Chhupanaa bhi nahi aasaaN.... ParwaaZ

by ParwaaZ on October 12, 2012, 06:20:05 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2192 times)
ParwaaZ
Guest
Reply with quote
Ahel e bazm ko aadaab O salaam....!!!


Mili na manzil na saathi na rahguzar milaa, WahaaN hi ruk gaye hum jahaaN bhi shajar milaa, Diyaa usko humne sab kuch jise talab thi jiski, Aye Khudaa kyuN hume kuch dene wala na koi bashar milaa, Dil ki taNg galiyaaN aur bheed qayaamat kii, Kitna chaleNgi koii daastaaN phir mohobbat kii............. Usual Smile



Aik tazaa kalaam aap sab ki nazar... !






Chhupanaa bhi nahi aasaaN, Bataanaa bhi nahi aasaaN
Ye zakham e ishq hai pyare, Dikhaana bhi nahi aasaaN

Mohobat ko bayaN karna, zamane meiN KahaN mumkin
Ye likhnaa bhi nahi aasaaN, likhaana bhi nahi aasaaN

Ghadii bhar saath rahte haiN, charagoN ki taraH roshan
Bujhe woH jo diye dil keY, Bhulaana bhi nahi aasaaN

KaheN kaise bhalaa unse, kyu taNha taNha rahte haiN
Gazab dhaata ho jab koyiN, nibhaana bhi nahi aasaaN

Jo rishtoN kii nazaaqat hai, wo samjha hii nahi koyiN
Tute jab dil kisii kaa phir lagaana bhi nahi aasaaN

Jalaa kar dil tadap ne se, bhulaa kar chain lete haiN
Jo rootha ho koyiN khud se, Manaana bhi nahi aasaaN

Kate hai par pariNdoN keY, ude bhi toH bhalaa kaise
Ho keY Parwaaz ab hum ko, to jaana bhi nahi aasaaN

                   

Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 12, 2012, 06:48:52 PM »
Reply with quote
Ahel e bazm ko aadaab O salaam....!!!


Mili na manzil na saathi na rahguzar milaa, WahaaN hi ruk gaye hum jahaaN bhi shajar milaa, Diyaa usko humne sab kuch jise talab thi jiski, Aye Khudaa kyuN hume kuch dene wala na koi bashar milaa, Dil ki taNg galiyaaN aur bheed qayaamat kii, Kitna chaleNgi koii daastaaN phir mohobbat kii............. Usual Smile



Aik tazaa kalaam aap sab ki nazar... !






Chhupanaa bhi nahi aasaaN, Bataanaa bhi nahi aasaaN
Ye zakham e ishq hai pyare, Dikhaana bhi nahi aasaaN

Mohobat ko bayaN karna, zamane meiN KahaN mumkin
Ye likhnaa bhi nahi aasaaN, likhaana bhi nahi aasaaN

Ghadii bhar saath rahte haiN, charagoN ki taraH roshan
Bujhe woH jo diye dil keY, Bhulaana bhi nahi aasaaN

KaheN kaise bhalaa unse, kyu taNha taNha rahte haiN
Gazab dhaata ho jab koyiN, nibhaana bhi nahi aasaaN

Jo rishtoN kii nazaaqat hai, wo samjha hii nahi koyiN
Tute jab dil kisii kaa phir lagaana bhi nahi aasaaN

Jalaa kar dil tadap ne se, bhulaa kar chain lete haiN
Jo rootha ho koyiN khud se, Manaana bhi nahi aasaaN

Kate hai par pariNdoN keY, ude bhi toH bhalaa kaise
Ho keY Parwaaz ab hum ko, to jaana bhi nahi aasaaN

                   


NICE ONE
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: October 12, 2012, 08:05:20 PM »
Reply with quote
NICE ONE

Manoj Jee Aadaab!

bahut bahut shukriyaa janab.. Thanks for apriciate my work..
Keep visiting... Usual Smile

Khuda Hafez.. Usual Smile                   

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: October 12, 2012, 10:34:40 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause  bahut khoob Parwaaz ji... maine to aapke is peshkash ko us gaane me tone me gaa bhi liyaa...


chhipaana bhi nahi aataa, jataanaa bhi nahi aataa
humein tumse mohabbat hai, bataanaa bhi nahi aataa

One of my favourite songs... aapke is peshkash ko padh ke wo gaanaa yaad aa gayaa aur aapke is khoobsurat se peshkash ko us gaane ke dhun me gaa liyaa... bahut khoob likha hai aaapne...!!!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: October 13, 2012, 12:37:22 AM »
Reply with quote
Parwaaz bhaai main ye ghazal padh ke kitnaa khush huaa hoon bayaan naheen kar saktaa app bahut khush rahen dheron daad aur aur mubaarak baad agat mere bas men hotaa to har sher par rau detaa to bas ek hee denaa mere bas men hai filhaaal
Logged
ripan dev
Guest
«Reply #5 on: October 13, 2012, 02:29:52 AM »
Reply with quote
brilliant parwaz sahbh...

khush rahiye, aabad rahiye

likhte rahiye, sath rahiye  NaNaNa NaNaNa NaNaNa NaNaNa
Logged
soudagar
Guest
«Reply #6 on: October 13, 2012, 02:57:57 AM »
Reply with quote
LAJAWAB PARWAZ SIR BAHUT HI UMDA BEHTRAREEN QALAAM..........HAZARON DAAD AUR MUBARAKBAAD QABOOL FARMAYEIN..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #7 on: October 13, 2012, 03:13:37 AM »
Reply with quote
waaah parwaaz sahab bohut umda peshkash ek rau apke liye kabool kijiye
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #8 on: October 13, 2012, 03:21:31 AM »
Reply with quote
waaahh waaah bahut khub parwaazji...
 Applause Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #9 on: October 13, 2012, 03:24:23 AM »
Reply with quote
Parwazz bhai aadaab
Bahut bahut bahut khoob likha aapne.
Dil daad qubool farmaayen.
aapki shakshiyat se thoda hatkar hai ye kalaam, par aapne khoob likha, padhkar dil khush ho gaya..
aise hi likhte rahiye.. Applause Applause Applause
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #10 on: October 13, 2012, 04:51:13 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Deta hoon  dheron mubarkavad aapko aur  dil se deta hoon
Socha aur sochta hi raha ki apki tareef karoon to kaisse karoon
Kiya kiya likhoon  kiya na likhoon  agra likhoon to kiase likhoon
Parwaaz ji Magar jab likhne laga to laga  likhna nahin aasaan
Kiyon ki har sher itna tareef-e-kabil hai ki tareef karna nahin aasaan
Logged
khujli
Guest
«Reply #11 on: October 13, 2012, 05:58:32 AM »
Reply with quote
Ahel e bazm ko aadaab O salaam....!!!


Mili na manzil na saathi na rahguzar milaa, WahaaN hi ruk gaye hum jahaaN bhi shajar milaa, Diyaa usko humne sab kuch jise talab thi jiski, Aye Khudaa kyuN hume kuch dene wala na koi bashar milaa, Dil ki taNg galiyaaN aur bheed qayaamat kii, Kitna chaleNgi koii daastaaN phir mohobbat kii............. Usual Smile



Aik tazaa kalaam aap sab ki nazar... !






Chhupanaa bhi nahi aasaaN, Bataanaa bhi nahi aasaaN
Ye zakham e ishq hai pyare, Dikhaana bhi nahi aasaaN

Mohobat ko bayaN karna, zamane meiN KahaN mumkin
Ye likhnaa bhi nahi aasaaN, likhaana bhi nahi aasaaN

Ghadii bhar saath rahte haiN, charagoN ki taraH roshan
Bujhe woH jo diye dil keY, Bhulaana bhi nahi aasaaN

KaheN kaise bhalaa unse, kyu taNha taNha rahte haiN
Gazab dhaata ho jab koyiN, nibhaana bhi nahi aasaaN

Jo rishtoN kii nazaaqat hai, wo samjha hii nahi koyiN
Tute jab dil kisii kaa phir lagaana bhi nahi aasaaN

Jalaa kar dil tadap ne se, bhulaa kar chain lete haiN
Jo rootha ho koyiN khud se, Manaana bhi nahi aasaaN

Kate hai par pariNdoN keY, ude bhi toH bhalaa kaise
Ho keY Parwaaz ab hum ko, to jaana bhi nahi aasaaN

                  



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UPmy 1 rau is equvalent to 10 rau icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #12 on: October 13, 2012, 06:01:07 AM »
Reply with quote
Ahel e bazm ko aadaab O salaam....!!!


Kate hai par pariNdoN keY, ude bhi toH bhalaa kaise
Ho keY Parwaaz ab hum ko, to jaana bhi nahi aasaaN

                  



 waah waah bohut khoob parwaaz ji .. Thumbs UP Thumbs UP
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: October 13, 2012, 10:17:06 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause  bahut khoob Parwaaz ji... maine to aapke is peshkash ko us gaane me tone me gaa bhi liyaa...


chhipaana bhi nahi aataa, jataanaa bhi nahi aataa
humein tumse mohabbat hai, bataanaa bhi nahi aataa

One of my favourite songs... aapke is peshkash ko padh ke wo gaanaa yaad aa gayaa aur aapke is khoobsurat se peshkash ko us gaane ke dhun me gaa liyaa... bahut khoob likha hai aaapne...!!!


Kapil Jee Aadaab!


Bahut bahut shukriyaa janab... badi khushi ho rahi hai aapne is kalaam
ko usi tune meiN gaa kar bhi dekha.... Usual Smile

Jee yeH kalaam usi gaane ki theme meiN dhali hai... Usual Smile aapki is daad ne
dil baagh baagh kar diya janab.... Usual Smile

Aik baar phir se aapka tah e dil se shukriyaa janab..Usual Smile
Aate rahiye... saath banaye rakhiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: October 13, 2012, 10:22:13 AM »
Reply with quote
Parwaaz bhaai main ye ghazal padh ke kitnaa khush huaa hoon bayaan naheen kar saktaa app bahut khush rahen dheron daad aur aur mubaarak baad agat mere bas men hotaa to har sher par rau detaa to bas ek hee denaa mere bas men hai filhaaal

Saini Sahaab Aadaab!


Sir jee itni tareef .......  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Mere paas toH lafz bhi nahi ban rahe shukriyaa ke liye.. Usual Smile
Bahut bahut shukriyaa janab.. bus aise hi koshish kar lii ke bher baNd
kalaam pesh karuN haaN kuch waqt bahut zyaada dena pada hume is kalaam
ke liye... Usual Smile

Aur aap logoN ke taraf se mili yeH daad waqai dil ko lag gayi... Usual Smile
Aage bhi aapna saath banaye rakhiye... Usual Smile

Aate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye...
Khuad Hafez.... Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:27:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.194 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer