ASHK....!!!

by SADIQA JAWED on October 30, 2004, 06:53:27 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2142 times)
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #15 on: December 15, 2004, 09:15:50 AM »
Reply with quote
TOO GOOD WAHEED  :D
N THNKX LOVEBITES N POOJA !!!



KUCH DIN SY UDAS HO TUM !!!![/
b]
udaas si lagti ho kuch din sy
kia khaber kon sa ghum tum ko laga hy
woh qalqaly qahqahy sab tamam houy
ya pher !
apna hy koi dard ya apna lia hy
kuch to kahoo! tum udaas kion ho?
mery liy tumara aik aik aansoo
teer banta hy jab tapak jata hy
in khazanoon ka to zia na karoo
youn udaas rah kar tum mujhy to tabah na karoo
apni ruswai ka dar hy to mujh ko janaan teri qasam
tera naam na doun ga zamany ko unwaan ky liy
muger pher bhi !
kuch to kahoo ! tum udaas kion ho ?
tery chehry py yeh sehra ka sakoot
teri aankhoon ki verani ka samaan
lut giya hy tera ya koi bicher giya hy
ky hansty hansty sahim jati ho
apny baaloon ko sajao phool lagao kabhi
tum to aansoun ky tary atkati ho
yeh halat to na thi kal shaam talak lakin ab
kuch to kahoo ! tum udaas kion ho?
main baharoon main chala kai manzalain phooloon ky liy
lakin har qadam py kaanty hi lipat ty pay hain
muger pher bhi
tujh si udaasi nahi chai
na aankh hi purnam houi
na dil sy dhuwaan uthta hy
ab to soocha bhi nahian jata ay dushman-e-jaan
pagal na bano mery dukh ki qasam kuch to kahoo
kuch to kahoo ! tum udaas kion ho
?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ashk by nishita in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
ashk woh bhi giraane lage hai..!!!! by sharma.reema@yahoo.com in Shayri-E-Dard
Ashk Nadaamat Ke by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Ashk.....,, by Dil Shah in Shayri for Khumar -e- Ishq
lovebites
Guest
«Reply #16 on: December 15, 2004, 01:43:47 PM »
Reply with quote
ur welcome Sadiqa-J and bohat khoob choice......................!


Jab Chand Ne
Chandni Se Sargoshiyan Ki...

Jab Phoolon Ne
Shabnum Ko Chooma...

Jab Samandar Ne
Lehron Ko Banhon Mein Samaya...

Jab Sooraj Ne
Kirnon Ko Chaha...

Jab Aankhon Ne
Kuch Adhoore Khwaab Sajaaye...

Tho Mujhe Tum Yaad Aaye
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #17 on: December 17, 2004, 07:07:25 AM »
Reply with quote
THNKX... Usual Smile

Bin erey kya hai jeena...
Bin terey kya hai jeena...

Merey dil ki rahi tu..
mayri khushiyon ka mosam,
mayrey khuabon ki tabeer,
mayrey sapno ki tasveer,
bin terey kesee yaar,
woh jeet ho ya haar,
terey sang hai sab kuch
tu na ho to beykar......

Bin terey kya hai jeena...
Bin terey kya hai jeena...

Teri payal ki chan chan,
teri sanso..n ka sargamm,
teri khushbo teri preeet,
yaad aaein merey meet,
jo tujh per likhey they,
woh sarey mayrey geet,
sari khushiyan, sapney,
mayrey hain terey saaath.....

Bin terey kya hai jeena...
Bin terey kya hai jeena...

Suni, kali raatein,
rukhi pheeki baatein,
her aahat pey chokoo..n,
tujh ko her soo dekhoo..n,
tujh ko her pal sochoo..n,
tujh ko her pal chahoo..n,
terey bin to jeevan mayra hai intizar...

Bin terey kya hai jeena...
Bin terey kya hai jeena...
Tera banna sawarna,
mujhey kehna o sajna,
main kesee lagti hoon,
mujh sey yeh poochna,
galo..n pey haath rakhey,
mayree baaton ko sunna,
teri her adaa..pey aana mujhey pyar..

Bin terey kya hai jeena...
Bin terey kya hai jeena...
Logged
lovebites
Guest
«Reply #18 on: January 01, 2005, 09:03:03 PM »
Reply with quote
Aaj ki raat koi chhat pe nahi so sakta.
Chaand nikla hai ab aram nahi ho sakta

Raat bhar Chaand k humra phiray Meri tarha
Ab koi itna bhi pagal tu nahi ho sakta

Ghairay Rehtay hain shab o roz ye Gham khaar mujhay
Kash mein teri tarha Chhup k kahin roh sakta

Jis ne phoolon ki tarhan zakham diye hain mujh ko,
woh meri rah mein kaante tu nahin bo sakta,

Koi aansoo meri palkain tu bigho sakta hai
Dil pe jo daagh hain in ko tu nahin Dho sakta,

koi din raat ki zangeer mein jakra huwa shaks,
Bhool jaye tujhe , Aisa tu nahi ho sakta
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #19 on: January 06, 2005, 07:54:18 AM »
Reply with quote
kare tanhaeon ka hum safer karta raha hon me
kheyale yar tugh ko motaber kheta raha hon me

karaya sham faraqat ne tarof aik neya is ka
wo aik darya ke jis ko chashame tar kheta raha hon me

wahan bhe log apne kirchean chonte nazar aate aae
jahan ke pathron ko bezarar kheta raha hon me

nazar ke zaweye tabdel kar dete hain kuch chere
wo qatel tha jise jano jegar kheta raha hon me

sila ab or kea mangon irfan apne ebadat ka
ye he mere janat jis ko ghar kheta raha hon me
Logged
lovebites
Guest
«Reply #20 on: January 07, 2005, 03:34:16 AM »
Reply with quote
Nahin Hai Hasil Koi Bhi Keh Yeh Khali Lafzoon Ki Kahani Hai;
Dil Aur Duniya Ki Jang Mein Dil Ki Haar Bahut Purani Hai;

Chaar Din Ki Chandni Hai Chaar Din Ki Raunaq Sari;
Maur Kar Akhir Ko Phir Wohi Tunha Raat Hi Aani Hai;

Abhi Tu Mujh Ko Keh Dene Do Dil Ki Batein Samney Upney;
Kal Ko Yahi Batein Ik Raaz Ki Turhaan Seene Mein Chupani Hein;

Kaiset Wafa Hai Yaad Mein Us Ki Chor Ke Mujh Ko Na Jati Hai;
Mein Hoon Woh Yadein Hein Aur Ankhoon Mein Pani Hai;

Hazaroon Chehroon Mein Hazaar Log Tum Jaisey Bhaye Koi Na Bhaya;
Mere Ehsaas Sirf Tumhare Naam Huey Sirf Tum Sey Meri Zindagani Hai;
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #21 on: January 08, 2005, 10:27:02 AM »
Reply with quote
hhmmmmmmmmm.....khool sgar....wow

"Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab...

Is rangein duniya mein udasi ka sabab...

Is terha toot kay chahne ka sabab...

yun apne dil mein Basane ka sabab...

har lamha us ko sochne ka sabab...

apne naam Se yun jorne ka sabab...

bahoon mein rakhne ki tamana ka sabab...

labon se choone ki tamana ka sabab...

juda ho janay kay dar ka sabab...

kho janay kay dar ka sabab...

bichar janay kay dar ka sabab...

bhool janay kay dar ka sabab...

kia kahoon mein...kia kehta

bas yahi keh saka...Kay

Tum mery ho

Mujhay tum se mohabat hai...
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:11:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer