Teri Kya Shaan Mula....

by CoolGirl on February 03, 2007, 10:00:07 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4795 times)
CoolGirl
Guest
Reply with quote
Iss dil ki rahoon main,...
apno main sapno main,.....

palko ki chilman main,....
ashko ke ansoon main,.....

muskuratey hoton main,....
har haseen chhre main,....

har lamhe yadoon main,....
khoobsorat muasam main,...

phootti kaliyon main,.....
khiltey phoolon main,.....

suraj ki kirno main,......
dhoop main saye main,.....

karaktey badal main,......
baarish ki bondoon main,..

dhalti shamoo main,.......
tanha ratoon main,........

raat ki tariki main,......
chanda ki roshni main,....

taroon ki jhilmil main,...
khushboo main sanso main,.

un kahi batoon main,......
payar se mohabbat main,...

dhonda jaahaan main,......
paaya tujh ko ankhon main,.
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #1 on: February 03, 2007, 10:01:05 AM »
Reply with quote
ghum key baad jab bhi naee khushyoo~ ka mausam aata hey
ujli ujli dhoop mey jab bhi ……dhanak rang samata hey
khilti hein kalyaa~ jab bey aab sehra mey bhi …
aur bey samar shajr bhi jab …apna aap sajaata hey
dil ki her dharkan …..kehti hey ki Tum ho,
maut key panjey sey jab koee …zindagi chheen keylaata hey
naumeedi ka andhera jab ….khud bakhud dhal jaata hey
her roz yunhi raat aur din ki aankh macholi hoti hey …
chaand ka nannah pardah jab ..suraj khud mey chhupaata hey
dil ki her dharkan ….kehti hey ki Tum ho.
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #2 on: February 03, 2007, 10:02:21 AM »
Reply with quote
duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa
yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa

daulat ho yaa hukuumat taaqat ho yaa javaanii
har chiiz miTane vaalii har chiiz aanii-jaanii
ye sab Guruur ik din miTTii me.n jaa milegaa

aataa nahii.n palaTakar guzaraa huaa zamaanaa
kyaa Khvaab kaa bharosaa kyaa maut kaa Thikaanaa
ye zindagii ga.Nvaa kar kyaa faayedaa milegaa
yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa..
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #3 on: February 03, 2007, 10:03:45 AM »
Reply with quote
Elaahi nahi koi teri misaal
Teri sab pe hain rehmatein lazawal

Tu hai hud se ziada Raheem -o- Kareem
Ghazab bhi hai Tera bara baa kamaal

Teri yaad se shakhs ghafil hai jo
nahi janta hoga Tera jalaal

hoga aaqiqat main wohi kamiab
jo dey ga Teri rah main jaan-o-maal

nahi koi ker sakta kaamil bayan
k hai kis qadar sab pe tera kamaal

Tu kia kia karey gi HAMAD uski RANI?
Tera yeh Elahi to hai bey Misaal
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #4 on: February 03, 2007, 10:05:26 AM »
Reply with quote
yeh zameen o asmaan, yeh kon o mukaan
sub mein mojoud hain teray nishaan

yeh charind parind, yeh phool o chaman
dunia mein bana tu ne dia janat sa samaan

yeh hawa, yeh mitti, yeh aag o pani
yeh sub tere hain hum pe ehsaan

tu kareem hai teray karam beshumar
warna hum hain iss qabil kahaan

hum hain gunagar humien maaf kerna
tu RAHMAN O RAHEEM, tu malik e do jahaan
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #5 on: February 03, 2007, 03:32:10 PM »
Reply with quote
Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange

Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye
Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #6 on: February 03, 2007, 03:32:45 PM »
Reply with quote
younhi kuhshbou kaa jo zikar aaiye
kyun naa yaad gulab aaiye
kya tuhfa diya naiyaab qudrat nay
kam dukh main bhi aaiye sukh main bhi aaiye
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: February 05, 2007, 10:03:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "CoolGirl"
Iss dil ki rahoon main,...
apno main sapno main,.....

palko ki chilman main,....
ashko ke ansoon main,.....

muskuratey hoton main,....
har haseen chhre main,....

har lamhe yadoon main,....
khoobsorat muasam main,...

phootti kaliyon main,.....
khiltey phoolon main,.....

suraj ki kirno main,......
dhoop main saye main,.....

karaktey badal main,......
baarish ki bondoon main,..

dhalti shamoo main,.......
tanha ratoon main,........

raat ki tariki main,......
chanda ki roshni main,....

taroon ki jhilmil main,...
khushboo main sanso main,.

un kahi batoon main,......
payar se mohabbat main,...

dhonda jaahaan main,......
paaya tujh ko ankhon main,.



Every poem is equally beautiful..... =D>

CoolGirl.. Very nice way to say that God lies in our Eyes (our sight) only.
I.e. how we see the world, the world becomes such for us... If we found it good... it is good, if we found it cruel... it is cruel...

This is really Amazing...
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #8 on: February 06, 2007, 12:23:15 AM »
Reply with quote
very nice
Khayalat bahut ach che hain magar usko sahi andaz mil jaye ---
ummed hai aap meri baat samajh gaiye hungi

keep it up
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #9 on: February 06, 2007, 06:47:51 AM »
Reply with quote
thnx yar
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #10 on: February 06, 2007, 08:57:42 AM »
Reply with quote
haar taraf haar jagaa haar kahee pai haai haa ausi kaa noor rosni kaa koi daryaa tuo hai haa... kahee pai zaroor yai asman, yai zameen, chand aur suraj kiyaa baana sakaa hai kabhi koi qudraat allah hi tuo hai jis kai agee hai adami majboor har taraf har jagaa har kahee pai hai haa... ausi kaa noor insaan jab koi hai raah sai bhataktaa allah nai dikaa diya aus ko sahee rastaa allah hi tuo hai joo karta hai muskil humhari dour haar taraf har jagaa har kahee pai hai haa ausi kaa noor
Logged
skumar
Guest
«Reply #11 on: February 06, 2007, 09:23:47 AM »
Reply with quote
hi coolgirl......wonderful...very nice poetry....
ruhaniyat ke baare mein aise kalaam kya khoob hain....
dil ko sakoon sa milta hai ye pad kar......
jaha nusrat saheb ki ek kwaali likh raha hoon.....
sidhe khuda se jod deti hai...

Qurban main unki bakshish ke, Maksad bhi jubaan par aaya nahi,
Bin maange diya aur itna diya, Daaman me hamare samaya nahi.

Kisi ko kabhi dar se khali na tala, Tavako se bad kar adaa karne wala,
Bhikaari anokhe hai Data Nirala.
 
Wo rehmat kaisi rehmat hai, Mfoom samajh lo rehmat ka,
Usko bhi gale se lagaya hai, Jise apna kisi ne banaya nahi.

Us Mohsame aajam ke yu to, Khalid pe Hazaron ehsaan hai,
Qurban main aise ehsaan ke, Ehsaan kiya to jataya nahi.
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #12 on: February 06, 2007, 09:50:22 AM »
Reply with quote
Her rung kuch kehta hai,
ke us ki surkhioun main ik khayaal hai

Her lufz kuch kehta hai,
ke us ke peechey aik chuppa raaz hai

Ker durd kuch kehta hai,
ke us ke agey ik manzil ,aur rasta hai

Aur andaaz kuch kehta hai,
ke bus woh hi ik chunchul adda hai

Her lumha kuch kehta hai,
ke bus woh hi zindagi ki aik raat hai

Her waqt kuch kehta hai,
ke bus wohi jo badshah hai


Her mout kuch kehti hai,
ke bus yeah hi zindagi ka akhiri mukaam hai

Her tanhayee kuch kehti hai,
ke bus yeah akhirat ka taqazaa hai

Her zindagi kuch kheti hai,
ke yeah hi bus waqti tour ki dunya hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #13 on: February 06, 2007, 09:51:09 AM »
Reply with quote
khud apna muqadar sanwaare to koi
woh sunta hai sab ki pukare to koi

gunhagaar hoo mien,khatakaar hoo mien
isi ke reham ka talabgaar ho mien

wohi jo ke awal wohi jo ke aakhir
wohi jo ke ghayab wohi jo ke hazir

jo rehta hai dil mien kahabardaar hai woh
musibat mien sab ka madadgaar hai woh

isse yaad rakho ke jaana wahee hai
yea duniya hamesha thikaana nahi hai

woh qudrat mien jiski sabhi khushk-o-tar hai
ayaa aur nihaa per issi ki nazar hai

wohi sab se aala wohi sab se balaa
woh sunta hai sab ki badi shaan wala
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #14 on: February 06, 2007, 09:51:46 AM »
Reply with quote
is jahan main bhi kya bat hai
her ek chez main ek bat hai
kudrat nai bhi kya dunya banai hai
her chez main apni shan diukhlai hai
insan ko kya kya sikhaya nahin hai
us ko kya kya samjhaya nahin hai
is jahan main kya kya diya nahin hai
pana aur khona tu hai is zinadgi main
shukar kerte rehna tu kum nahin
us ki rehmat main khuch kami nahin hai
tareef kerte na thakoun main us ki
who kareem raheem bulando bala hai
us ki shan sab sai ala hai
wohi sab ka palnei wala hai
phal, phool ,botai banai hian us nai
zameen ko kaisa sajaya hai us nai
nafrat k sath pyar dala hai diloun mian
her ek mian jazbat dalai hain us nai
insan tu kya chez hain
charind , parind bhi us hi k mohtaj hian
joh karai gah us kai hokum ki tameel
usi ko millai gi dono jahanoun main kushi!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:28:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer