Ab bas rehne do..1

by nishita on November 13, 2004, 05:31:56 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 10550 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: November 15, 2004, 06:22:50 PM »
Reply with quote
Thanks Immi n Nishi..n Good one Immi!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KHAMOSH SE TUM REHNE LAGE HO by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
DIL MEIN REHNE WALO NE by BHONDU in Shayri-E-Dard
*Rehne Do Tanha Hame* by Roja in Shayri for Dard -e- Judai
*Rehne Do* by Sonia01 in Shayri-E-Dard
Maa-Baap (Zameen Par Rehne Wale Khuda) by khwahish in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
sufyan
Guest
«Reply #16 on: November 16, 2004, 02:24:11 PM »
Reply with quote
NISHI WROTE,
 Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do (NM)


VERY NICE WROTE NISHI
Logged
nishita
Guest
«Reply #17 on: November 16, 2004, 04:52:56 PM »
Reply with quote
thanks all

Quote from: "immi"
Nishita yeh aapke liye.... hope you'll like it. !!!!!!

Yeh aansu hai anmol, inhey na bahawo
kiya khata hai hamari, hume to batawo,

hume kasam hai, wafa ki humari
shikayat nahi koi, tumse humari,

jo paya hai tumne, woh anmol dukh hai,
esi mein humari, mohabbat choopi hai,

jo haal-e-dil ki daastaan suni aapki humne
mahak apni mohabbat ki humne usme paaye

aansa hai marna, auroon ke liye meri jaa.n
tum apna jeewan, humari khatir ji ke dikhao.


too good immi....  yeh hai mera jawaab..

Ye jaane bhi kya jaana hai, jo jaate ho khafaa hokar
main to tab jaanu mere dil se chale jaao judaa hokar

Qayaamat tak udegi dil se uthkar khaak aankho tak
isi raaste gayaa hai hasraton ka kaafilaa hokar

Tumhi ab dard-e-dil ke naam se ghabraaye jaate ho
tumhi to dil mein shaayad aaye the dard-e-aashiyaan hokar... (NM)
Logged
immi
Guest
«Reply #18 on: November 16, 2004, 05:11:42 PM »
Reply with quote
Very NIce Nishita !!!!!    Bahot Khub !!!

yeh khafa bhi kiya khafa hona hai, jo huve sirf muttasar ke liye
Dil se judaa ho jaaye ge, par rooh se judaa na ho paaye ge

yeh dil bhi kiya dil hai, jisme armaan the judai ke,
phir kyun rah gaye is dil mein, mohabbat ke dastaan katra kar

yeh shaq bhi kiya shaq hai, unhe aaj bhi hum par
jo kehte hai ki shayad hum hi aaye the dard-e-aashiyaan hokar
Logged
nishita
Guest
«Reply #19 on: November 16, 2004, 05:17:10 PM »
Reply with quote
Quote from: "immi"
Very NIce Nishita !!!!!    Bahot Khub !!!

yeh khafa bhi kiya khafa hona hai, jo huve sirf muttasar ke liye
Dil se judaa ho jaaye ge, par rooh se judaa na ho paaye ge

yeh dil bhi kiya dil hai, jisme armaan the judai ke,
phir kyun rah gaye is dil mein, mohabbat ke dastaan katra kar

yeh shaq bhi kiya shaq hai, unhe aaj bhi hum par
jo kehte hai ki shayad hum hi aaye the dard-e-aashiyaan hokar


very nice immi

jaane wale teri ek adaa se wakif hai hum
kisne kisko dhoka diya sab jaante hai hum
tum karlo beshak inkaar apni bewafai se magar
Teri wafa ko mere yaar khoob pehchante hai hum
Logged
immi
Guest
«Reply #20 on: November 16, 2004, 05:25:33 PM »
Reply with quote
Bahot khub Nishita !!!

kiya pehchana, mere yaar tune mujko
hum to wafa karke bhi, bewafa mein shamil hai

"Jaane wale lot ke nahi aate,
Jaane walo ki yaad aati hai " (NM)
Logged
nishita
Guest
«Reply #21 on: November 16, 2004, 05:39:55 PM »
Reply with quote
thanks immi... and bohat sahi likha aapne...

Tamannaon ke bahlaave mein aksar aa hi jaate hai
kabhi hum chot khaate hai kabhi hum muskuraate hai
Kisi ke saath jab beete hue lamhon ki yaad ayi
thaki aankhon me ashkon ke sitaare jhil-milate hai... (NM)
Logged
immi
Guest
«Reply #22 on: November 16, 2004, 05:53:28 PM »
Reply with quote
Bahot Khub Nishita !!!!

"Jab tujhe dil se bhulane ki kasam khayee hai
pehle se bhi jyada teri yaad aayee hai,  ....."
(NM)
Logged
nishita
Guest
«Reply #23 on: November 16, 2004, 05:58:33 PM »
Reply with quote
wah wah kya baat hai..!!

dil-e-arzoo ne hume deewana bana diya,
roye na the par tune rula diya,
tumhe humari yaad na aayi hogi kabhi,
par humne teri yaad mein zamaana bhula diya (NM)
Logged
immi
Guest
«Reply #24 on: November 16, 2004, 06:12:16 PM »
Reply with quote
Thanks n Very nice Nishita !!

Aye mere Maalik, yeh kiya ghazab kiya maine,
hasaane ki bajay, unhe rula diya maine,

hume unki yaad na aayi, yeh shikayat hai unhe,
aur humari yaad mei zamaane ko bhulne ka guroor hai unhe
Logged
nishita
Guest
«Reply #25 on: November 16, 2004, 06:16:55 PM »
Reply with quote
waah immi i liked the first two lines.. Usual Smile

Apne dil ko tere khayalon se kaise saaf kar doon
tujhe badnaam kar doon ya tujhe main maaf kar doon
tujhe cheen loon duniya se ya apne jazbaat karo main qaid
main kis tarah aakhir apni zindagi se insaaf kar loon... (NM)
Logged
immi
Guest
«Reply #26 on: November 16, 2004, 06:23:00 PM »
Reply with quote
wah, bahot khub, excellent !!! very nice !!!

Few lines from one of my favourite ghazal :

"woh parde ke pichey, mein pardey ke aage,
na woh aaye aage, na mein javu pichey,
woh aage badege to kuch bhi na hoga
mein pichey hathuga to duniya hassegi"
(NM)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: November 16, 2004, 08:06:28 PM »
Reply with quote
Wah!!! bahoot khoob Nishita and immi!!! bahoot khoob!!!!
Logged
akela
Guest
«Reply #28 on: November 16, 2004, 08:26:03 PM »
Reply with quote
bahoot khoob dosto
Logged
immi
Guest
«Reply #29 on: November 16, 2004, 09:21:16 PM »
Reply with quote
Thanks Pooja n Akela !!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:32:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.5 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer