Adrishya Jeevan Disha

by syednaami on April 16, 2008, 07:45:40 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1165 times)
syednaami
Guest
Reply with quote
Jeevan mera bhi kuchh yun beeta hota
Dhan suvarna sampatti sab paya na hota

Jeevan mera bhi kuchh yun beeta hota
Dhan suvarna sampatti sab paya na hota

Darpana drishya main bhi nahin pahchaana
kaisi machlee antar main yeh avidyaa
drashti meri thi bhatki konsi audh

Jeevan mera bhi kuchh yun beeta hota
Dhan suvarna sampatti sab paya na hota

jeevan ko bitaya pragati ke virodh
aata kyun nahin mann men parinaam
chala ja raha hun vikshep maarg ki audh

Jeevan mera bhi kuchh yun beeta hota
Dhan suvarna sampatti sab paya na hota


(S Naami)

                                            Samarpit:: Prateek Mardiya
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #1 on: April 17, 2008, 04:07:54 PM »
Reply with quote
Ye aapne bahut accha likha hai Syednami jee. heading b kuch alagsa
accha laga padkar.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #2 on: April 19, 2008, 02:20:38 AM »
Reply with quote
Pranaam
Shrimati Sonia, aapki prashansa ka hrday se dhanyavaad.

Chhoti si kavita ka prayatna kia hai, aasha hai sab ko meri Pehli Hindi kavita theek lagi hogi.

Aap ka dhanyavaad
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #3 on: April 19, 2008, 02:31:25 AM »
Reply with quote
Pranaam
Shrimati Sonia, aapki prashansa ka hrday se dhanyavaad.

Chhoti si kavita ka prayatna kia hai, aasha hai sab ko meri Pehli Hindi kavita theek lagi hogi.

Aap ka dhanyavaad

Wah kya ada hai dhanyavaad ka. Hum prasanna huye baccha  tongue3
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: April 19, 2008, 12:02:38 PM »
Reply with quote
Main aap se vinay karta hun, krpya aparihaasi (Serious, sanjeeda) rahen, yeh thread bhi dukhat kavitaon ka hai.
Har kshan har sthal thhathha achhi nahin hoti.


Dhanyavaad
Logged
punam
Guest
«Reply #5 on: April 19, 2008, 12:37:21 PM »
Reply with quote
Jeevan mera bhi kuchh yun beeta hota
Dhan suvarna sampatti sab paya na hota

Jeevan mera bhi kuchh yun beeta hota
Dhan suvarna sampatti sab paya na hota

Darpana drishya main bhi nahin pahchaana
kaisi machlee antar main yeh avidyaa
drashti meri thi bhatki konsi audh

Jeevan mera bhi kuchh yun beeta hota
Dhan suvarna sampatti sab paya na hota

jeevan ko bitaya pragati ke virodh
aata kyun nahin mann men parinaam
chala ja rahun vikshep maarg ki audh

Jeevan mera bhi kuchh yun beeta hota
Dhan suvarna sampatti sab paya na hota


(S Naami)

                                            Samarpit:: Prateek Mardiya

is sundar kavita ke liye meri haardik badhaai!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: April 21, 2008, 03:40:44 AM »
Reply with quote
Syeednaami ji,

Bohut sundar bhaave he aapke.aapke nirantar prayas,aapka juzhharu vyaktitva ka aaiana he.meri shubhkanye sada aapke saath he.

Regards
Prateek
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: April 22, 2008, 04:04:33 AM »
Reply with quote
is sundar kavita ke liye meri haardik badhaai!
Syeednaami ji,

Bohut sundar bhaave he aapke.aapke nirantar prayas,aapka juzhharu vyaktitva ka aaiana he.meri shubhkanye sada aapke saath he.

Regards
Prateek

Punam ji anek dhanyavaad aap ne prashansa ki.

Prateek mitr :
Aap ke sambhaashit bhaavanaon ka men antaraatma se sweekaar karta hun.
Krpya aap bhi kuchh likh kar humen kuchh shiksha pradaan karen.


Keval

S Naami
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:53:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer