Ab haroon mey keya

by Sonu on May 15, 2006, 07:44:44 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Author  (Read 6733 times)
Sonu
Guest
Reply with quote
ahyee thi mey jub hutho mey muskan thi meyrey,
ab vo janey khaa gaye jitney arman they meyrey,
haar gayee hoon mey baji ab haroon keya.

socha tha es baar to kesmat meyrey sang hugi,
vo bhi shatroo sang mila to phir keysey jeet huti,
har gayee hoon mey baji ab haroon keya.

deepu ko deykh ker meyney sari raat yeohi socha,
na bujhney ki cha leya yea bujh jatey hai her subha,
meyra bhi kisa kuh ehsa ab pachtaow mey keya,
 haar gayee hoon mey baji ab haroon keya.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Keo Pyar Keya by Sonu in Shayri for Dard -e- Judai
Jub Pyar keya to darna keya by Sonu in Songs & Lyrics
keya hae mehngae nae sabka bura hal by sushilbansal in Shayri-E-Dard
keya kabhi tum nay dekhi hai by sushilbansal in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Ham nay keya kho diya aur keya pa gaey by sushilbansal in Shairi - E - Zindagi
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: May 19, 2006, 03:52:53 PM »
Reply with quote
Nice One Sonu Ji,..

Kyun Roti Ho Ab Dil Hamara Dukhakar,..
Kya mila Bata Tujhe Mera Sab Kuch Mitakar,..

Ye aansoon Bhi Hain Tere To Bas zamaane ke liye,..
Kyun Chuna Tune Sirf Mujhe Hi Mitaane ke Liye,..

Teri To Har Adaa Se Mujhe Mohabbat Hai,..
Aur Tujhe To Bas Daulat Ki Zaroorat Hai,..

Khush Na Reh paayegi Tu Meri Hasti Mitakar,..
Maine To Chaha Tha Tujhe Apna Sab Kuch Lootakar,..

Phir Bhi Khata Teri Nahi apni Hi Hai Jo Tujhe apna Banaya,..
Tere Saath Zindagi Beetane Ka rangeen Sapna Sajaaya,..

Teri To Adat Thi sabse Bewaafai karne ki,..
Dua kar Ab Aye Zalim Mere Jaldi Marne Ki,..

______________-Azeem-____________
Logged
Sonu
Guest
«Reply #2 on: May 19, 2006, 09:46:31 PM »
Reply with quote
shukriya Jaanahseen ji... bahut khoob likha hai apney..

maaf karna galtiyaan bahut huyi hain humse
anzaaney main hum kahen.. tum chaahe jaaney main kah lo
aaj waqt thaa batlaaney ka toh kah diya
gunaah mere.. bas tum apne sar mat lo


quote="Jaanasheen"]Nice One Sonu Ji,..

Kyun Roti Ho Ab Dil Hamara Dukhakar,..
Kya mila Bata Tujhe Mera Sab Kuch Mitakar,..

Ye aansoon Bhi Hain Tere To Bas zamaane ke liye,..
Kyun Chuna Tune Sirf Mujhe Hi Mitaane ke Liye,..

Teri To Har Adaa Se Mujhe Mohabbat Hai,..
Aur Tujhe To Bas Daulat Ki Zaroorat Hai,..

Khush Na Reh paayegi Tu Meri Hasti Mitakar,..
Maine To Chaha Tha Tujhe Apna Sab Kuch Lootakar,..

Phir Bhi Khata Teri Nahi apni Hi Hai Jo Tujhe apna Banaya,..
Tere Saath Zindagi Beetane Ka rangeen Sapna Sajaaya,..

Teri To Adat Thi sabse Bewaafai karne ki,..
Dua kar Ab Aye Zalim Mere Jaldi Marne Ki,..

______________-Azeem-____________
[/quote]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 20, 2006, 02:08:10 PM »
Reply with quote
Apne Bhi8 bahoot acha Likha Hai Sonu Ji,..

Ilzaam Wafaa Ke Hum Apne Sar Lenge,..
Teri Khushion Ki Khateer Hanste Hanste Apni Jaan Denge,..
Tere Aankhon Mein Kabhi Bhi Koi Ansooon Na Ho,..
Tere Ek Aansoon ke Liye Hum Apna Khoon Baha Denge,...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2006, 04:41:56 AM »
Reply with quote
Thanks sheen ji... shukriya .... app bhi kamal ka likhti hai :oops:

Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain

Quote from: "Jaanasheen"
Apne Bhi8 bahoot acha Likha Hai Sonu Ji,..

Ilzaam Wafaa Ke Hum Apne Sar Lenge,..
Teri Khushion Ki Khateer Hanste Hanste Apni Jaan Denge,..
Tere Aankhon Mein Kabhi Bhi Koi Ansooon Na Ho,..
Tere Ek Aansoon ke Liye Hum Apna Khoon Baha Denge,...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 22, 2006, 08:43:35 AM »
Reply with quote
Shukriya Sonu Ji,..

Phool Wafaa Ka Mera Raas Na Aaya Chaman Ko,..
Is Liye Aaj Guslhan-e-Bahar Mein Veeraani Hai,..

_______________________________-Jaanasheen-
Logged
Sonu
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2006, 06:25:06 AM »
Reply with quote
bahut khoob Sheen ji....

Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ik-ik adaa jurm hai
aye sanam tere baare mein kuch sochkar
apne baare mein kuch sochna jurm hai
yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe doosra jurm hai
kya sitam hai ke tere hasin shehar mein
har taraf gaur se dekhna jurm hai

Quote from: "Jaanasheen"
Shukriya Sonu Ji,..

Phool Wafaa Ka Mera Raas Na Aaya Chaman Ko,..
Is Liye Aaj Guslhan-e-Bahar Mein Veeraani Hai,..

_______________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 23, 2006, 09:24:47 AM »
Reply with quote
Shukriya Sonu Ji,..

Dil laga kar Apse Pachta Rahe Hain Jaan-e-Mann,..
Pyaar Karne Ki Sazaa Hum Paa Rahe Hain Jaan-e-Mann,..

_____________________________________________-NM-
Logged
Sonu
Guest
«Reply #8 on: May 24, 2006, 06:19:18 AM »
Reply with quote
u r most welcome Azim ji...bahut khoob...

dil laganey ki sejha keya hia ab humney jana hai
verano mey ujhda ek ghar humara hia
pyar ki her ek umeed sey hum door rahey
teyrey aney ki intjar mey ajj bhi hum chakna choor rahey

Quote from: "Jaanasheen"
Shukriya Sonu Ji,..

Dil laga kar Apse Pachta Rahe Hain Jaan-e-Mann,..
Pyaar Karne Ki Sazaa Hum Paa Rahe Hain Jaan-e-Mann,..

_____________________________________________-NM-
Logged
Sonu
Guest
«Reply #9 on: May 24, 2006, 06:20:18 AM »
Reply with quote
bahut khoob Majid brother...

Quote from: "majid"
Kabhi Aaina Bhi Kitna Haseen Lagta Hai
Kabhi Aaina Bhi Kitna Haseen Lagta Hai

Siyah Safaid Jahaan Bhi Rangeen Lagta Hai
Ik Aisa Daor Bhi Aata Hai Zindagi Main Jahaan

Koi Udas Na Koi Ghamgeen Lagta Hai
Kabhi Main Milne Ose Jata Hoon Peryoon Ke Nager

Kabhi Who Utra Dil-e-Serzameen Lagta Hai
Umer Ka Tayyun Sonpa Khuda Se Le Ke Unhain
Kia Koi Itna Bhi Apnatareen Lagta Hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: May 24, 2006, 10:24:04 AM »
Reply with quote
Shukriya Sonu Ji,..
And Nice One Sonu Ji And Majid Bhai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 24, 2006, 10:32:02 AM »
Reply with quote
Ansoon Samajh Ke Kyun Mujhe Aankh Se Giraa Diya,..
Moti Kisi Ke Pyaar Ka Mitti Mein Kyun Milaa Diya,..

Jo Na Chaman Mein Khil Saka Main Wo Gareeb Phool Hoon,.
Jo Kuch Bhi Ho Bahaar Ki Choti Si Ek Bhool Hoon,..

Jisne Khilaa Ke Khud Mujhe Khud Hi Mujhe Bhoola Diya,..
Aansoon Samajh Ke Kyun Mujhe Aankh Se Giraa Diya,..

Meri Khata Maaf Hai Bhoole Se Aagaya Yahan,..
Warna Mujhe Bhi Hai Khabar Mera Nahi Hai Ye Jahan,..

Doob Chala Tha Neend Mein Acha Kiya Jagaa Diya,..
Aansoon Samajh Ke Kyun Mujhe Aankh Se Giraa Diya,..

__________________-Azeem-___________________
Logged
Sonu
Guest
«Reply #12 on: May 25, 2006, 03:40:08 AM »
Reply with quote
u r most welcome Azeem ji.... bahut khoob.. nice

Tum Gaye Sab Gaya !

Tum gaye sab gaya
Koyi apni hi mitti taley dab gaya
Koyi aya tha kuch dher pehley yahaan
Ley ke mitti se lepa howa aasmaan
Kaber per daal ker woh gaya
Kab gaya Huh?

Tum gaye sab gaya
Tum gaye sab gaya

Hatoon pairoon mein tanhayian jalti hai
Meri ankhon mein perchayiaan jalti hai
Ek salaab tha, sara ghar beh gaya
Phir bhi jeeney ka thora sa dar reh gaya

Zakhm jeeney ke kyu de gaya
jab gaya ..
Tum gaye sab gaya
Tum gaye sab gaya

Koyi apni hi mitti taley
Dab gaya ..

Quote from: "Jaanasheen"
Ansoon Samajh Ke Kyun Mujhe Aankh Se Giraa Diya,..
Moti Kisi Ke Pyaar Ka Mitti Mein Kyun Milaa Diya,..

Jo Na Chaman Mein Khil Saka Main Wo Gareeb Phool Hoon,.
Jo Kuch Bhi Ho Bahaar Ki Choti Si Ek Bhool Hoon,..

Jisne Khilaa Ke Khud Mujhe Khud Hi Mujhe Bhoola Diya,..
Aansoon Samajh Ke Kyun Mujhe Aankh Se Giraa Diya,..

Meri Khata Maaf Hai Bhoole Se Aagaya Yahan,..
Warna Mujhe Bhi Hai Khabar Mera Nahi Hai Ye Jahan,..

Doob Chala Tha Neend Mein Acha Kiya Jagaa Diya,..
Aansoon Samajh Ke Kyun Mujhe Aankh Se Giraa Diya,..

__________________-Azeem-___________________
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: May 25, 2006, 08:46:03 AM »
Reply with quote
Shukriya Sonu Ji And Nice One,..

Teri Zulfon Se Bewafaai To Nahi Maangi Thi,..
Qaid Maangi Thi Rihaai To Nahi Maangi Thi,..

Maine Kya Jurm Kiya App Khafa Ho gaye,..
Pyaar Manga Tha Khudaai To Nahi Mangi thi,..

Mera Haq Tha Teri Aankhon Ki Chalakti Main Par,..
Cheez Apni Th Paraai to Nahi mangi Thi,..

ChahneWalon Ko Kabhi Toone Sitam Bhi Na Diya,..
Teri Mehfil Mein Ruswaai To Nahi Mangi Thi,..

Dushmani Ki Thi Agar,Wo Bhi Nibhaata Zalim,..
Teri Hasrat Mein Bhalaai To Nahi Mangi THi,..

Apne Deewaane Pe Itna Bhi Sitam Theek Nahi,..
Teri Ulfat Mein Buraai To Nahi Mangi THi,..

_______________________________________
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #14 on: May 26, 2006, 12:17:46 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai, bahoot khoob Sonu and Jsheen
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:39:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer