aapke likhe pe naaz he,uska shatansh(1/100th) aap humaari samajh pur to rakhiye!aapki is dukaan mein hur grahak utsaahit aur saksham he,yakeen maniyega.

celmira ji ke samarthan mein--jub hum shikaayat apni maa se kar sakte hein jinka darja is jahaan mein khuda se bhee upar hein to khuda se kyon nahi.shikaayaten meethi bhee hoti he.

jaansheen ji ke samarthan mein--agar manushya apni icchaon pur niyantran paa le to shikyat kaisi aur kis-se?yeh mukaam haasil ho sakta he,raahon mein kathinai he pur asambhav nahi.jo kuch unhone diya he-uska shukraana ho hi nahi sakta.

bahut khoob kaha he aapne khwaish ji.

(kuch jyada is liye likh gaya hu-ki agar yeh pan-ne kitaab bane aur ghar ghar saje-to ek panna gharib ka bhee ho jaaye)!

debate se hut kar poetry tuk pahuchaiye-celmira ji ya jaansheen ji-aur nahi soojhe to pooja express(sorry pooja ji) ko vinamra nivedun kijiye-unke paas saare murhum tatkaal haazir rehte he!

muskuraate rahiye sub,

Prateek
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #42 on: June 02, 2008, 11:51:13 AM »
Reply with quote
I agree With All My Friends Words,.
Aur Celmira Ji Humne Dono Poems Aapki Pardhi Hain,.
Tabhi To Jawaab Diya Hai,.

Waise, Prateek Mardia Ji Ne o Kaha Ke Maa Khuda Se Bhi Bardkar Hai,.
Is Baat Ko Main Nahi Maanta, Kyun Khudaa-e-Paak 70 Maaon Ki Mohabbat Rakhta Hai Apne Bande Se,.

And I Agree Ke Hum Maa Se Shikayat Karte Hain Karke, lekin Jab Hum Mature Hojaayein Aur Maa Ke Ehsaanat Ke Baare Mein Jaan Jaayenge Tab Shayad Humaaari Zabaan Se Koi Shikayat Na Niklegi,.

Khair Meri Posting Kisi Ko Takleef Pahoonchaane Ke Liye Nahi Hai,.
Bas Dil Ko Jo Gawaara Hota Hai, Wo Kehdiya,.

Allah Hume Maaf Kare Aur Neak Hidaayat Dein,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #43 on: June 02, 2008, 11:54:34 AM »
Reply with quote
Aye Khuda,.

Jaan Nikle Jism Se Gawaara Hai, Zabaan Se Na Koi Shikayat Nikle,.
Nikle Lahoo Jigar Se Koi Baat Nahi, Dil Se Na Teri Mohabbat Nikle,.

________________________________________-Azeem-


Logged
Talat
Guest
«Reply #44 on: June 02, 2008, 05:20:40 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Khwaish...Aap us baat ko samajh sake, jise main samjhana chahti thi...Thanks so much  icon_flower

Dhanyawad Prateek Ji...Aap ne yahan apne khayalaat likhe, uska bohot bohot shukriya ! Usual Smile

Shukrguzaar hoon Sayyid aur Azeem ki jinhone apne khyalaat ka izhaar kiya, unka nazariya theek hai, magar jiss mudde ko le kar unhone baat likhi thi, wo mudda hi galat hai.. khair Thanks to both of you Usual Smile

Bas, ek guzarish akhir main karna chahti hoon......

Ye ek secular forum hai, aur yahan har mazhab aur belief ke log hain..isiliye zaroori nahin ki jo baat ek shakhs ke liye sahi na ho, wo doosre ke liye bhi ghalat ho...Chunki ye mazhabi forum nahin hai isiliye aisi koi baat likhna jisse doosre insaan ki belief ko thes pahunche, usse hume bachna chahiye.........



p.s. Ye poetry bhi secular point of view se likhi gayi thi.....
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:07:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer