bewafa naam na de

by nikki on June 12, 2007, 06:37:06 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3521 times)
nikki
Guest
Reply with quote
mujhe galat samajhne vale
kabhi meri haalat ka bhi andaza laga le
na hasti hun na roti hun
har baat pe bass khaamosh si rehti hun

na thi galti apni, na hi koi kasoor
fir bhi duniya ne humein gunegaar samjha
saja di humein aur nibhaya apna dastoor

yun to hum duniya ka har sitam seh lenge
magar koi humein bewafa ka naam na de
maut ki saza manzoor hai
magar koi dhokhebaazi ka ilzaam na de

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bewafa by attractive_person in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
meth lo us bewafa ka naam by syedahmed in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafa ko bewafa hi kahenge by sabreena in Shayeri for Dard -e- Bewafai
bewafa naam de gaye by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafa ka naam dene lage hain...SOUDAGAR by soudagar in Shayri-E-Dard
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: June 12, 2007, 09:25:12 PM »
Reply with quote
Niks

Bahut sahi farmaya hai aap ne !
Logged
thycreator
Guest
«Reply #2 on: June 15, 2007, 07:02:40 PM »
Reply with quote
Very nice one Nikki.........

Jab pyar kiya hai toh phir anjaam se kya darna,
Chahe lagaye jo bhi dunia, ilzaam se kya darna,
Jab kar hi li muhabbat toh shart phir ye kaisi,
Ab jo bhi ho haasil iska, inaam se kya darna...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: June 18, 2007, 01:55:23 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Nikki,..
And Creator,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: June 18, 2007, 01:57:24 PM »
Reply with quote
Bewafa Kehkar Mujhe Yun Badnaam Na Kar,...
Tujhe Kya Khabar Ke Kis Tarah Humne Bhi Wafaa Nibhaai Hai,..

_________________________________________--Jaanasheen--
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: June 21, 2007, 04:35:00 PM »
Reply with quote
thank u so much Rajbir, Thy n Jaanasheen G...n too good Thy n Jaanasheen G...

dil to pehle se hi duniya ki bheed mein hai kahin khoya
magar na jaane seene mein kya hai
jo aaj jee bhar ke hai roya

aankhein bhi num hain
aur chehre pe bhi udasi chayi hai
usse bewafa kahun to kaise kahun
jiski aaj mujhe bahut yaad aayi hai

ek wahi to hai jo dil-o-dimaag pe chaya hua hai
main bhi achi bhali hua karti thi
magar uski yaadon ne mujhe diwana banaya hua hai

khud to bhool gaya hai mujhe
magar mujhe aaj bhi uski yaad ne sataya hua hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: June 21, 2007, 04:54:14 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai nikki.. good one!

Bewafa ko meri wafa ne ajj phir batlaya hai
Hai pyar tujhi se, kyun is per tu itna itraya hai
Nahi rahi jab main, kyun phir ashaq teri ankh mai lahraya hai
Sisak kar ji yah zindagi, meri zindagi ko bhi ek lash tune hi banaya hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #7 on: June 23, 2007, 10:48:34 AM »
Reply with quote
wah yaar..........

Mehfil hai zami yahan toh fasane sunaye gaye,
Apne mehboob ki bewafai ke kisse bataye gaye,
Sabhi wafa ke kayal hai yahan phir bhi jane kyu,
Bewafai ke hi saare yahan parcham lehraye gaye...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: June 28, 2007, 05:00:22 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Majid ji................

Jindagi ko ashkon mein dubone ko dil karta hai,
Aaj na jaane kyu bahut hi rone ko dil karta hai...
Barsaat ka mausam hai aur uss bewafa ki yad,
Iss barish mein bhi daman bhingone ko dil karta hai..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #9 on: June 29, 2007, 06:08:03 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Nikki.... Bilcul Sahi kaha...

Pooja di, Azeem, Amit... Sabhi achha likhne wale hai... Sab ne ek se badh kar ek likha hai...
It was really nice reading you all in one thread... Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: June 29, 2007, 05:41:37 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Shikha ji.......

Kabhi socha na tha wahi jindagi mein makaam aaya,
Mere hothon par phir se uss bewafa ka naam aaya,
Hui muddat, humne socha ki yadein dafan ho gayi,
Jane kyu waqt ka marham bhi na yahan kaam aaya...
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: July 01, 2007, 05:24:05 PM »
Reply with quote
Thanx a lot Shikha sis..aapne contribute nahi kiya???
Very nice Thy...

Kissi ke dil ka dard mujhe jala dalega
main bewafa to nahi magar ..woh mujhe bana dalega

kab wafa na nibhayi maine bataye to zara
har baat pe shiqva, har baat pe gila

yeh kaisa daur hai shiqayaton ka uski
yeh to kambakht mujhe maar dalega
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: July 03, 2007, 05:31:00 PM »
Reply with quote
Wah wah Nikki....bahut acche.....Usual Smile

Keh hi dete jo bat dil mein reh gayi,
Humne toh tumhe ek bar nahi roka,
Pyar hi diya jab bhi mere rubru hue,
Phir kyu mila mujhe tumse ye dhoka...sad5
Logged
nikki
Guest
«Reply #13 on: July 03, 2007, 05:50:47 PM »
Reply with quote
thanx n very nice THY

arree dhokhebaaz hum nahi
hamare halaat humein majboor karte hain

humne to kabhi dil lagaya hi nahi
aap kya baat karte hain
Logged
nikki
Guest
«Reply #14 on: July 03, 2007, 06:02:00 PM »
Reply with quote
na jaane kyun aaj aapki baaton se
dil udaas ho gaya hai
aakhein num hain
aur jo humne nahi ki uss galti ka bhi ehsaas ho gaya hai

chaliye hum aapki rah ke pathar sahi
magar thokar nahi lagayenge

chup chaap rah mein pade rahenge
aur ek din fana ho jayenge
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 01:54:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer