::Agar main kal ko bewafaa ho jaaun....::

by nidhi_yadein on April 25, 2006, 05:46:00 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4202 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #15 on: May 10, 2006, 10:39:28 AM »
Reply with quote
Thanxxxxxxxxxxxxxx  all  friendssssssssssss
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zindagi se hath dho jaaun ga main...... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Main Tum Se Juda Ho Jaaun... by Aryaan in Shayri for Dard -e- Judai
**Agar Woh Bewafaa Nikli** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
-----/// Main mohabbat kar jaaun zaraa /// ----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Tabrez khan
Guest
«Reply #16 on: May 10, 2006, 06:15:02 PM »
Reply with quote
Itni bedardi se dil ko mere voh tod degi,
yeh maloom na tha mujhe akela voh chhor degi,
A mere masoom dil tu tanhai se pyar kar le,
Bewafa bhi ab wafa ka saath chhor degi.
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #17 on: May 10, 2006, 06:18:47 PM »
Reply with quote
AISAA SILAA DIYAA HAI TUMNE MERE PYAAR KA,
TUMHE YAAD KARKE DIL DUKHAANAA NAHI CHAHTA,
TUMHE BEWAFAA KEHKAR MEIN,
BEWAFAAII KI TAARIIF KARNAA NAHI CHAAHATA!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #18 on: May 13, 2006, 11:16:45 AM »
Reply with quote
Dono ke darmiyan yeh ajab faasla raha,
wo mere paas hokar bhi mujhse juda raha....
uski judai se aise mere dil par ja lagi,
main apne aapse kai barson tak khafa raha.....
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #19 on: May 14, 2006, 04:54:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
"Agar main kal ko bewafa ho jaaun,to mujhe bewafa na samajhna,
  chahti nahi par kisi aur ki agar ho jaaun to mujhe bewafa na samajhna,

  maine chaha hai tumko poore dil se,apni zindagi maana hai,
  jo kal ko beech raah me chod jaaun to mujhe bewafa na samajhna,

  apne dil se tumhari tasveer kabhi main is janam to mita nahi sakti,
  kisi aur k saath tasveer me bas jaaun to mujhe bewafa na samajhna,

  thi nahi mujhe mohabbat karne ki ijaazat par dil tumpe aa gaya,
  dil ka hai ye kasoor,meri khata kuch nahi,mujhe bewafa na samajhna,

  kar baitha hai dil ye mohabbat tumse utni jitni kisi se kabhi nahi ki,
  jo mujhe tumhara dil kal ko todna pade to mujhe bewafa na samajhna,
 
  baandh ke rakha hai mujhe aaj is duniya aur unke sanskaaron ne,
  tumhare saath baandha daaman khol dun,to mujhe bewafa na samajhna,

  in nazron me mohabbat tumhare liye hai aur hamesha tumhare liye rahegi,
  par agar kal ko tumse nazrein na mila paaun to mujhe bewafa na samajhna,

  dil hi dil mein karti aayi hoon ek arse se main ibaadat sirf tumhari,
  kal ko kisi aur ka haath thaamna pade to mujhe bewafa na samajhna,

  kisi ke bhi saath rahoon main,par mere apne to tum hi ho,
  dil me bune thhe jo khwab,unki haqeeqat to tum hi ho,

  maafi nahi koi mere is gunaah ki,ye main achche se jaanti hoon,
  tumhe akela chod main bhi kahaan jeena chaahti hoon,

  par tumse pehle meri zindagi me ye kuch aise sanskaar aa gaye the,
  aaj unhi me meri zindagi ulajh ke reh gayi hai buri tarah,

  main acha nahi kar rahi ye main jaanti hoon,maanti hoon,
  par kya karoon,mere bass me isse zyada kuch nahi,

  ye mohabbat hamari saath na hoke bhi hamesha saath rahegi,
  hon kisi k bhi saath,dil me zindagi bankar ye dhadakti rahegi,

  shayad isi ko kehte hain kismat,jo oopar wala banaata hai,
  chahte hain jo dil-o-jaan se,wo door jaake fanaa ho jata hai,

  aur jitna maine jaana hai shayad mohabbat bhi isi ko kehte hain,
  zindagi bhar k liye door hoke bhi us insaan ko zindagi kehte hain,

  mujhe gam aaj sirf isi baat ka hai,aur zindagi bhar rahega,
  meri wajah se tumhara dil toota hai,har armaan rootha tha,

  mujhe to aadat hai dard me jeene ki,tumhe kaisi mili ye saja hai,
  wafaaon ke hote huye bhi is rishte me bewafaai ka dard ghula hai."

                                                                                                                                       ~nidhi~
                                       (24-04-06||2:00-2:30pm.)


very nice nidhi!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #20 on: June 06, 2006, 05:49:20 PM »
Reply with quote
thanx tosha,ranjana and Amit Usual Smile .

Very nice Vicky N tabrez .

"Main bewafa to nahi,par aaj zamane k saamne bewafa banna pada,
      mohabbat hai ye,mohabbat ka karz adaa karna hi pada,
      khamosh reh gaya dil sunke bohat kuch aisa jo kabhi kiya hi nahi,
      tumhare liye hi wafa meri,bewafa bhi tumhare liye hi aaj hun bani."
Logged
harshmeet
Guest
«Reply #21 on: June 17, 2006, 06:06:05 PM »
Reply with quote
U R AWESOME......
I WISH SOME DAY I CAN REACH EVEN 1% OF WHAT U WRITE......'KEEP IT GOIN....
WISHES.....
Logged
nikki
Guest
«Reply #22 on: June 17, 2006, 06:13:25 PM »
Reply with quote
superbbbbbb Nidhi....main to yeh soch rahi hun yeh post maine abhi takk kaise nahi padhi  Shocked ...very bad of me..hai na.
bahut bahut acha likha hai...sachiiiii amazing....dil se....very true feelings which everyone cant express....so simple n beautifull as always...etc. etc.. Usual Smile
Logged
krish_jones
Guest
«Reply #23 on: September 05, 2006, 06:53:35 AM »
Reply with quote
hey......nidhi
why r u fooling around i know that wasnt yours..........oops sorry should have told you privately.....neways.........take care bye

Tera naam kya likha saahil ki rait par ........phir umer bhar hawa se meri dushmani rahi.
Logged
krish_jones
Guest
«Reply #24 on: September 05, 2006, 06:56:38 AM »
Reply with quote
khuli rahi aakhein meri marne ke baad bhi,
aadth jo hogayi thi tere intezar ki......!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: September 06, 2006, 01:37:12 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
superbssssssss  Nidhi.........  bahot  kahoob......   inti  badi  ghazal.....  maja  aa gaya.  bahot  dino  baad padhne ko mili........isper ek sher  yaad ayaa.....kuch  is  tarah hai  shayad..... :p

likha hai mera naam samander pe hawa ne...
dono k muqaddar mai sukoon hai na wafa hai....


Bahoot Khoob Nidhi Sis And Waheed Bhai,,
Kamaal ka Likha Hai App Dono Ne,..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #26 on: September 19, 2006, 10:01:27 AM »
Reply with quote
All have written really good...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: September 20, 2006, 10:16:28 AM »
Reply with quote
Shukriya Husena

Logon Ne Meri Mayyat Ro Ro Ke Jab Uthaai,..
Haathon Mein Tune Mehandi Bade Shauk se Lagaai,..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #28 on: October 06, 2006, 06:41:00 PM »
Reply with quote
wonderful   Nidhi.........  plzzzzzz  come  back  :sad:   too  good  Azeem......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: October 07, 2006, 02:02:02 PM »
Reply with quote
Shukriya Pjag.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:30:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer