Aashiqi

by muna massood on July 11, 2008, 01:05:58 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 875 times)
muna massood
Guest
Reply with quote
mere ishq ka mere pyaar ka,ye ajeeb tu ne sila diya
       kabhi hanste hanste rula diya kabhi rote rote hansa diya
Na pehle hi koi sabaq liya ,na hi aehd e rafta ki fikr ki
       gham e zindagi ne jhanjhod ke mujhe ghaflaton se jagadiya
mere roz o shab ki kahaniyaa,maze le ke sab ne sune magar
       mere laghzishon pe nazar rahi,meri bebuse ko bhula diya
mere zeest ke naye mod par,mere apne mujh se bigad gaye
       jo na dushmanon se ummeed thi,woh unhone kar ke dikha diya
teri yaad dil mein jo kum hue,to museebaton ke pahaad the
       mere azm ko yun jila mile,ke bulandiyon pe chadha diya
mein ne zamzamon mein badal diya,dil e mudtarib ki sadaaon ko
       jo daroon e dil tha chupa hua ,sar e anjuman woh suna diya
meri apne dil pe nazar gaye ,to siyah tar tha gunaah se
        teri rahmaton ka hai aasra ke shafaq ne sar ko jhuka diya
                                                 (Shafaq siddique)
 
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aashiqi machalti hai...... by bond in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 5 6 »
Aashiqi k dhang by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Teri Bewafaai Ka Aashiqi Ka Matam,.. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3  All »
Gam-e-Aashiqi by jempawan in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aashiqi De Di,. by Azeem Azaad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 12, 2008, 07:08:12 AM »
Reply with quote
mere roz o shab ki kahaniyaa,maze le ke sab ne sune magar
       mere laghzishon pe nazar rahi,meri bebuse ko bhula diya
mere zeest ke naye mod par,mere apne mujh se bigad gaye
       jo na dushmanon se ummeed thi,woh unhone kar ke dikha diya
teri yaad dil mein jo kum hue,to museebaton ke pahaad the
       mere azm ko yun jila mile,ke bulandiyon pe chadha diya
mein ne zamzamon mein badal diya,dil e mudtarib ki sadaaon ko
       jo daroon e dil tha chupa hua ,sar e anjuman woh suna diya

Bahot Bahot Badhiya Kalaam Hai Masood Ji

meri apne dil pe nazar gaye ,to siyah tar tha gunaah se
        teri rahmaton ka hai aasra ke shafaq ne sar ko jhuka diya

Bahot Hi Khoob Janaab Safaq Siddiqi Ke Liye Bhi..

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:08:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer