aakhiri jaam

by salil2002 on January 10, 2009, 07:17:17 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1960 times)
salil2002
Guest
«Reply #15 on: February 11, 2009, 09:49:53 AM »
Reply with quote
Bahoth qoob sajid , salil , cara ji, maza agya !!

Aaj tere maiqane me itni sharaab  nahi saqi !!
ajj phir hosh me rahonga teri yaad rahegi baaqi !!

....................Qadeer Toopchi ..................
salil ji kya baat hai bahut khoob magar main wah wah nahin kahunga. kyonki dard hota hai yaar.



dooba raha har pal jaam mein teri ek yaad mein
tu na rahi ab saath mere, hai toh bas teri aas
jeeta raha uss din se ab talak pee kar ashko gam
jaam jab bhi utha teri yaad ke saath

hua phir kashmkash ka daur yun aaya
ki botal ne bhi mujhko tera aks dhikhaya.
laakh gam uthaaye pfirta raha sunee rahon par
aur har raah par ek naya saaki maine paaya.

Yaar ki guzarish mere liye hukum hain....

Baati gayee sharab meri mayyat pe dosto
Namaz-e-janaza meri Sakhi ne padayee dosto
Kandha diya Rindo ne janaze ko jhoomte hue
Aur dafn hua GHAYEL maikhane me dosto

                         -Sajid Ghayel-

kasam khuda kii mazaa aa gaya qadeer bhai, sajid bhai aur rawat ji aapko pad kar ..................bahut hi behtareen koshish hai


kii mitti pe rakhte hi kadam jab jhoomne lage
  hawa mein gunje jab mohabbat ka tarana
samajh jaana yeh kabra hai saahil kii
  aur saaf niyat se do ghoont pila jaana
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aakhiri Chahat by Alam Qazi in Shairi - E - Zindagi
Aakhiri Shaam by harashmahajan in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
AAKHIRI PAHAR by kuchtohai in Shairi - E - Zindagi
Mere is aakhiri ghar ki....... by Satya.patel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aakhiri milan humhara tha... by jennifer555 in Shairi - E - Zindagi
abdulqadeer
Guest
«Reply #16 on: February 11, 2009, 10:24:12 AM »
Reply with quote
kasam khuda kii mazaa aa gaya qadeer bhai, sajid bhai aur rawat ji aapko pad kar ..................bahut hi behtareen koshish hai


kii mitti pe rakhte hi kadam jab jhoomne lage
  hawa mein gunje jab mohabbat ka tarana
samajh jaana yeh kabra hai saahil kii
  aur saaf niyat se do ghoont pila jaana

Wah Wah Salil bahoth qoob itna tassavurana mizaj rakhte ho janab !! aur umid bhi kafi rakhte ho saqi se !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #17 on: February 11, 2009, 10:54:24 AM »
Reply with quote
Bahoth qoob sajid "rindo ne kandha diya "

Pilade saqi eak jaam aisa is jaam ke baad !!
Maiqana bhool jaye "Qadeer" is qayaam ke baad !!
   
……………Qadeer Toopchi …………….
Logged
salil2002
Guest
«Reply #18 on: February 11, 2009, 11:10:10 AM »
Reply with quote
Bahoth qoob sajid "rindo ne kandha diya "

Pilade saqi eak jaam aisa is jaam ke baad !!
Maiqana bhool jaye "Qadeer" is qayaam ke baad !!
   
……………Qadeer Toopchi …………….
bhai jaan shukriya ...itna behtareen kalaam likhne k liye

yeh arzoo hai kafan ho maye se bheega hua
mujhe zami pe na dafnana dosto
jalana bhi toh lakdiyon par nahin
botlon k dher par litana dosto

Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #19 on: February 11, 2009, 11:18:10 AM »
Reply with quote
bhai jaan shukriya ...itna behtareen kalaam likhne k liye

yeh arzoo hai kafan ho maye se bheega hua
mujhe zami pe na dafnana dosto
jalana bhi toh lakdiyon par nahin
botlon k dher par litana dosto



Good salil !!

Qadeer Toopchi
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #20 on: February 11, 2009, 12:35:53 PM »
Reply with quote
kasam khuda kii mazaa aa gaya qadeer bhai, sajid bhai aur rawat ji aapko pad kar ..................bahut hi behtareen koshish hai


kii mitti pe rakhte hi kadam jab jhoomne lage
  hawa mein gunje jab mohabbat ka tarana
samajh jaana yeh kabra hai saahil kii
  aur saaf niyat se do ghoont pila jaana


jab sunayee de door kahin tarana mohabbat ka
toh samjhna doston ye dard hai ek Ashiq ka
joh barson so raha hai kadmon tale tumhaare
pyaasa hai jara do jaam raham nazar kar jana.

Logged
qayda
Guest
«Reply #21 on: May 25, 2009, 01:33:38 PM »
Reply with quote
kya bat hai salil jee
apne to dard ko ek naya mukam de dala

ye dard sach mein bahoot dardili hoti hai....

apna khyal rakhiyega....
Logged
salil2002
Guest
«Reply #22 on: May 25, 2009, 02:24:39 PM »
Reply with quote


jab sunayee de door kahin tarana mohabbat ka
toh samjhna doston ye dard hai ek Ashiq ka
joh barson so raha hai kadmon tale tumhaare
pyaasa hai jara do jaam raham nazar kar jana.


kya bat hai salil jee
apne to dard ko ek naya mukam de dala

ye dard sach mein bahoot dardili hoti hai....

apna khyal rakhiyega....
thnks qayda and rawat bhai............

hai aashiq ka dil toota hua
saaqi ka daaman bhi bheega hai
maut naseeb nahin hoti hai ishq mein
dard ko mitaane ka maye ek tareeka hai
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:41:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer