Chhupanaa bhi nahi aasaaN.... ParwaaZ

by ParwaaZ on October 12, 2012, 06:20:05 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2214 times)
ParwaaZ
Guest
«Reply #30 on: October 26, 2012, 08:56:10 AM »
Reply with quote
waah waah bohut khoob parwaaz ji .. Thumbs UP Thumbs UP

Sahal Jee Aadaab!

Bahut bahut shukriyaa janab.... aapki is houNsla afzai se
yakeenan likhane ki koshish kareNge... Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye.... aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #31 on: November 13, 2012, 11:23:11 AM »
Reply with quote
waah waah bohat khubsurat khyalat ko surat e ghazal kia aap ne parwaz ji ....bohat c daad .........


Laaibaa Jee Aadaab!


Is khoobsurat daad ke liye tah e dil se shukriyaa jee....
Aage bhi apnaa saath banaye rakhiye...

Aate rahiye... Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #32 on: November 13, 2012, 11:25:05 AM »
Reply with quote
parwaaz ji bahut khoob likha hai..............par itna khoobsurat likhna bhi nahin asaan..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

SaNgwaan jee Aadaab!


Bade dino baad aapse daad mili hai janab, bahut bahut shukriyaa...
Aage bhi apna saath banaye rakhiye... Usual Smile

Aate rahiye... Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #33 on: November 13, 2012, 11:32:13 AM »
Reply with quote
Ahel e bazm ko aadaab O salaam....!!!


Mili na manzil na saathi na rahguzar milaa, WahaaN hi ruk gaye hum jahaaN bhi shajar milaa, Diyaa usko humne sab kuch jise talab thi jiski, Aye Khudaa kyuN hume kuch dene wala na koi bashar milaa, Dil ki taNg galiyaaN aur bheed qayaamat kii, Kitna chaleNgi koii daastaaN phir mohobbat kii............. Usual Smile Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP



Aik tazaa kalaam aap sab ki nazar... !IRSHAAD laughing4 laughing4






Chhupanaa bhi nahi aasaaN, Bataanaa bhi nahi aasaaN
Ye zakham e ishq hai pyare, Dikhaana bhi nahi aasaaN
maine dekha hai kahin bhi zakhm nahin hai. jhoot-moot ka bandage kiya hua hai. mujhe hamdard apna banaane ke liye. khair acha hi hai Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Mohobat ko bayaN karna, zamane meiN KahaN mumkin
Ye likhnaa bhi nahi aasaaN, likhaana bhi nahi aasaaN
to phir ye kisne likha hai tumhaare bhoot ne .itna ro-ro kar tadp tadap ke byaan kar rahe ho kahaan se seekha hai. mujhe to fursat nahin shayad saini ji ne ya fazal sahab se seekha hoga icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek
Ghadii bhar saath rahte haiN, charagoN ki taraH roshan
Bujhe woH jo diye dil keY, Bhulaana bhi nahi aasaaN
diya to roz shaam mein tum jalaate ho ab kya hua toofaan diya udaa kar le gaya kya icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
KaheN kaise bhalaa unse, kyu taNha taNha rahte haiN
Gazab dhaata ho jab koyiN, nibhaana bhi nahi aasaaN
ab maine kya ghazab dhaya tum pe. bus ek tirchi nazar se hi to dekha tha tumhein mehfil mein aur wahin behosh ho gaye tum bada hangaama hua tha ...na uss din. Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Jo rishtoN kii nazaaqat hai, wo samjha hii nahi koyiN
Tute jab dil kisii kaa phir lagaana bhi nahi aasaaN
kisne kaha toota dil to jud jataa hai haan sheeshe mein zaroor daraa aa jaataa hai..samjhe. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
Jalaa kar dil tadap ne se, bhulaa kar chain lete haiN
Jo rootha ho koyiN khud se, Manaana bhi nahi aasaaN
kyon roothe ho mere mehboob. main to tumhaare saamne hoon.lakin main koi gudia nahin ki chabhi bhari aur hukum maan ne lagi. main bhi insaan hoon.zaroori nahin tumhaari har baat maanoo. samajh gaye tum icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
Kate hai par pariNdoN keY, ude bhi toH bhalaa kaise
Ho keY Parwaaz ab hum ko, to jaana bhi nahi aasaaN

to yahin raho na mere ghosle mein jaane ki kya zaroorat hai kya koi aur kabootri tumhara intezaar kar rahi hai auranga baad mein Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

                   


[/quote]

oye ohye aaj kaya hogaya janaab ko bade diljale nazar aa rahe ho ji.....! ab taari-wwarif karne ke liye mat kahna --rau due hai kal doon gi

oye ohye aaj kaya hogaya janaab ko bade diljale nazar aa rahe ho ji.....! ab taari-wwarif karne ke liye mat kahna --rau due hai kal doon gi



Shebaa Sahibaa Aadaab!


Allaah is balaa ko kia kahuN....   Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More
Tareef ka shukriyaa toH adaa nahi kar pauNga jee, par aapki yeH adaa behad
khoob hai.... Usual Smile

Iske liye tah e dil se hazaaroN baar shukriyaa dear... Usual Smile
But mehfil ki roshni meiN kami laa kar kahaaN gum ho gayi jee... Usual Smile

Aati rahiye... Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #34 on: November 13, 2012, 11:33:52 AM »
Reply with quote
Aadaab Parwaaz Ji

Bahut Khub Kalam Kahi Hai Janab Dili Daad Aur Mubarakbaad Kabul Kareen Applause Applause Applause Applause


Sanjeev Jee Aadaab!


bahut bahut shukriyaa janab, aapki daad sar aaNkhoN par janab...
Aage bhi apna saath banaye rakhiye...

Aate rahiye... Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #35 on: November 13, 2012, 11:39:35 AM »
Reply with quote
Ahel e bazm ko aadaab O salaam....!!!
aadab Parwaaz Bhaai

Mili na manzil na saathi na rahguzar milaa, WahaaN hi ruk gaye hum jahaaN bhi shajar milaa, Diyaa usko humne sab kuch jise talab thi jiski, Aye Khudaa kyuN hume kuch dene wala na koi bashar milaa, Dil ki taNg galiyaaN aur bheed qayaamat kii, Kitna chaleNgi koii daastaaN phir mohobbat kii............. Usual Smile



Aik tazaa kalaam aap sab ki nazar... !






Chhupanaa bhi nahi aasaaN, Bataanaa bhi nahi aasaaN
Ye zakham e ishq hai pyare, Dikhaana bhi nahi aasaaN
SuperB
Mohobat ko bayaN karna, zamane meiN KahaN mumkin
Ye likhnaa bhi nahi aasaaN, likhaana bhi nahi aasaaN
ApplauseApplause
Ghadii bhar saath rahte haiN, charagoN ki taraH roshan
Bujhe woH jo diye dil keY, Bhulaana bhi nahi aasaaN
Ye sher to hasil-ae-gazal rahaa
KaheN kaise bhalaa unse, kyu taNha taNha rahte haiN
Gazab dhaata ho jab koyiN, nibhaana bhi nahi aasaaN
beautifull
Jo rishtoN kii nazaaqat hai, wo samjha hii nahi koyiN
Tute jab dil kisii kaa phir lagaana bhi nahi aasaaN

kya kahne janaab.

Jalaa kar dil tadap ne se, bhulaa kar chain lete haiN
Jo rootha ho koyiN khud se, Manaana bhi nahi aasaaN
kamaal kar diya bhaai
Kate hai par pariNdoN keY, ude bhi toH bhalaa kaise
Ho keY Parwaaz ab hum ko, to jaana bhi nahi aasaaN
simply SuperB gazal
                   


[/quote]


Masoom Pyaare aadaab!


Bahut bahut shukriyaa janab... is khoobsurat daad ke liye...
Aur hasil e gazal waale ashaar ko aapne samjha badi khushi
huyi... Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye... aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #36 on: November 14, 2012, 09:06:13 AM »
Reply with quote
Ahel e bazm ko aadaab O salaam....!!!


Mili na manzil na saathi na rahguzar milaa, WahaaN hi ruk gaye hum jahaaN bhi shajar milaa, Diyaa usko humne sab kuch jise talab thi jiski, Aye Khudaa kyuN hume kuch dene wala na koi bashar milaa, Dil ki taNg galiyaaN aur bheed qayaamat kii, Kitna chaleNgi koii daastaaN phir mohobbat kii............. Usual Smile



Aik tazaa kalaam aap sab ki nazar... !






Chhupanaa bhi nahi aasaaN, Bataanaa bhi nahi aasaaN
Ye zakham e ishq hai pyare, Dikhaana bhi nahi aasaaN

Mohobat ko bayaN karna, zamane meiN KahaN mumkin
Ye likhnaa bhi nahi aasaaN, likhaana bhi nahi aasaaN

Ghadii bhar saath rahte haiN, charagoN ki taraH roshan
Bujhe woH jo diye dil keY, Bhulaana bhi nahi aasaaN

KaheN kaise bhalaa unse, kyu taNha taNha rahte haiN
Gazab dhaata ho jab koyiN, nibhaana bhi nahi aasaaN

Jo rishtoN kii nazaaqat hai, wo samjha hii nahi koyiN
Tute jab dil kisii kaa phir lagaana bhi nahi aasaaN

Jalaa kar dil tadap ne se, bhulaa kar chain lete haiN
Jo rootha ho koyiN khud se, Manaana bhi nahi aasaaN

Kate hai par pariNdoN keY, ude bhi toH bhalaa kaise
Ho keY Parwaaz ab hum ko, to jaana bhi nahi aasaaN

                  



Parwaaz saheb , kaise tareef karun aur kitni tareef karun,samajh nahi aata.Bahut, bahut, bahut khubsurat kalaam hai. Aisi ghazlein kis locker mein chhupa ke rakhte hain.Aisi ghazlon per aam meyaar ke mutabiq 10 + rau bante hain . Lekin is paimaane ka main qaail nahi.Is liye,sirf tah e dil se daad aur duaaein  pesh hain.Khuda aapke qalam mein rawaani banaaye rakkhe.Kuch majbooryon ke tahat main baahar thha aur aaj hi is kalaam per nazar padi.Muazrat hai.Duago,Hasan
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #37 on: December 08, 2012, 10:14:56 AM »
Reply with quote
kya baat hai parwaz bhai, behad umda kalaam hai, har ek shair aapke waqar ka aaina hai, dilfareb andaz, dil nashheeN KHAYAL, AUR UMDA ADAEYGI, guzarish hai , jaldi jaldi aisi ghazleN post kiya kareN.taki hum jaise log kuch sikh sakeN.. dherron Daaad qubool kareN aur e rau bhi...


Aarish Sahaab Aadaab!


Janab itni tareef ... Allaah mera hazmaa kharab hai janab...  icon_geek
Janab aapki is umda tareef O houNslaa afzaai ke liye hum tah e dil se
mashkoor O mamnoon hai... Usual Smile

Bhai maiN itna bad shayar nahi huN ke aap mujhse kuch sikh sake... sad5 mujhe aik
bher baNd kalaam ko pura karne meiN mahine lag jaate haiN... kyuN ke meri
bher par pakad utni nahi hai.... aur aap aisi guzarish kar ke mujh pe zulm
na kijiye...  icon_geek


Khair aapke is tareef ke liye phir se aik baar shukriyaa...
Allaah aapko shaad O aabaad rakhe ...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #38 on: December 08, 2012, 10:16:50 AM »
Reply with quote
bahut khoob, dhero dad


Nand Bahut jee Aadaab!


bahut bahut shukriyaa janab aapka... aapne apna kimti waqt is
kalaam par diyaa aur hoNslaa afzai kii...

Hum aapke tah e dil se shukra guzaar haiN janab... aage bhi apna
saath banaye rkahiye...

Aate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #39 on: December 08, 2012, 10:20:14 AM »
Reply with quote
Jalaa kar dil tadap ne se, bhulaa kar chain lete haiN
Jo rootha ho koyiN khud se, Manaana bhi nahi aasaaN

Waah Bahut Khoob  Applause Applause


Saraswat Jee Aadaab!


Bahut bahut shukriyaa janab... aapko apni kalaam par
dekhkar behad khushi huyi... Usual Smile

Aapki is tareef O hoNslaa afzai ke liye hum aapke tah e
dil se shukra guzar hai... Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye..
aate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
Intezar
Guest
«Reply #40 on: December 13, 2012, 08:24:21 AM »
Reply with quote
kya khoob kaha hai... maqta to bahut khoob ...
Kate hai par pariNdoN keY, ude bhi toH bhalaa kaise
Ho keY Parwaaz ab hum ko, to jaana bhi nahi aasaaN

beshak hai teri ruswaayian hazaar yahaan parwaaz...
magar khwabon ke parindo ko qaid karna bhi nahi aasaan...

Intezar !

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #41 on: December 13, 2012, 08:34:37 AM »
Reply with quote
Parwaaz saheb , kaise tareef karun aur kitni tareef karun,samajh nahi aata.Bahut, bahut, bahut khubsurat kalaam hai. Aisi ghazlein kis locker mein chhupa ke rakhte hain.Aisi ghazlon per aam meyaar ke mutabiq 10 + rau bante hain . Lekin is paimaane ka main qaail nahi.Is liye,sirf tah e dil se daad aur duaaein  pesh hain.Khuda aapke qalam mein rawaani banaaye rakkhe.Kuch majbooryon ke tahat main baahar thha aur aaj hi is kalaam per nazar padi.Muazrat hai.Duago,Hasan


Siddiqui Sahaab Aadaab!


Bahut bahut bahut shukriyaa sahaab... kin lafzoN meiN aapki is paazirai ka
shukriyaa adaa karuN samjh meiN nahi aa raha ... Usual Smile
Aapne is naacheez ki itni tareef kar dii ke dil khushi se jhoom raha hai
mera.. Usual Smile

Aapki daad O hoNslaa afzai sar aaNkhoN par Siddiqui Sahaab.... Aage bhi
apna saath banaye rakhiye... Usual Smile
Allaah aapki umar daraaz kare...

Shaad O aabaad rhaiye...
Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #42 on: January 29, 2013, 10:18:34 AM »
Reply with quote
kya khoob kaha hai... maqta to bahut khoob ...
Kate hai par pariNdoN keY, ude bhi toH bhalaa kaise
Ho keY Parwaaz ab hum ko, to jaana bhi nahi aasaaN

beshak hai teri ruswaayian hazaar yahaan parwaaz...
magar khwabon ke parindo ko qaid karna bhi nahi aasaan...

Intezar !




Sitaab Sahaab Aadaab!


KahaaN gum haiN janab aajkal.. ?
Aap bhi kamaal ho yaar... aik nahi teen teen jagaaH attached hai
phir bhi nazaroN se gayab... ?

Khair ummid hai jaldi hi bazm meiN haazri lagayeNge aap.. Usual Smile

bahut bahut shukriyaa janab is houNsla afzaai ke liye... aur aapka sher
bhi khoob raha daad... Usual Smile

aage bhi apna saath banaye rakhiye.. shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:04:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer