ya allah

by shyama on December 31, 2008, 10:08:46 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 14496 times)
shyama
Guest
Reply with quote

barf pe karroon sajda teri shaan mein
na karroon kissi ghair ko shareek teri pehchaan mein

hai tu wahid, hai tu kabeer no hoga tujh sa koi kissi jahaan mein
tujhi se hai rehmat, tujhi se hai maghfirat, hai yeh azmat teri shaan mein

tujh se hai mera maangna, tujhe se hai har dua meri ke koi aur kya de sakke ga mujhe jo hai tere mizaan mein
ke hai har azmaayish ke saath hi aasaayish, na hogi kahin aisi hiqmat jo hai tere furqaan mein

muqaddas hai teri zaat, teri har baat ke bemisaal hai tu har ek zubaan mein
bakhshi hai tu ne mujhe jo izzat banna kar muhammad ki ummat, karu ab aur kiss cheez ka armaan mein

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ALLAH ALLAH kya Josh Hay by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
ALLAH by Destiny in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
For The Holy Month Of Ramadan - Dil Ye Pukaare Allah Allah,Allah Hu Akbar, Allah Allah by @kaash in Shayari-e-Parastish
Allah Nakko... by Iqtedar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
YA ALLAH.....S@M@N by Saman Firdaus in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
pankshivam
Guest
«Reply #1 on: December 31, 2008, 10:14:46 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob Shyamaji
 Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: December 31, 2008, 10:15:44 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

BAHOOT KHOOB SHYAMA JI!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 31, 2008, 11:17:54 PM »
Reply with quote

barf pe karroon sajda teri shaan mein
na karroon kissi ghair ko shareek teri pehchaan mein

hai tu wahid, hai tu kabeer no hoga tujh sa koi kissi jahaan mein
tujhi se hai rehmat, tujhi se hai maghfirat, hai yeh azmat teri shaan mein

tujh se hai mera maangna, tujhe se hai har dua meri ke koi aur kya de sakke ga mujhe jo hai tere mizaan mein
ke hai har azmaayish ke saath hi aasaayish, na hogi kahin aisi hiqmat jo hai tere furqaan mein

muqaddas hai teri zaat, teri har baat ke bemisaal hai tu har ek zubaan mein
bakhshi hai tu ne mujhe jo izzat banna kar muhammad ki ummat, karu ab aur kiss cheez ka armaan mein

 

Subhan Allah,.
Subhan Allah,.

Bohat Hi Khoob Banaai Hai Ye Shayaari Aapne,.
Kya Ye Aapki Creation Hai Shayam Ji,.'
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: December 31, 2008, 11:31:11 PM »
Reply with quote
Ya Allah, Ya Allah, Tu Hum Sab Par Karam Farmaa,.
Hain Bebas Hum, Zamaane Ke, Na Hum Par Sitam Farmaa,.

Baksh De Hamaare Gunaahon Ko, Taal De Hamaari Balaaon Ko,.
Tu Gaffar Hai, Tu Raheem Hai, Hum Par Tu Reham Farmaa,.

Kyun Aai Hai Aafat Tere Bando Par, Kyun Sab Log Pareshaan Hain,.
Tu Chahe To Sab Karde, Aye Khuda Hum Par Bhi Nazre Karam Farmaa,.

______________________________________-Jaanasheen-
Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: January 01, 2009, 02:36:22 AM »
Reply with quote
bahut hi badiya likha shyamaji..
Logged
shyama
Guest
«Reply #6 on: January 01, 2009, 09:51:28 AM »
Reply with quote
shukriya all, haan yeh maine likha hai.
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: January 01, 2009, 10:13:37 AM »
Reply with quote

barf pe karroon sajda teri shaan mein
na karroon kissi ghair ko shareek teri pehchaan mein

hai tu wahid, hai tu kabeer no hoga tujh sa koi kissi jahaan mein
tujhi se hai rehmat, tujhi se hai maghfirat, hai yeh azmat teri shaan mein

tujh se hai mera maangna, tujhe se hai har dua meri ke koi aur kya de sakke ga mujhe jo hai tere mizaan mein
ke hai har azmaayish ke saath hi aasaayish, na hogi kahin aisi hiqmat jo hai tere furqaan mein

muqaddas hai teri zaat, teri har baat ke bemisaal hai tu har ek zubaan mein
bakhshi hai tu ne mujhe jo izzat banna kar muhammad ki ummat, karu ab aur kiss cheez ka armaan mein

 

BAHUT KHOOB SHYAMA JI
 Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #8 on: January 01, 2009, 10:14:40 AM »
Reply with quote
Ya Allah, Ya Allah, Tu Hum Sab Par Karam Farmaa,.
Hain Bebas Hum, Zamaane Ke, Na Hum Par Sitam Farmaa,.

Baksh De Hamaare Gunaahon Ko, Taal De Hamaari Balaaon Ko,.
Tu Gaffar Hai, Tu Raheem Hai, Hum Par Tu Reham Farmaa,.

Kyun Aai Hai Aafat Tere Bando Par, Kyun Sab Log Pareshaan Hain,.
Tu Chahe To Sab Karde, Aye Khuda Hum Par Bhi Nazre Karam Farmaa,.

______________________________________-Jaanasheen-



HAMESHA KI TARAH LAJAWAAB LIKHA HAI AZEEM Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 01, 2009, 11:17:26 AM »
Reply with quote

HAMESHA KI TARAH LAJAWAAB LIKHA HAI AZEEM Applause Applause Applause

Shukriya Kashish Ji,.
Ke Aap Pardhte Rehte Ho Meri Har Dil Se Likhii Hui Shayaris Ko,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: January 01, 2009, 11:35:11 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Shayam khuda tumhare kalamo ko izzat bakshe and equally beautiful reply Azeem sochta hu khud bhi kuch likhu par itne gunah kiye hain ke apna kuch likhne ki himmat nahi hoti apne malik ki shaan me.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: January 01, 2009, 11:41:00 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Shayam khuda tumhare kalamo ko izzat bakshe and equally beautiful reply Azeem sochta hu khud bhi kuch likhu par itne gunah kiye hain ke apna kuch likhne ki himmat nahi hoti apne malik ki shaan me.

Maalik To Hamaara Gaffar Hai Bhai, Rehmaan Hai, Raheem Hai,.
Uski To Sifaat Hai, Bando Ko Maaf Karna,.
 Ek Tere Gunaahon Ko Maaf Karna Uske Liye Koi Baat Nahi,.

Logged
shyama
Guest
«Reply #12 on: January 01, 2009, 11:44:50 AM »
Reply with quote
gar tere gunaah samundar se bhi gehre hon aur tune uss ki ibaadat mein kissi ko shareek na kiya ho to woh maaf karne waala hai.

Arz hai:

Maafi maang ae mere dil ke tera rab raheem hai
sitam to yeh hoga ke tu maafi maangna bhi bhool jaaye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 01, 2009, 12:05:16 PM »
Reply with quote
gar tere gunaah samundar se bhi gehre hon aur tune uss ki ibaadat mein kissi ko shareek na kiya ho to woh maaf karne waala hai.

Arz hai:

Maafi maang ae mere dil ke tera rab raheem hai
sitam to yeh hoga ke tu maafi maangna bhi bhool jaaye

Sahi Kahaa Bhai Tumne,.


Karam Magta Hoon, Ataa Maangta Hoon,.
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon,.

Ataa Kar Tu Shaane Kareemi Ka Saqda,.
Dilaade Ilaahi Raheemi Ka Sadqa,.

Na Maangu ga Tujhse, To Maangu Ga Kis Se,.
Tera Hi Hoon Main Tujhse Duaa Maangta Hoon,.

Jo Muflis Hain, Unko Tu Daulat Ataa Kar,.
Jo Beemaar Hain, Unko Tu Sehat Ataa Kar,.

Mareezon Ki Khaatir Shifaa Maangta Hoon,.
Tera Hoon Main Tujhse Duaa Maangta Hoon,.

Ilaahi Hamesha Tu Masroor Rakhna,.
Balaaon Se Humko Sada Door Rakhna,.

Pareshaaniyaan Humko Gheri Hui Hain,.
Pareshaaniyon Se Panaah Maangta Hoon,.

Aameen,.

NM
Logged
shyama
Guest
«Reply #14 on: January 01, 2009, 12:24:21 PM »
Reply with quote
tere rab ne insaaf kiya, tu ne to bas ki niyat aur uss ne maaf kiya
yeh aur baat hai ke ayi teri niyat zubaan pe uss ne to tere ruh mein jhaank kar dekh liya
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 11:30:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer