Can anybody answer this poem in the form of another poem?

by diya_barsat on May 07, 2007, 12:46:43 AM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 11460 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #15 on: June 06, 2007, 08:38:49 AM »
Reply with quote
Bahoot Accha Likha Hai Sab Doston Ne,..
Hum Bhi Kuch Likhne Ki Koshish Karenge..
Hope U all Will Like It,..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
POEM by main_aisa_hi_hoon in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Can anybody answer this poem in the form of another poem? by diya_barsat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
poem by seema muntezir in Miscellaneous Shayri
Poem k Font size,colour,style of title se imp Poem ka content hota hai by @kaash in Chit - Chat & General Discussion
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: June 06, 2007, 08:46:11 AM »
Reply with quote
Quote from: "diya_barsat"
This is poem someone sent me and I want to answer him with a poem can anyone help me out please?

Koi kuch bhi na kahey to pata kya hai
Is bechain khamoshi ki wajah kya hai
Unhain ja key koi kahy hum lay lenge zehar bhi
Woh sirf yeh to bata dein meri khata kya hai


Khata Na Meri Poocho Ke Main Gunahgaar Hoon,..
Jis Se Na Koi Le Saka Sahaara Kabhi Wo Lachaar Hoon,..

Aaj Jab De Raha Hai Zehar Koi To Kyun Na Kabool Karoon,..
Jise Na Mili Kabhi Mohabbat Ki Dawaa Aisa Main Ek Beemaar Hoon,..

__________________________________________-Jaanasheen-

Shayad ye Aapke Jawaab Mein De Sake Aisi Shayari To Nahi,..
Magar Jo Alfaaz Aapki Shayari Mein the Unhi Ko Jordkar Kuch Likh Diya,..

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #17 on: August 27, 2008, 10:18:24 AM »
Reply with quote
ye katha hamse huyi tumhara koi dosh nahi
kya kare dil ki baat juba pe jo aati nahi..
khud jal sakte ham tumhare khushi ke liye
tumhe yun tarapte hum dekh sakte nahi...

sorry agar kisi ko pasand nahi aayi to pls be jijhak bata dena...

Kya baat Hai Punam..?
" Purana Kalaam " Bilkool Tar-o-Taaza Lagaa Muze
Aur Sub ko Ye Pasand aaya Hoga
Badhiya Lines
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #18 on: August 27, 2008, 10:29:14 AM »
Reply with quote

Khata Na Meri Poocho Ke Main Gunahgaar Hoon,..
Jis Se Na Koi Le Saka Sahaara Kabhi Wo Lachaar Hoon,..

Aaj Jab De Raha Hai Zehar Koi To Kyun Na Kabool Karoon,..
Jise Na Mili Kabhi Mohabbat Ki Dawaa Aisa Main Ek Beemaar Hoon,..

__________________________________________-Jaanasheen-
Shayad ye Aapke Jawaab Mein De Sake Aisi Shayari To Nahi,..
Magar Jo Alfaaz Aapki Shayari Mein the Unhi Ko Jordkar Kuch Likh Diya,..


Kya bhai aap To Pahele Se Hi Shayri Maidaan Mar Liye Ho
Aur aaj To Behtar Se Behtarin Kalaam Likh Rahe Ho

Jee bhai Azeem
" Punam " K kuch kalaam ko Padh raha tha ki aap ke kalaam se Roo-b-Roo Hua
badhiya Hai ash'aar
 
Logged
Roja
Guest
«Reply #19 on: August 27, 2008, 10:34:14 AM »
Reply with quote
Nice start Diya_barsat and good reply Punam, Netra, Jaanasheen ji.
Sabne bahut hi accha saat diya hai. Keep up  Thumbs UP
Logged
chandulovs
Guest
«Reply #20 on: November 29, 2008, 03:06:58 PM »
Reply with quote
safar LAMBAA tha
ek YAAR chahiye tha
MUDDATON se dil ko karaar chahiye tha

mila ek din wo mujhkoo,
jise meri tarah PYAR chahiye tha
uski DIL K raajniti me,sirf mera
hi BASERAA HO,
aisa ZINDAGI  chalaane wala
SARKAAR chahiye tha

HUSN k ISHQ ki rushwayiyon
se amehroom the HUM
hame bas sacha DILDAR
chaihye tha

DAGA ,FAREB se bhari thi
uski MEHFIL
use to bas ek JHOOTHA
TALABGAAR chahiye tha

THOOKAR maar k usne THAAMA
DAAMAN kisi aur ka
mujhe kya pata use
kaisa IKRAAR chahiye tha

AB poochtaa HAI KHUD
WAJOOD mera mujhse
kya sach me karna
KISI KA intezaar chahiye tha

chandu
Logged
chandulovs
Guest
«Reply #21 on: November 29, 2008, 03:09:40 PM »
Reply with quote
Haal-e-dil main ne jo duniyaa ko sunanaa chaahaa
mujh ko har shaKhs ne dil apanaa dikhaanaa chaahaa
apanii tasviir banaane ke liye is duniyaa me
mainne har rang pe ik rang charhaanaa chaaha

APNE DIL KO DUNIYA K SAMNE RAKH DIYA-
 to laakh duniyaa ne nigaahon se giraanaa chaahaa
sholao tufan se gulashan ko bachaane ke liye
maine har aag ko siine main chhupaanaa chaahaa

apanii galtiyo ko chhupaane ke liye duniyaa main
main ne har shaKhs pe ilzaam lagaanaa chaahaa
Gairat-e-mauj use phenk gai saahil par
Duubane vaale ne jab shor machaanaa chaahaa

kash k maut ab aajati,unki mohabbat me mujhe
mera chor,ghar jab kisi aur ka usne bassana chaha,
jab gaye maut ko gale lagane hum tanha hokar,
to us zaalim ne,faansi dene se v THUUKRANA chaha,
CHANDU
Logged
chandulovs
Guest
«Reply #22 on: November 29, 2008, 03:10:57 PM »
Reply with quote
AJEEB LADKAA hoon khud ko jalaana
chahata hoon main ,
khud ko kahi rakh ker bhool jana chahata hoon main ,
mere naseeb ki khushiyan v kab milli mujko ,
bas bahut hua,ek baar umer bhar ke aansu bahana
chahata hoon main ,

najane kitni mohabbat hai ranj-o-gham se mujhe ,
koi bhi dard ho dil me chupana
chahata hoon main ,
baha - baha ke aansu bikher chuka hoon bahut ,
simat ke zara ab muskurana
chahata hoon main ,

jise ek umer dil me chupa ke rakha hai
wo raaz aaj sab ko batana
chahata hoon main ,
wahi hai yaad jo acha kaha hai logo ne
baki sab bhool jana
chahata hoon main ,

mujhe zamane ne pather samaz liya hai magar
main ek ladka hoon sab ko batana
chahata hoon main .
mujse se jo rooth chuki hain zamane ki khushiyan
to un khushiyon se bhi ab rooth jana
chahata hoon main……

chandu d guy
Logged
chandulovs
Guest
«Reply #23 on: November 29, 2008, 03:11:43 PM »
Reply with quote
us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain,
To Khayalo Me Bohat Door Nikal Jate Hain,

Gar Wafaon Me Sadaakat Bhi Ho Shiddat Bhi Ho,
Phir To Ehsaas Se Patthar Bhi Pighal Jate Hain,
Us Ki Ankhon Ke Nashe Me Hun Jab Se Dooba,
Ladkhadate Hain Kadam Aur Sambhal Jate Hain,

Bewafai Ka Mujhe Jab Bhi Khayal Aate Hai,
Ashq Rukhsar Pe Aankhon Se Phisal Jate Hain,
Pyar Me Ek Hi Mausam Hai Baharon Ka “chandu”,
Na Jaane Log Mausam Ki Tarah Kaise Badal Jate Hain...!!!!!!!!
Logged
chandulovs
Guest
«Reply #24 on: November 29, 2008, 03:14:08 PM »
Reply with quote
PAa ke dagaa aur fareb zamane me reh gaye

Hum dosti ka farz nibhaane me reh gaye

Palak jhapkte duniya humse aage nikal gayi

Hum dosto se haath milaane me reh gaye

Dekhte dekhte ho gaya wo aur kisi ka, aur

Hum apne dil ko samjhane me reh gaye,

Duniya apni ujaad li unko paane ki chah me

Aur woh apna ghar basaane me reh gaye,

Hamare saare rishte unse shuru unpe khatam

Wo hamari dosti ko aazmane me reh gaye

Chhor diya unko unki khusi ki khatir dosto

Hum phir gumnaam veeraane me reh gaye

sab shyaro ko chandu ka salaam
Logged
chandulovs
Guest
«Reply #25 on: November 29, 2008, 03:15:39 PM »
Reply with quote
Manzilain bhi uski thi,
Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha,Kafila bhi uska tha..
Sath-Sath chalne ki soch bhi uski thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha…
Aaj kyun akela hoon,Dil sawal karta hai,
Log to uske the,Kya KHUDA bhi uska tha….?

Chiraghon ki roshni jab zara hili,
Laga tumhari ek aahat si mili,
Jaake dekha jab dar pe,
To phir wahi kafir hawa mili..
duniya to hansti thi,Kya wo v humpe hanstaa tha?

Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai.
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai.
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se.
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai.
K soch raha hu Aaj,Kya sach me wo humpe martaa tha?
Logged
chandulovs
Guest
«Reply #26 on: November 29, 2008, 03:16:54 PM »
Reply with quote
WOH MERA THA YEH BATANA AJEEB LAGTA HAI
AB US SE AANKH MILANA AJEEB LAGTA HAI ...
JO ZINDAGI MAI KABHI BHI MERA HO NA PAYA
AB US KA KHWAAB MAI AANA AJEEB LAGTA HAI ..
THA JIS KA HAATH HAMESHA HAMARAY HAATHOO MAI
AB US SE HAATH MILANA AJEEB LAGTA HAI
 
ur frend chadu
Logged
chandulovs
Guest
«Reply #27 on: November 29, 2008, 03:17:40 PM »
Reply with quote
YUN TO SAATH DENE KO HAZAARO HAATH AUR HAI,
TUM JO SAATH MEIN RAHO TUMHARI BAAT AUR HAI,

CHAND AANSU KYA GIRE KE JINDAGI BHIGO GAYE,
DIL KI DHOOL KYA UDI KE RAASTE HI KHO GAYE,

JAISE CHAAND KO SADA NIHARTA CHAKOR HAI
TUM JO SAATH MEIN RAHO THUMARI BAAT AUR HAI,

SHAAKH PAR TO PHOOL BAHUT EK BHI KHILA NAHI,
MUJHKO MERE IS NASEEB PAR KOI GELA NAHI,

SWAPN MUJH KO AATE NA HO AISA SILSILA NAHI,
SWAPN MEIN TO SAB MILE KINTU WOH MILA NAHI,

MERE MAAN KE SHANTEE ME CHARO OR SHOR HE,
TUM JO SAATH MEIN RAHO TUMAHRI BAAT AUR HAI,

PYAAR AGAR UDHAAR HAI TO KAUN POORA KAR SAKA,
MOOL KI TO BAAT CHODO BYAAJ BHI NA BHAR SAKA,

YUN TO SAATH DENE KO HAZAARO HAATH AUR HAI,
TUM JO SAATH MEIN RAHO TUMHARI BAAT AUR HAI

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #28 on: November 29, 2008, 03:18:27 PM »
Reply with quote
Apne likhe ka humse woh jawab mangte hain
Mehfil-e-shayri me woh na jane kaunsa hisab mangte hain
Tu likhe main kahu wah wah main likhu tu kahe jo marzi teri
Haqeet bas itni hain jo main janu, aur aap logho se khwab mangte hain

                                -SG
Logged
chandulovs
Guest
«Reply #29 on: November 29, 2008, 03:19:59 PM »
Reply with quote
KUCH BHI NAHI

Socha nahin acha bura
Dekha suna kuch bhi nahin
Maanga khuda say har waqt...
Terey siwa..... Kuch bhi nahin.!

Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata....
Teri khata...... kuch bhi nahin.!

Jis par hamari aankh nay
Mooti bichaaye raat bhar
Bheja wahee kaghaz usay
Hum nay likha...... Kuch bhi nahin

Aur aik shaam ki dehleez per
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee baatein bohat
hotho say kaha.....kuch bhi nahin.!

Do chaar din ki baat hai
Dil khaak me mil jaaye ga
Aag per jab kaghaz rakha
Baaki bacha ....Kuch bhi nahin...!!!

chandu
bas yahi kahaani hai apni
kya sochoge aap,kuch v nahi......
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 11:24:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer