bewafa naam na de

by nikki on June 12, 2007, 06:37:06 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3510 times)
thycreator
Guest
«Reply #15 on: July 04, 2007, 04:40:39 PM »
Reply with quote
wah wah kya bat hai nikki..........

Dost banke raho mere, kabhi chod ke na jaana,
Tumhe apna mana hai, tum paraya na banana,
Badi mushkil se dunai mein wafa karne wale mile,
Tum dil tod kar mera, khud bewafa na kehlaana...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bewafa by attractive_person in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
meth lo us bewafa ka naam by syedahmed in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafa ko bewafa hi kahenge by sabreena in Shayeri for Dard -e- Bewafai
bewafa naam de gaye by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafa ka naam dene lage hain...SOUDAGAR by soudagar in Shayri-E-Dard
nikki
Guest
«Reply #16 on: July 04, 2007, 05:34:07 PM »
Reply with quote
thanx u n very nice again...abhi kuch reply mein likhti hun..kuch kha ke aati hun pehle..very hungry.. :wink:
Logged
thycreator
Guest
«Reply #17 on: July 04, 2007, 05:54:37 PM »
Reply with quote
ha ha ha.........kitna khati ho

Mera ye dil ab bhi tere dar ka hi baashinda hai,
Wo beete lamhe, wo pal, wo muhabbat ab bhi jinda hai,
Kaise keh du main jahan ko ki tu jindagi thi kabhi meri,
Teri bewafai par khud se hum sharminda hai..
Logged
nikki
Guest
«Reply #18 on: July 05, 2007, 06:53:14 PM »
Reply with quote
uff bhookh lagi thi to khaana hi tha....waise main jiyada nahi khaati

fir se bewafayi ka ilzaam aaya
shukr hai kissi vajah se hi sahi
uske labon pe mera naam to aaya

main khud ki haalat bayan to nahi kar sakti
magar jab bhi paaya maine khud to duniya ki bheed mein tanha hi paaya

chaliye hum bewafa hi sahi
magar seene mein dil hum bhi rakhte hain
woh aaye ya na aaye
rah to aaj bhi hum takte hain
Logged
Roja
Guest
«Reply #19 on: July 24, 2007, 02:14:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
Thanx a lot Shikha sis..aapne contribute nahi kiya???
Very nice Thy...

Kissi ke dil ka dard mujhe jala dalega
main bewafa to nahi magar ..woh mujhe bana dalega

kab wafa na nibhayi maine bataye to zara
har baat pe shiqva, har baat pe gila

yeh kaisa daur hai shiqayaton ka uski
yeh to kambakht mujhe maar dalega


Wah... kya bath hai.. bahut khoob Nikki. Daad Hazir hai.
Logged
Roja
Guest
«Reply #20 on: July 24, 2007, 02:14:53 AM »
Reply with quote
Chahte ho toh todo ye rishta magar
Bewafayee ka Ilzaam na do mujhe..!!
[/color]
Logged
monali
Guest
«Reply #21 on: July 25, 2007, 02:48:15 PM »
Reply with quote
Nice one Roja, keep the spirit.

      Jindagi mein to sabhi pyar kiya karte hai!
         Mai to markar bhi meri jaan tujhe chahunga!!
[/color][/b]
Logged
Roja
Guest
«Reply #22 on: July 29, 2007, 11:16:04 AM »
Reply with quote
waaah kya bath hai Mona...

Kuch roj yeh bhi rang raha intezar ka
Aankh ut gayee jidar, bas udhar dekhte rahe..!!
[/color]
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: August 01, 2007, 01:30:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
mujhe galat samajhne vale
kabhi meri haalat ka bhi andaza laga le
na hasti hun na roti hun
har baat pe bass khaamosh si rehti hun

na thi galti apni, na hi koi kasoor
fir bhi duniya ne humein gunegaar samjha
saja di humein aur nibhaya apna dastoor

yun to hum duniya ka har sitam seh lenge
magar koi humein bewafa ka naam na de
maut ki saza manzoor hai
magar koi dhokhebaazi ka ilzaam na de


Good One Nikki...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #24 on: August 02, 2007, 02:17:56 PM »
Reply with quote
Very  Nice Nikki, Amit, Roja and Monali...

Quote from: "nikki"
Thanx a lot Shikha sis..aapne contribute nahi kiya???
Very nice Thy...

Kissi ke dil ka dard mujhe jala dalega
main bewafa to nahi magar ..woh mujhe bana dalega

kab wafa na nibhayi maine bataye to zara
har baat pe shiqva, har baat pe gila

yeh kaisa daur hai shiqayaton ka uski
yeh to kambakht mujhe maar dalega


Aapki Shikayat duur kar dete Hai Nikki...


Tumhe khuda bana ke khata humne Ki,
Wafa ki umeed laga ke khata humne ki...

Aaj guroor hai tumhe Dil ko jeet lene ka,
Bhool gaye Dil mein jagah toh humne di..

Jaane kis kis ke ghar jalaate tere ilzaam,
Hans kar teri sab tohmatein utha humne li...
Logged
sanya310
Guest
«Reply #25 on: August 03, 2007, 09:31:33 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
mujhe galat samajhne vale
kabhi meri haalat ka bhi andaza laga le
na hasti hun na roti hun
har baat pe bass khaamosh si rehti hun

na thi galti apni, na hi koi kasoor
fir bhi duniya ne humein gunegaar samjha
saja di humein aur nibhaya apna dastoor

yun to hum duniya ka har sitam seh lenge
magar koi humein bewafa ka naam na de
maut ki saza manzoor hai
magar koi dhokhebaazi ka ilzaam na de



bohot ache nikki sis.. kidhar ho ajkal.. keep writing..
Logged
nikki
Guest
«Reply #26 on: August 11, 2007, 12:44:59 PM »
Reply with quote
thank u so much Roja, Aryaan, Shikha sis n Sanya dear..

shikha sis shikayat ekdum door ho gayi..too good reply.
 Roja ji aapne bhi bahut hi payare jawaab diye hain...likhti rahiyega

humne to bahut manaya aur samjhaya magar woh nahi maane
har baat ansuni kar di aur samajhne ki koshish takk nahi ki
ismein hamara kya kasoor hai jo hum dokha kar nahi sakte
aur unki har baat par shayad khare uttar nahi sakte
yeh to woh khud hi soch lein ki hum ache hain ya bure
abb yeh faisla to hum khud-b-khud kar nahi sakte
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: August 11, 2007, 03:47:36 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Nikki Usual Smile

Nice ones Shikha, Roja, Monali !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #28 on: August 13, 2007, 09:53:47 AM »
Reply with quote
thank u so much Talat sis..how r u?
aapne kuch nahi likha..ek shikayat fir se darz ki jaye...hehe

har baat bigadne ka ilzaam na de
kuch to acha hoga iss baat ki umeed to bandhao
meri khushi mein to shamil hote hi ho
kabhi mere gum mein bhi shareekh ho jao
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: August 14, 2007, 01:45:37 PM »
Reply with quote
Nikki and Amit...very very nice poetic conversation Usual Smile

Pooja and Azeem, good ones from you Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:28:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer