BaRi Hi Shaaq Thi Dil Par Judaayi

by Ghulam Haider on April 21, 2010, 09:51:00 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1489 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
--------------------------------------------------------------------------------

BaRi Hi Shaaq Thi Dil Par Judaayi.
Mujhe Aksar Tumhari Yaad Aayi.

Zara Sa Door Tha Bhoola Nahin Tha,
Na Ho Payi Yahan Tak Jo Rasaayi.

Mujhe Ihsaas Hai Beete Dinon Ka,
Main Sharminda Hon Khud Se Intihaayi.

Main Qaasir Tha Ye Main Bhi Jaanta Hon,
Magar Kehna Na Is Ko Be Wafaayi.

Na Jaane Kis Taraf Main Jaa Raha Tha,
Yahan Ulfat Tumhari Khench Laayi.

Main Kya Hon Kaun Hon Sab Jaante Hain,
Meri Soorat Se Ho Naa-Aashnaayi.

Nahin Achchha Karon Main Apni Baaten,
Nahin Achchhi Ziyaadah Khud Numaayi.

Bhali Baaten To Bas Haider Wohi Hain,
Ke Jin Se Ho Sake Sab Ki Bhalaayi.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
eak hi shaaq per sabz do gul khile by qadeer in Shayeri for Dard -e- Bewafai
eak hi shaaq per by abdulqadeer in Ghazals
***Mohabat Mein Judaayi*** by AVTAR RAYAT in Share: Poetry of Pain
***Teri Judaayi*** by AVTAR RAYAT in Share: Poetry of Pain
***Teri Judaayi Mein*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 21, 2010, 09:59:09 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Haider Bhai..

Bahut Hi Zabardast Peshkash Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: April 21, 2010, 10:06:58 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Haider Bhai..

Bahut Hi Zabardast Peshkash Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Zarrah Nawaazi Ke Liye Be-Had Mamnoon Hon Aap Ka "Khwaish" Sahib.
Kyonki A'rsa e Diraaz Se Haaziri Na De Saka Is Liye Kisi bhi Pesh-Kash Se Pehle O'zr-Khwahi Munaasib Samajhte Huye Ye Ghazal Pesh Ki Hai.
Nazar e Karam Farmaane Ke Liye Phir Se Aap Ka Shukiya Ada Karta Hon
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: April 21, 2010, 10:40:36 AM »
Reply with quote
Wah wah Haider Sb. bahut khoobsurat,purkashish aur taghazzul se bharpoor ghazal aapne kahi hai. Matle ka sher to lajawab hai. Bahot  shandaar. Marhaba. Apne do ashaar apki nazr kar raha hun:

Mulaqaaton se jab mahroom honge
Hamaare dil bahot maghmoom honge
Kabhi socha na tha aisa bhi hoga
Jo haakim the wahi mahkoom honge



Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: April 21, 2010, 10:47:55 AM »
Reply with quote
haider dost kamaal kar diya hai
is khoobsurat andaaz main dil k zakhmo kii numaish kasam se mazaa aa gaya

riyaaz bhai aapne bhi khoob baat kahii hai

aap dono k saath kucch likh raha hoon pasand aaye toh bande ko daad haazir ho

KABHI JO TU SAMJHEGA MERI MOHABBAT K MAAYNE
TOH JAANEGA YEH ZINDGI KITNI VIRAAN THI
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: April 21, 2010, 10:52:09 AM »
Reply with quote
Bahot khoob Saahil ji, bahot achha likha hai aapne.
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #6 on: April 21, 2010, 11:06:21 AM »
Reply with quote
bahut ache ghulam haider ji...umda likha hai
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: April 21, 2010, 11:24:14 AM »
Reply with quote
Wah wah Haider Sb. bahut khoobsurat,purkashish aur taghazzul se bharpoor ghazal aapne kahi hai. Matle ka sher to lajawab hai. Bahot  shandaar. Marhaba. Apne do ashaar apki nazr kar raha hun:

Mulaqaaton se jab mahroom honge
Hamaare dil bahot maghmoom honge
Kabhi socha na tha aisa bhi hoga
Jo haakim the wahi mahkoom honge




Pasand Karne Ke Liye Aap Ka Tah e Dil Se Shukr Guzaar Hon. Ummeed Hai Ke Isi Tarah Aap Apni Qeemti Aaraa Se Nawaazte Rahnge.
Aap Ne Jo Asha'ar Pesh Kiye Hain hobot hi Dil Nasheen Hain.
Dil Aur Duniya Donon Ki Baat Aap Ne Mukhtasar Se Bayaan Mein Khoobsoorti Aur Pukhtagi Ke Saath Pesh Ki Hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: April 21, 2010, 11:27:10 AM »
Reply with quote
bahut ache ghulam haider ji...umda likha hai
Aap Ki Nawaazish Aur Karam Hai Jo Aap Ne Meri Ghazal Par Apne Haseen Khayalat Ka Ikhtisaar Se Izhaar Farmaya
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: April 21, 2010, 11:33:48 AM »
Reply with quote
Wah wah Haider Sb. bahut khoobsurat,purkashish aur taghazzul se bharpoor ghazal aapne kahi hai. Matle ka sher to lajawab hai. Bahot  shandaar. Marhaba. Apne do ashaar apki nazr kar raha hun:

Mulaqaaton se jab mahroom honge
Hamaare dil bahot maghmoom honge
Kabhi socha na tha aisa bhi hoga
Jo haakim the wahi mahkoom honge




jis Daad O Tahseen Se Aap Ne Is Ma'mooli Si Kaavish ko Nawaza Hai Us Ke Liye Be Had Shukr Guzaar Hon aap Ka. Matla' bohot Hi Dil Nasheen Aur Dil Soz Hai. Saath hi Saath Doosre Misra' Mein Haalaat Ki Haqeeqat Ki Taraf Bohot Hi Lateef Andaaz Mein Isharah Kiya Hai. Aap Ke Donon She'r bohot Pasand Aaye Meri Taraf Se Bohot Si Daad Pesh Hai.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: April 21, 2010, 11:44:19 AM »
Reply with quote
Bahot bahot shukriya Haider Sb. Bila shuba aap bahot behtreen likhte hain. Ummed hai aainda bhi aapni khubsurat takhleeqaat se hamein nawzte rahenge.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: April 21, 2010, 01:49:33 PM »
Reply with quote
Bahut umda peshkash hai Haider Ji
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: April 21, 2010, 02:17:11 PM »
Reply with quote
Bahut umda peshkash hai Haider Ji
Aapki Inayat Ka Shukriya Rajesh Ji
Logged
.aamir
Guest
«Reply #13 on: April 21, 2010, 04:52:50 PM »
Reply with quote
Badi shaandar ghazal sunaai hai Haider ji. Bhot achha likha hai. Congratulations.
--------------------------------------------------------------------------------

BaRi Hi Shaaq Thi Dil Par Judaayi.
Mujhe Aksar Tumhari Yaad Aayi.

Zara Sa Door Tha Bhoola Nahin Tha,
Na Ho Payi Yahan Tak Jo Rasaayi.

Mujhe Ihsaas Hai Beete Dinon Ka,
Main Sharminda Hon Khud Se Intihaayi.

Main Qaasir Tha Ye Main Bhi Jaanta Hon,
Magar Kehna Na Is Ko Be Wafaayi.

Na Jaane Kis Taraf Main Jaa Raha Tha,
Yahan Ulfat Tumhari Khench Laayi.

Main Kya Hon Kaun Hon Sab Jaante Hain,
Meri Soorat Se Ho Naa-Aashnaayi.

Nahin Achchha Karon Main Apni Baaten,
Nahin Achchhi Ziyaadah Khud Numaayi.

Bhali Baaten To Bas Haider Wohi Hain,
Ke Jin Se Ho Sake Sab Ki Bhalaayi.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: April 21, 2010, 08:01:42 PM »
Reply with quote
Bahut Hi Umda Peshkash Hai Haider Ji
Aagaz Se Lekar Anjam Tak Behtareen Ashaar Rahe
Bahut Hi Khoobsurat Ghazal.....Mubaraq Ho
Yun Hi Mehfil Ki Raunaq Afzaii Karte Rahiyega

Aur Riyza Bhai Aapne Bhi Bahut Khub Farmaya


Khush Rahiye...


~Shihab~

Be Had Shukr Guzaar Hon Aap Ka. Aapne Meri Ghazal Ko Itni Dil Chaspi Se PaRha.Ummeed Rakhiye Aage Bhi Isi Tarah ke Aur Is Se Bhi Behtar Asha'ar PaRhne Ko Milte Rahenge.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 03:18:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.239 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer