dil_hi_jeetega
Guest
|
Beete zamane ki baaton ko Kahin peeche dafan kar do Meri ruh bhi uth na paye Aisa koi kafan kar do Aakhon mein ab uska chehra In aakhon ko band kar do Saanse uske naam se chalti Is fiza mein zaher bhar do Karo kuchh aisa main sab bhool jayun Ya phir agle pal hi is dhool mein mil jayun.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #1 on: January 15, 2008, 08:46:12 PM » |
|
wah kaya baat hai.. bahoot dard hai apki shayri main.. good creation DHJ ji!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dil_hi_jeetega
Guest
|
|
«Reply #2 on: January 15, 2008, 09:03:21 PM » |
|
Thx Pooja.....per kabhi nahi socha tha ki haalat itna dard denge !
Regards.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #3 on: January 15, 2008, 09:13:35 PM » |
|
toota dil rooh torr jaata hai bana banaya khayalo ka gharonda Rond jaata hai dafan hi ho jaate armaan, befaai ke jhonke se Umar-bhar ke liye, zakh-o-Nishan chor jaata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dil_hi_jeetega
Guest
|
|
«Reply #4 on: January 15, 2008, 09:38:56 PM » |
|
Bahut Khoob !
Kaash meri umr bas itni ho jaye.... Abhi aasoon bhi na sookhen.....aur ye poori ho jaye.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #5 on: January 15, 2008, 09:47:09 PM » |
|
do line mai itna dard bayan kar gaye app to...
bahoot khoob DHJ ji!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dil_hi_jeetega
Guest
|
|
«Reply #6 on: January 15, 2008, 09:54:18 PM » |
|
Aap logon ke aage apni kya bisaat.
Thx Pooja ji.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #7 on: January 15, 2008, 09:56:38 PM » |
|
dard hai dard yah kisi se bada chota nahi hota likhte hai dard yaha, jise sehna her kisi ke bas ka nahi hota
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dil_hi_jeetega
Guest
|
|
«Reply #8 on: January 15, 2008, 10:03:14 PM » |
|
Har kisi ke bas ka nahi hota....manta hum main Hai khuda bhi kitna kamzor....jaanta hun main Hota usmein itna jigar toh yun na dekhta Hamari jagah khud is jasbe ko jee ke dekhta.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #9 on: January 15, 2008, 10:12:36 PM » |
|
wah kaya baat hai...
hai jis main jajba sahne ka wo hi to yah dukh paata hai her kisi ke hisse main kaha yah payar atta hai
khilte hai wo hi dil jinko murjhana atta hai kar le shikayat tu bhi khuda se agar issi mai tujhko, sabar atta hai!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #10 on: January 15, 2008, 11:25:26 PM » |
|
Nice Jeet ji and pooja di.. lovely lines both of u
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #11 on: January 15, 2008, 11:26:31 PM » |
|
Aashiqon ki baradi ka jashn kuch aisa hota hai Zamana un per hasta hai aur Khuda un per rota hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #12 on: January 15, 2008, 11:28:10 PM » |
|
khuda kaise ro sakta hai yah dard ussi ka diya hota hai zamane ki jab thokar lagati hai dard kitna tanha hota hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #13 on: January 16, 2008, 01:38:53 AM » |
|
Sab kuch loot kar khali kar diya aaj "Roja" ko Magar abhi bhi chain nahi hai is zalim zamane ko
Jo mere lahoo ke katron per bhi nazar jamaye hai Apne ghar ki sunhari rangoli sajane ko
Kaat dala mere armano ko kisee kasayi ki mafiq Khud hi dikhaye raah-e-kaja khud hi aaye hai bachane ko (kaja = maut)
Lootne ke baad sab mera kehte ab bhi karz bakhi hai Ab jaan hi bachi hai pass mere bakhi ka karz chukane ko
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dil_hi_jeetega
Guest
|
|
«Reply #14 on: January 16, 2008, 05:35:14 AM » |
|
Ab aur yun akele roya nahi jaata... Kaash koi apne daaman mein samet le...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|