Shikwa-o Shikayat Na Ab koi....Mere Aqa Ki Nazr

by Abul Asad on December 27, 2011, 09:06:47 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2044 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
Reply with quote
Shikwa o shikayat na tujh se hai ab koi
Sari kami mujhi mein na hai doosra koi

Nahi ab main qabil-e maafi raha koi
Nahi ab main tere wafadaar jaisa koi

Kia dikhaon munh tujhe yaom-e hashr ab
Sajday kiye bhi kabhi to bhare matlab koi
 
Banda raha na tera ab kissi kaam ka koi
Na karsaka haq yeh bandagi ka ada koi

Haq kia maangte ho mujhse aye khudara
Dia hua sab kuch to hai tera, na mera koi

Kaisay hoga haq ada, kaisay karonga hisaab koi
Na hai voh zauqh mujh men, na raha jigar ab koi
 
Bas kia hua bharosa teri Rahmat par hun vohi
Nazaan hon qismat pe ke to hai Rahmaan vohi
 Abul Asad
 

Ye mere Aqa'a ke nazr, meri adna si koshish
Meri raaton ki tadap, meri dil ki pukaar uske liye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
nazr-e-inayat by attractive_person in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikwa bhi tumse ,shikayat bhi........ by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tumse shikwa tumse shikayat... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
shikwa shikayat by FIROZ IQBAL in Other Languages
Nafs nafs ha bishaarat,nazr nazr ha payam.QABIL AJMERI by canvaskhi in Abdur Raheem Qabil Ajmeri Poetry
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: December 27, 2011, 09:15:50 AM »
Reply with quote
Asad Sahaab Aadaab!


Janab aapke ahsaas o khayaal aur achchi koshish
par dili daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Achche khayaaloN se nawaaza hai janab daad
hazir hai.. Usual Smile


HaaN kuch kahna chah raheN the aapse par aapki guzishta
kalaamoN par reply's de na sake... aap jab itna sab ilm
rakhte hai radiff kafiyaa bher kia hai to us ilm ko nazar
andaaz karke na likhiye... uska istemaal kijiye.. Roll Eyes

Ummid hai aap humari baat samjheN ho ... likhate rahiye..
Khush O aabaad rahiye.. Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
Qais
Guest
«Reply #2 on: December 27, 2011, 09:20:30 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #3 on: December 27, 2011, 09:30:26 AM »
Reply with quote
Asad Sahaab Aadaab!


Janab aapke ahsaas o khayaal aur achchi koshish
par dili daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Achche khayaaloN se nawaaza hai janab daad
hazir hai.. Usual Smile


HaaN kuch kahna chah raheN the aapse par aapki guzishta
kalaamoN par reply's de na sake... aap jab itna sab ilm
rakhte hai radiff kafiyaa bher kia hai to us ilm ko nazar
andaaz karke na likhiye... uska istemaal kijiye.. Roll Eyes

Ummid hai aap humari baat samjheN ho ... likhate rahiye..
Khush O aabaad rahiye.. Khuda Hafez.. Usual Smile


Parwaaz Saheb,

Aap ke har alfaaz hain muhabbat ka ghusl liye
aap ki inayat ke ap ne hame sahi ishara kiya hai, ji iska bhi
andaaza hai, magar abhi bhi voh manzil door nazr aati hai hamen.

Abhi koshish saheb jaari hai, kafiya, radeef aur behr
men likhne ki. Yeh Kalaam raat ki dilli pukaar thi
jaise aayi vaise hi darz kardi.

Aaap Bejijhak issey islah kardijeye, ham khushqismati samjhenge,aur yanhaan ke nazreen ko issme behter behr ke maze bhi ayenge. Phir seekhne ka iss se umdah mauqa aur kiya hoga.
Kuch issi bahane aik ache aur har dil azeez mauzoo par gehri guftagoo bhi chidjayegi.

Muntazr aapke Qalm ka
Abul Asad
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #4 on: December 27, 2011, 09:33:15 AM »
Reply with quote
Applause Applause
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #5 on: December 27, 2011, 09:35:49 AM »
Reply with quote
Shikwa o shikayat na tujh se hai ab koi
Sari kami mujhi mein na hai doosra koi

Nahi ab main qabil-e maafi raha koi
Nahi ab main tere wafadaar jaisa koi

Kia dikhaon munh tujhe yaom-e hashr ab
Sajday kiye bhi kabhi to bhare matlab koi
 
Banda raha na tera ab kissi kaam ka koi
Na karsaka haq yeh bandagi ka ada koi

Haq kia maangte ho mujhse aye khudara
Dia hua sab kuch to hai tera, na mera koi

Kaisay hoga haq ada, kaisay karonga hisaab koi
Na hai voh zauqh mujh men, na raha jigar ab koi
 
Bas kia hua bharosa teri Rahmat par hun vohi
Nazaan hon qismat pe ke to hai Rahmaan vohi
 Abul Asad
 

Ye mere Aqa'a ke nazr, meri adna si koshish
Meri raaton ki tadap, meri dil ki pukaar uske liye


KHOOB KALAAM KAHA HAI USKI KIBRIYAI MEIN.
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #6 on: December 27, 2011, 10:01:46 AM »
Reply with quote
KHOOB KALAAM KAHA HAI USKI KIBRIYAI MEIN.

Marhoom Saheb,
Shukriya, bahut hi choti koshish rahi, aap ke jawaab men
yeh alfaaz bhi darz hone lage.

Allha-o Akbar Voh
bande-o sughire ham

Khaliq-o khafid Voh
maqhluqh-o muflis ham

Sarb-e-Sajde hamare
Qabil-e Sajdah voh

Gunahon men dube ham
Rahman-o Raheem Voh

Taghafil-o muflis ham
Aalim-o-Fazil Voh

Allah-o aSamad voh
Khami-o faani ham

Abid-o sajid ham
AlBaith-o Bari voh

Mera Aqa voh
aur gunehgar banda yeh
Abul Asad


Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #7 on: December 27, 2011, 10:18:43 AM »
Reply with quote
Allah-o Akbar Voh      God The Great Is He
Banda-o sughire ham      A slave and small am I

Khaliq-o Khafid Voh      The Creator and Abaser Is He
Maqhluqh-o Muflis ham      The created and weak am I

Qabil-e Sajdah Voh      Worthy of my worship is He
Sarba-e sajde Hamare      My head is bowed in worship to him

Rahman-o Raheem Voh      The Merciful and Compassionate is He
Gunahon men dube ham           Drowned in sins am I

Please make corrections freely if there is any, any mistake in translation or
the original. If you see the mistake please point it out, i will do my very best to correct it.

Aalim-o Fazil Voh      The Knower and Wise is He
Taghafil –o Muflis Ham      Full of errors , poor and weak am I

Allaho –as Sammad Voh      God the Ever living  is He
Khaami-o faani ham      Mistake ridden and perishable am I

Al Baith-o Bari Voh      The Resurrector and Order Maker is He
Abid-o Sajid ham              Worshiper and Bower of head in worship am I

Mera Aqa Voh         My lords sinful slave is this- Abul Asad
Gunehgaar Banda yeh
Abul Asad
Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: December 27, 2011, 11:36:35 AM »
Reply with quote
bahut khoob Janaab
Logged
sarfira
Guest
«Reply #9 on: December 27, 2011, 01:32:31 PM »
Reply with quote
Shikwa o shikayat na tujh se hai ab koi
Sari kami mujhi mein na hai doosra koi

Nahi ab main qabil-e maafi raha koi
Nahi ab main tere wafadaar jaisa koi

Kia dikhaon munh tujhe yaom-e hashr ab
Sajday kiye bhi kabhi to bhare matlab koi
 
Banda raha na tera ab kissi kaam ka koi
Na karsaka haq yeh bandagi ka ada koi

Haq kia maangte ho mujhse aye khudara
Dia hua sab kuch to hai tera, na mera koi

Kaisay hoga haq ada, kaisay karonga hisaab koi
Na hai voh zauqh mujh men, na raha jigar ab koi
 
Bas kia hua bharosa teri Rahmat par hun vohi
Nazaan hon qismat pe ke to hai Rahmaan vohi
 Abul Asad
 

Ye mere Aqa'a ke nazr, meri adna si koshish
Meri raaton ki tadap, meri dil ki pukaar uske liye

BHT KHOOB KUBULNAMA HAI JANAAB--
sachche khayal aur ehsaas piroyen hain aapne

daad kubul karen
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #10 on: December 27, 2011, 05:48:33 PM »
Reply with quote
Sarfira saheb,

Shukriya, Bahut bahut shukriya
aap ke daad ki.
Har bar ki tarah mamnun rahe aap ke alfazon ke

Abul Asad
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: December 28, 2011, 04:47:25 AM »
Reply with quote
bahut khoob kahaa asad bhai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:40:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.171 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer