Ab bas rehne do..1

by nishita on November 13, 2004, 05:31:56 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 10557 times)
nishita
Guest
«Reply #30 on: November 17, 2004, 05:11:52 PM »
Reply with quote
thks pooja and akela... and bohat khoob immi

main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karti

chahta hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karti

par kuch to baat hai teri fitrat me zalim
warna Mein tujhe chahne ki khataa bar- bar nahi karti (NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KHAMOSH SE TUM REHNE LAGE HO by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
DIL MEIN REHNE WALO NE by BHONDU in Shayri-E-Dard
*Rehne Do Tanha Hame* by Roja in Shayri for Dard -e- Judai
*Rehne Do* by Sonia01 in Shayri-E-Dard
Maa-Baap (Zameen Par Rehne Wale Khuda) by khwahish in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #31 on: November 17, 2004, 05:38:38 PM »
Reply with quote
Wah!! Nishi....
Logged
sufyan
Guest
«Reply #32 on: November 17, 2004, 05:44:42 PM »
Reply with quote
very nice nishi
Logged
immi
Guest
«Reply #33 on: November 17, 2004, 05:50:06 PM »
Reply with quote
Thanks, n very nice Nishita !!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #34 on: November 17, 2004, 05:59:36 PM »
Reply with quote
thanks sufi , talat and immi
Logged
immi
Guest
«Reply #35 on: November 17, 2004, 06:24:13 PM »
Reply with quote
lafzon se na sahi, nazro.n se ishq-e-izhar kar deti
kam se kam is nachis pe thoda sa aitbaar kar leti

khudgarz kahoon ya kahoon bewafa tujhe
jo chah kar bhi na karte yaad mujhe

na hoga tamasha teri mohabbat ka, aye husn ki malika
tera dil-o-dard, wafa ki haqeekat sunayega

jo mila hai usi mei khush ho, phir kounsi ummeed baaki hai
kiya karogee khuda se taqraar, jabke humara milan abhi baaki hai

tu hi tu hai dil mei mere, yehi fitrat hai meri
baar baar mujhe chahna, yeh fitrat hai teri
Logged
nishita
Guest
«Reply #36 on: November 18, 2004, 07:35:55 AM »
Reply with quote
wah wah immi
Logged
Talat
Guest
«Reply #37 on: November 18, 2004, 02:23:07 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Immi
Logged
immi
Guest
«Reply #38 on: November 18, 2004, 03:28:07 PM »
Reply with quote
Bahot bahot sukriya !! Nishita n Talat
Logged
nishita
Guest
«Reply #39 on: November 18, 2004, 04:42:28 PM »
Reply with quote
hmm immi ...reply

aisa Nahin Ke Hum Ko Mohabbat Nahin Milli
Jise Chahte The Hum Ko Woh Ulfat Nahin Milli

Milne Ko Zindagi Main bahut Humsafer Mille
Par Unh Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahin Milli

Chehron Main Dosron K Tumhe Dhoondhte Rahe
Surat Nahin Milli Kahin Seerat Nahin Milli

Bohat Dair Se kuch kehna chahati hu tujhe magar
Alfaaz Dhoondne Ki Bhi Mohlat Nahin Milli

Tujh Ko Gilla Raha K Tawajah Na Di maine tuzko
Lekin Hume Khud Apni Mohabbat Na milli

Her Shakhas Zindagi Main Bohat Dair Se Milla
Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahin Milli

Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi sanam
Afsoos Ke Tujh Sey Meri Aadat Nahin Milli (NM)
Logged
immi
Guest
«Reply #40 on: November 18, 2004, 05:00:16 PM »
Reply with quote
Bahot Khoob Nishita !!!!!!

Very Nice...
Logged
nishita
Guest
«Reply #41 on: November 18, 2004, 05:00:58 PM »
Reply with quote
Usual Smile thks
Logged
nishita
Guest
«Reply #42 on: November 20, 2004, 10:41:17 AM »
Reply with quote
Saans lete huye bhi darta hu
ye na samajhe ki aah kartaa hu
Yeh bada aib mujh mein hai 'khuda'
dil mein jo aaye kah guzarataa hu

- Akhbar Allahabadi
Logged
immi
Guest
«Reply #43 on: November 23, 2004, 05:41:26 PM »
Reply with quote
Very nice Nishita !!!!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #44 on: November 24, 2004, 04:44:47 AM »
Reply with quote
Kya jane woh dil se utra kion nahi jata,
Ger shaam ka bhoola hai tu ghar kion nahi jata,
Hum ko nahi maluam k ujrey huwey dil se,
Awara mazaji ka aser kion nahi jata,
Kya baat hai sarkoon pe uterti nahi ronak,
Kya sameed hai is shaher se darr kion nahi jata,
Sadioon se tujhe takte huwey souch raha hoon,
Jee tera khad-o-khal se bahra kion nahi jata,
Anhkoon se udasi ki khata kion nahi jhatti,
Seeney se mohabat ka bahwer kion nahi jata,
Tehra hai jo ik kafla ghum mere dil mein,
Is chohti c basti se guser kion nahi jata,
Sansoo se mere larzish ghum kion nahi jati,
Peeroon se mere zakhum-e-safer kion nahi jata.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:06:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer