aakhiri jaam

by salil2002 on January 10, 2009, 07:17:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1939 times)
salil2002
Guest
Reply with quote
nasha raha jab talak main khamosh raha
hosh main aate hi jaam badaya tune
haan tu chahti thi kii main kuch na kahoon
mere labon par rakh k oongli ye jataya tune

peeta raha sharaab main aur raat bhar muskuraata raha
tera gair kii baahon main beithna mujhe reh reh k yaad aata raha
chaha kii bhool jaun tujhe par yeh bhi mumkin na tha
woh barsaat kii raat ka kissa mujhe rulaata raha

hosh na aaya mujhe ,na aana tha mujhe yeh maloom tha
tera apne haathon se zeher pilana mujhe bhata raha
bas ek kasak le kar main vida hua apne dil main
aakhiri baar jab chume tere lab tu oonhe mere labon se hatata raha

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aakhiri Chahat by Alam Qazi in Shairi - E - Zindagi
Aakhiri Shaam by harashmahajan in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
AAKHIRI PAHAR by kuchtohai in Shairi - E - Zindagi
Mere is aakhiri ghar ki....... by Satya.patel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aakhiri milan humhara tha... by jennifer555 in Shairi - E - Zindagi
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: January 10, 2009, 10:30:51 AM »
Reply with quote
 Applause

Wah salil bro kitna dard bhara hai aapke shayari mein...

Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: January 10, 2009, 02:10:35 PM »
Reply with quote
kya baat hai  salilji...bahut hi dardila hai,

khud hi bewafa bankar,bewafai bulane ka, khud hi jaam pilaye jaarahi hai,
zakham bhi khud deti hai, aur mahram bhi khud hi lagaye jaarahi hai.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: January 10, 2009, 02:18:33 PM »
Reply with quote
Boaht khoo salil...

Tera andaz-e-bayaan GHAYEL ko bohat bhaya hain
Waise us raat tu kis mehfil se uth ke aaya hain
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: January 10, 2009, 02:44:14 PM »
Reply with quote
nasha raha jab talak main khamosh raha
hosh main aate hi jaam badaya tune
haan tu chahti thi kii main kuch na kahoon
mere labon par rakh k oongli ye jataya tune

peeta raha sharaab main aur raat bhar muskuraata raha
tera gair kii baahon main beithna mujhe reh reh k yaad aata raha
chaha kii bhool jaun tujhe par yeh bhi mumkin na tha
woh barsaat kii raat ka kissa mujhe rulaata raha

hosh na aaya mujhe ,na aana tha mujhe yeh maloom tha
tera apne haathon se zeher pilana mujhe bhata raha
bas ek kasak le kar main vida hua apne dil main
aakhiri baar jab chume tere lab tu oonhe mere labon se hatata raha



Bahut khoob Salil ji
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: January 11, 2009, 02:38:05 PM »
Reply with quote
Applause

Wah salil bro kitna dard bhara hai aapke shayari mein...


thanks jaya di
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: January 11, 2009, 02:40:25 PM »
Reply with quote
kya baat hai  salilji...bahut hi dardila hai,

khud hi bewafa bankar,bewafai bulane ka, khud hi jaam pilaye jaarahi hai,
zakham bhi khud deti hai, aur mahram bhi khud hi lagaye jaarahi hai.
thanks cara well written by u too, thanks sajid bhai

na kaho oose bewafa shayad kucch khata meri ho hogi
dil hai toota mera toh kya hua woh bhi meri yaad mein roti hi hogi
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: February 11, 2009, 05:58:51 AM »
Reply with quote
Boaht khoo salil...

Tera andaz-e-bayaan GHAYEL ko bohat bhaya hain
Waise us raat tu kis mehfil se uth ke aaya hain

shukriya bhai jaan
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #8 on: February 11, 2009, 06:06:01 AM »
Reply with quote
Bahoth qoob sajid , salil , cara ji, maza agya !!

Aaj tere maiqane me itni sharaab  nahi saqi !!
ajj phir hosh me rahonga teri yaad rahegi baaqi !!

....................Qadeer Toopchi ..................
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: February 11, 2009, 06:51:21 AM »
Reply with quote
Bahoth qoob sajid , salil , cara ji, maza agya !!

Aaj tere maiqane me itni sharaab  nahi saqi !!
ajj phir hosh me rahonga teri yaad rahegi baaqi !!

....................Qadeer Toopchi ..................

Wah meri jan yeh kya likh diya kaleja cheer ke nikal gaya yeh sher... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #10 on: February 11, 2009, 06:53:45 AM »
Reply with quote
Wah meri jan yeh kya likh diya kaleja cheer ke nikal gaya yeh sher... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya meri jaan aur apni kalakari bhi dekha dete to hame khuch sikhne ko milta mere dost!!

Qadeer Toopchi
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #11 on: February 11, 2009, 07:22:52 AM »
Reply with quote
nasha raha jab talak main khamosh raha
hosh main aate hi jaam badaya tune
haan tu chahti thi kii main kuch na kahoon
mere labon par rakh k oongli ye jataya tune

peeta raha sharaab main aur raat bhar muskuraata raha
tera gair kii baahon main beithna mujhe reh reh k yaad aata raha
chaha kii bhool jaun tujhe par yeh bhi mumkin na tha
woh barsaat kii raat ka kissa mujhe rulaata raha

hosh na aaya mujhe ,na aana tha mujhe yeh maloom tha
tera apne haathon se zeher pilana mujhe bhata raha
bas ek kasak le kar main vida hua apne dil main
aakhiri baar jab chume tere lab tu oonhe mere labon se hatata raha



salil ji kya baat hai bahut khoob magar main wah wah nahin kahunga. kyonki dard hota hai yaar.



dooba raha har pal jaam mein teri ek yaad mein
tu na rahi ab saath mere, hai toh bas teri aas
jeeta raha uss din se ab talak pee kar ashko gam
jaam jab bhi utha teri yaad ke saath

hua phir kashmkash ka daur yun aaya
ki botal ne bhi mujhko tera aks dhikhaya.
laakh gam uthaaye pfirta raha sunee rahon par
aur har raah par ek naya saaki maine paaya.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: February 11, 2009, 07:24:11 AM »
Reply with quote
Shukriya meri jaan aur apni kalakari bhi dekha dete to hame khuch sikhne ko milta mere dost!!

Qadeer Toopchi

Yaar ki guzarish mere liye hukum hain....

Baati gayee sharab meri mayyat pe dosto
Namaz-e-janaza meri Sakhi ne padayee dosto
Kandha diya Rindo ne janaze ko jhoomte hue
Aur dafn hua GHAYEL maikhane me dosto

                         -Sajid Ghayel-
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #13 on: February 11, 2009, 07:26:08 AM »
Reply with quote
Yaar ki guzarish mere liye hukum hain....

Baati gayee sharab meri mayyat pe dosto
Namaz-e-janaza meri Sakhi ne padayee dosto
Kandha diya Rindo ne janaze ko jhoomte hue
Aur dafn hua GHAYEL maikhane me dosto

                         -Sajid Ghayel-


Wah Wah Wah mere dost kasam khuda ki kasam yaar bahoth umda likha tone mai aur maiqane ko kya jod ke rakha hai yaar !! "Rindon ne kandha diya " Wah Wah Wah !! kya baath ghayel !!

Qadeer Toopchi
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #14 on: February 11, 2009, 07:51:23 AM »
Reply with quote
 wah wah ghayal ji kyo khoob hai
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:26:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer