bikhre armaanoN ka mera AASHIYAANAH...!!

by ghayal_shayar on July 02, 2010, 11:19:38 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1086 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Na samjhi hui mujhse, jo ki chaahat tujhe pane ki,, bikhre armaaN bane vajah ladkhadaane ki,, zar-zar badan aur dabdabati aaNkhoN ke mile tohfe hume,, jo ki khataa humne apna dil aazmaane ki,, Humne sajda kiya mehboob ko har lamha,, par ye nahiN reet is bedard zamaane ki,, mohabbat ko batora saari zindagi maine,, kya tha maloom ki ye nahiN daulat kamaane ki,, na bataana apna gham kisi ko kabhi,, sazaa milti hai yahaaN zakhm dikhaane ki…………………………..

Haan sach nasamjhi hui mujhse jo ki chahat tujhe pane ki……………………….



Andaaz-e-aashiqui meri shairaanaah,
Bikhre armanoN ka mera aashiyaanah.

Jeest se na kar sake, jeene ka bahaanah,
Jo na aaya hume yuN baateN banaanah.

Guzargah-e-armaan-o-hasrat raha dil,
Laga raha mehmanoN ka aana jaanah.

NazreN milane ko kehte rahe vo humse,
Jo utthi nazar to tehraaya muzrimaanah.

Na aaya kabhi dil se muskurana, par seekha,
Chilman-e-tabassum me gum ko chipaanah.

Subah-o-shaam badalti haiN unki chaahateN,
Ye kaisi hai uljhan aur ye kaisa zamaanah.

Jo pucha humne unse mohabbat ki nishaani,
Hume mila apne hi dil ke tukdoN ka nazraanah.

Kar diya bazm-e-mehfil ne hume “ghayal”,
Kaha iski mohabbat, dikhti hai kafiraanah.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
BiKhre tukde. by Raj in Shayri-E-Dard
Bikhre ashq by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Armaanon bhara dil... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
bikhre bikhre se kyun by saahill in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
BIKHRE BIKHRE SE ARMAAN by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #1 on: July 02, 2010, 12:46:38 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Ghayal saheb dil se daad kabool kare apni is peshkash ke liye.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: October 29, 2012, 01:52:15 AM »
Reply with quote
sajid miyaaN hausla afzaayi ke liye shukriya, bas yuNhi saath nibhaate raheN...
Logged
suman59
Guest
«Reply #3 on: October 29, 2012, 02:23:01 AM »
Reply with quote
Na samjhi hui mujhse, jo ki chaahat tujhe pane ki,, bikhre armaaN bane vajah ladkhadaane ki,, zar-zar badan aur dabdabati aaNkhoN ke mile tohfe hume,, jo ki khataa humne apna dil aazmaane ki,, Humne sajda kiya mehboob ko har lamha,, par ye nahiN reet is bedard zamaane ki,, mohabbat ko batora saari zindagi maine,, kya tha maloom ki ye nahiN daulat kamaane ki,, na bataana apna gham kisi ko kabhi,, sazaa milti hai yahaaN zakhm dikhaane ki…………………………..

Haan sach nasamjhi hui mujhse jo ki chahat tujhe pane ki……………………….



Andaaz-e-aashiqui meri shairaanaah,
Bikhre armanoN ka mera aashiyaanah.

Jeest se na kar sake, jeene ka bahaanah,
Jo na aaya hume yuN baateN banaanah.

Guzargah-e-armaan-o-hasrat raha dil,
Laga raha mehmanoN ka aana jaanah.

NazreN milane ko kehte rahe vo humse,
Jo utthi nazar to tehraaya muzrimaanah.

Na aaya kabhi dil se muskurana, par seekha,
Chilman-e-tabassum me gum ko chipaanah.

Subah-o-shaam badalti haiN unki chaahateN,
Ye kaisi hai uljhan aur ye kaisa zamaanah.

Jo pucha humne unse mohabbat ki nishaani,
Hume mila apne hi dil ke tukdoN ka nazraanah.

Kar diya bazm-e-mehfil ne hume “ghayal”,
Kaha iski mohabbat, dikhti hai kafiraanah.


damdhar peshkash  Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: October 29, 2012, 03:31:48 AM »
Reply with quote
ek baar fir se aapka shukriya sunita ji... aapka aabhaari hun maiN...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:26:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer