Daastaan-e-ghum

by baazigar2008 on July 29, 2008, 06:39:32 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1203 times)
baazigar2008
Guest
Reply with quote
tujhse rooth ke dil bezaar tho huva hai,
lekin tujhey bhi dil tord ke mera kya mila hai,
kehtey hain loug ke bhar jaatey hain zakhm waqt ki marhum se,
lekin mera yeh zakhm tho bina chout ke mila hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
baazigar2008
Guest
«Reply #1 on: July 29, 2008, 06:53:59 PM »
Reply with quote
Kartey rehna tujhai yaad ab aadath si ho gayi hai,
din raat yeh gunaah karna ab faryaad si ho gayi hai,
tujhai na parwa thi na hai na hogi,
par gila na karoonga " KHUDA " se bhi ke teri jafa wafa si ho gayi hai.
Logged
baazigar2008
Guest
«Reply #2 on: July 29, 2008, 07:34:59 PM »
Reply with quote
Teri yaad se dil aabaad kar liya hai,
teri berukhi ko bhi bardaasht kar liya hai,
kya kami thi meri mohabbath mein ab tu hi bataa aye "KHUDA",
maine tho harr duwaa mein uska naam shamil kar liya hai.
Logged
baazigar2008
Guest
«Reply #3 on: July 29, 2008, 07:46:18 PM »
Reply with quote
Toot kar bhi yaad usiko karta hai dil,
jaankar bhi anjaam khataa karta hai dil,
kaise samjhaoon mere jazbaath isey,
ke wafaa karke kyoun jafaa sehtaa hai dil.
Logged
baazigar2008
Guest
«Reply #4 on: July 29, 2008, 08:36:09 PM »
Reply with quote
Tuney inkaar kar diya koi baath nahin
dil mera tord diya koi baath nahin,

harr saans meri duwaa mein shaamil hai tere liye
chahey iska sila miley na miley koi baath nahin

aawaaz detha raha tahaiyoun mein bhi mai
aahat bhi na aayi teri koi baath nahin,

toot kar bikhra tha jab sheesha-e-dil
tuney usmein dekha na aks tera koi baath nahin,

uthi jab maiyath meri ittefaq se guzra teri gali se janaaza mera
uss waqt bhi na thi aankhein num teri koi baath nahin,

Tuney inkaar kar diya koi baath nahin
dil mera tord diya koi baath nahin.


                           "Baazigar2008" sirf mera takhalloos hai Naam nahin  " agar yeh meri ghazal aap logoun ko pasand aayi ho tho mai samjhoonga ke mera daastaan-e-bayaan zaaya na huwa " { ALLAH } rehem kare hum sab par shukriya.





Logged
baazigar2008
Guest
«Reply #5 on: July 29, 2008, 09:11:54 PM »
Reply with quote
Kyoun naseeb mein mere kisi ka pyaar nahin
tadapta raha hoon zindagi bhar ke ik pal bhi mila qaraar nahin,

harr kisiko mila hai koi na koi apna
mera hi kyoun koi humraah nahin,

ab tho saaya bhi chord chuka hai daaman mera
kya mere koi jazbaath nahin,

mehfil bhi ab tho azaab si lagti hai
ke tanhaaiyaan bhi mere saath nahin,

thokarein hi thokarein khayee hain harr manzil ki jaanib
ab tho zakhmoun ke liye bhi jagah nahin,

muskurakar ab tho harr dard ko apna leta hoon
ke iske alaava koi asbaab bhi nahin,

kyoun naseeb mein mere kisika pyaar nahin
tadapta raha hoon zindagi bhar ke ik pal bhi mila qaraar nahin.
Logged
baazigar2008
Guest
«Reply #6 on: July 29, 2008, 09:58:49 PM »
Reply with quote
Harr khwaab ki taabeer ko tera tassavur bana liya
tere jaanib miley sab zakhmoun ko naasoor banaa liya
teri khushi ke liye harr ghum kabool hain mujhey
isliye tere inkaar ko bhi jeeney ka sahaara bana liya
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #7 on: July 29, 2008, 10:08:14 PM »
Reply with quote
Hello Baazigar
Its good you are sharing your post but you should take care about certain things..
like..
Always start new thread for a new poem, it will make easy for people to keep track of your poems.

Secondly, Always try to post your own creations, if you are sharing other's work then do mention source / name of poet, if you dont know then tell that its not yours by "Note Mine" or NM

Lastly, post in right section, here you have posted urdu / hindi poem in English section! This makes hard for Monitors as well members to find appropriate poems to read and comment upon.
Now I am moving it Shayari-dard-e-bewafai as It fits there as per your first post.
Logged
baazigar2008
Guest
«Reply #8 on: July 29, 2008, 10:21:15 PM »
Reply with quote
Tu khush rahe "KHUDA" se iltija hai meri
yahi duwaa harr baar hai meri,
aye kaash aisa bhi ek din aaye teri bekhayaali se
ke aajaaye tujhai bhi yaad meri.

These are all my creations & posts right through my heart what i'have gone through & by "ALLAH's" grace. If i post anyone thoughts i will certianly specify their Names. By the way thankyou for the reminder.
Logged
baazigar2008
Guest
«Reply #9 on: July 29, 2008, 10:49:51 PM »
Reply with quote
Tuney jab thukraaya tho ehsaas ko bhi ek ehsaas aaya
aur woh dard mila jho kisi dawa ke kaam na aaya,
tabhi fariyaad nikli dil se ke tu na guzre iss daur se kabhi
ke deke kisiko badduwa kisine paaya tho kya paaya.
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: July 30, 2008, 01:35:12 AM »
Reply with quote
wah wah...bahut khoob Baazigar ji..


Na kasoor tumara hai na hai kasoor uska
Muqaddar likha hai ashqon ki roshanayi se

Juda pehle huwe aur aaj bhi
Muqaddar likha hai mehej bewafayi se
Logged
sidushale
Guest
«Reply #11 on: July 30, 2008, 02:44:26 AM »
Reply with quote
wow baazigar u r good..
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #12 on: July 30, 2008, 11:29:12 AM »
Reply with quote
Baazigar sahab  Jub...aap Bazigar Ho Hi To Aapki POst Bhi To Bazigar Hongi..!!!

Yuhin Yoindia aate Raho...Aur Server Admin Se Jo advice ya suggestion diya hai 100 % correct Hai...

Bas aap aise Hi Sahih Jagaah POst Karte Raho..aapka kalaam rafta rafta Yoindia Me Mashhoor Ho Jaayega..INsha allah

 
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:11:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer