Beeti Raat (Shikha)

by Shikha12 on March 02, 2006, 06:32:24 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5538 times)
Shikha12
Guest
Reply with quote
Zindagi kyon mujhey us raah par le jaa rahi hai,
jis raah par beeti raat ki khushboo aati hai,
yeh do-raha kyon mujhey apney sang kaat raha hai,
mera dil kahin toh meri jaan kahin jaati hai......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ek jeans ki aap beeti !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! by Arifa in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Raat ka Deepak (Shikha) by Shikha12 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
~Aaj ki Raat... ~ (Shikha) by Shikha12 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
RAAT BEETI NEEND KYON AAYEE NAHIN - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Ghazals « 1 2 3  All »
Raat beeti karwatoN meN ...........................MKV by mkv in Ghazals « 1 2 3  All »
shail_shayar
Guest
«Reply #1 on: March 04, 2006, 03:07:18 AM »
Reply with quote
Achhi shayari likhi hai aapne, dil ko hamare chhu gayi. Kuch hum bhi arz karna chahte hai, shayad aapko pasand aaye.

Uske aane ke pehle akele thhe hum,
Uske jane ke baad bhi akele reh gaye hum,
Kaash woh hamari zindagi mein na aate,
Hamari mahabbat ko bewafai bhara tofa na de jaate!!!

Uski bewafai ke sahare toh jee bhi lenge,
Lekin is pagal dil ko samzayenge kese,
Yeh toh ab bhi usiko chahta hai,
ab bhi usise wafa ki ummid kiye ja raha hai.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: March 04, 2006, 10:09:22 AM »
Reply with quote
Thanks  a lot shail_shayar ji.... and this is for u:

Umeed-e-wafa ko yu seeney sey lagaye rakha,
Chirag-e'-pyar ko humney ta-umar jalaye rakha,
mehsoos to hui unhey humari aakhon main nami,
hastey hue hamney magar nazron ko jukaye rakha.
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: March 07, 2006, 12:52:57 PM »
Reply with quote
good shikha and shali very nice  and welcme to YOINDIA.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #4 on: March 24, 2006, 09:18:56 AM »
Reply with quote
wah! shikha ji.........

USNE SHADI KA JODA PAHAN KAR SIRF CHOOMA THA MERE KAFAN KO,
BAS USI DIN SE JANNAT KI HOOREN MUJHE DULAH BANAYE HUE HAIN..........
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: March 27, 2006, 02:49:54 PM »
Reply with quote
kya baat hai..... very nice vicky akela ji and shukriya.....

usney muh pher liya dekh kar mera aana jaana apni galiyon mein.....
nazren chura li aisey, ki daag lage na kahin sehre ki kaliyon mein
Logged
nikki
Guest
«Reply #6 on: March 27, 2006, 02:52:32 PM »
Reply with quote
too gud both of u...Shika n Shail
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #7 on: April 01, 2006, 10:52:51 AM »
Reply with quote
bahut khoob


sab tez hai

ek se badhkar ek
Logged
jatin1101
Guest
«Reply #8 on: April 08, 2006, 05:55:48 AM »
Reply with quote
khoob likha shikha..... bahut hi achha...

baat naa karo beeti raat ki, ab to nayi subah aaney do...
kal raat to bahut tanhai thi, aaj to julfon ki panah paney do.
Logged
sweety pie
Guest
«Reply #9 on: April 08, 2006, 12:21:54 PM »
Reply with quote
really good shika n the rest of u!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: April 10, 2006, 12:26:21 PM »
Reply with quote
Thanks Jatin and Sweety Pie...

Jatin Buddy this is for u:

Tanhai aadat hai hamari, yeh yaaden saathi hai..
jab tum nahin hoty ho paas, tab yehi to aati hai..
tum to aatey ho do ghadi ko, aur chaley jatey ho,
dil rota hai jab mera, yeh hi usey behlaati hai...
Logged
jatin1101
Guest
«Reply #11 on: April 20, 2006, 05:10:33 AM »
Reply with quote
arey bahut bahut sukriya shikha... takaluuf ki kya jarurat thi.. lekin ek baat to hai, aap likhti bahut achha hai, bilcul aisey jaisey kisi ney aasan shabdon main dil ki baat keh di ho... keep it going as always :D

kyon ghirey rehto ho yaadon main sada,  sad5
kyon humsey nahin kartey ho koi baat,  :?:
hum gamo ko khusiyon main badal dengey, :idea:
bus lazmi hai iskey wastey fakat ek mulakat... :D
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 20, 2006, 07:56:57 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Likha Hai Doston,..

Hoti Hai Aaj Bhi Mujhe Is Baat Se Hairaani,..
Jisne Mujhe Basaya Tha Dil Mein,..
Wo Laga Hai Mitaane Pyaar Ki Nishaani,..
Jaane Kya Khata Hui Mujhse Ye Maine Na Jaani,..
Us Se Dil Laga Baitha Jisne Mohabbat Ko Na Jani,..

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #13 on: May 19, 2006, 05:40:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "JATIN1101"
arey bahut bahut sukriya shikha... takaluuf ki kya jarurat thi.. lekin ek baat to hai, aap likhti bahut achha hai, bilcul aisey jaisey kisi ney aasan shabdon main dil ki baat keh di ho... keep it going as always  

kyon ghirey rehto ho yaadon main sada,  
kyon humsey nahin kartey ho koi baat,  
hum gamo ko khusiyon main badal dengey,  
bus lazmi hai iskey wastey fakat ek mulakat...


 Puzzled ! THANKS JATIN.... FOR THE WONDERFUL OFFER.... Usual Smile

EK MULAKAT BHI HOGI, AUR PHIR BAAT BHI HOGI,
SADA GHIRI REHTI HAI TANHAIYO SEY,
KABHI TO KHUSHNUMA YEH RAAT BHI HOGI...
AAJ RONEY DO GHADI BHAR MUJHEY APNEY LIYE,
KAL TUMHAREY LIYE HANSI KI SAUGAAT BHI HOGI...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #14 on: May 19, 2006, 05:51:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Bahoot Khoob Likha Hai Doston,..

Hoti Hai Aaj Bhi Mujhe Is Baat Se Hairaani,..
Jisne Mujhe Basaya Tha Dil Mein,..
Wo Laga Hai Mitaane Pyaar Ki Nishaani,..
Jaane Kya Khata Hui Mujhse Ye Maine Na Jaani,..
Us Se Dil Laga Baitha Jisne Mohabbat Ko Na Jani,..


VERY TOUCHING.....

kyon dil todtey hai log, kyon mita dete hai pyar ki nishaaniya..
kyon rulatey hai kisi ko, kyon detey hai kisi ko ruswaiyaa...
yeh such hai duniya main, har cheez ka ek waqt hota hai,
mit jaata hai har zakhm ek din, har ghav bhi bhar jaata hai..
lekin nahin mit ti is dil sey pehley pyar ki purchaiiyaa....
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:58:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer