dard hi sahi

by majid on February 18, 2006, 06:36:22 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2953 times)
majid
Guest
Reply with quote
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya,
Khali hi sahi haathon me jaam to aaya.

Main hoon bewafa sabko bataya usne.
Yun sahi,uske labon pe mera naam to aaya.

Ishq kiya main usse har hadd se jyada,
Ishq na sahi,par dard wo tamam to aaya.

Tu to meri ho na saki is janam me kabhi,
Tu na sahi,paas maut ka mukaam to aaya.

Jeete ji mera ishq to humesha se tha nakara,
Maut pe sahi,uski khushi ke kaam to aaya.

Jeevan bhar sabne kiya mujhko “ghayal”,
Janaze pe sahi,saath mere aawaam to aaya.;;;;;(n/m)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pas aao to sahi............ by Raj_tanha in Shayri-E-Dard
Ek Kahaani Dard Ki Au Sahi,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ghazal:Mujhse pucho ki sahi dard kahan hote hain! by khalidrawat in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard hi sahi by liyakat in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 23, 2006, 05:15:51 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai majid.. bahoot khoob!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: February 26, 2006, 07:02:57 AM »
Reply with quote
aise baat nahi hai ki apki kisi ko samjh mai nahi atti..shayad kisi ne yah post dekhi hi nahi hogi... app bahoot ach alikhaty hai..likhaty rahe koi jawab de ya na de...Usual Smile
Logged
Noor Fathe
Guest
«Reply #3 on: February 27, 2006, 12:03:17 PM »
Reply with quote
Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
   Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye
   
   Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
   Main Tanha Gunahgar To Nahi
   
   Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
   Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai
   
   Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
   Qadam mila ke jo hamare saath aap chali
   
   Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
   Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai
   
   Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
   Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi
   
   Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
   Magar kya karain apni rahain juda hain
      
   Saamne baithe raho dil ko qaraar aa'aegaa
   Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa'aegaa
   
   Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana hai
   Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai
   
   Hai kuch baat mo-min jo chaa gaye khamoshi
   Kis bout ko de diya dil, kyon bout se ban gaye ho
      
   Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao
   Itna ruk ruk ke chalogi to qayamat hogi
   
   Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Bujh jaya Karte Hai
   Aur ek hum hain jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai
Logged
LOVE_MINJAL
Guest
«Reply #4 on: April 06, 2006, 05:26:29 AM »
Reply with quote
hamane bhi kisise pyar kiya tha,
usaki raho me intzaar kiya tha,
kya pata bhool jaayenge hame,
kasoor unaka nahi hamaara hai,
ki hamane ek bewafa se pyar kiya tha...
Logged
sweety pie
Guest
«Reply #5 on: April 08, 2006, 01:01:04 PM »
Reply with quote
lovelly writing majid keep it up!!!
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #6 on: April 09, 2006, 07:54:38 AM »
Reply with quote
SubhanaALLAh..bahut hi acha likha hai..majid keep it up
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #7 on: April 09, 2006, 07:56:36 AM »
Reply with quote
Ab dard bhi poochta hai yeh dard kaha se aaya
mere hote huye teri aankhon ko kisne rulaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: April 11, 2006, 02:09:44 AM »
Reply with quote
good job Anjum and majid
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: April 11, 2006, 03:58:14 PM »
Reply with quote
ok ji, jaise app kahe!!

Dard se dil ka rishta, kabhi samjh nahi ayya
Dard se ashqo ka rishta, kabhi samjh na ayya
Ashaqo se jakhmo ka rishta kabhi samjh na ayya
In sab se mera rishta, tune hi to hai karwaaya!!!
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #10 on: April 18, 2006, 11:09:37 AM »
Reply with quote
bahut khoob..pooja ji
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #11 on: April 18, 2006, 11:10:46 AM »
Reply with quote
Ghum se maine khushi ka ehsas kar liya
jo dard mujh se door tha use paas kar liya
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #12 on: April 21, 2006, 05:42:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya,
Khali hi sahi haathon me jaam to aaya.

Main hoon bewafa sabko bataya usne.
Yun sahi,uske labon pe mera naam to aaya.

Ishq kiya main usse har hadd se jyada,
Ishq na sahi,par dard wo tamam to aaya.

Tu to meri ho na saki is janam me kabhi,
Tu na sahi,paas maut ka mukaam to aaya.

Jeete ji mera ishq to humesha se tha nakara,
Maut pe sahi,uski khushi ke kaam to aaya.

Jeevan bhar sabne kiya mujhko “ghayal”,
Janaze pe sahi,saath mere aawaam to aaya.;;;;;(majid) :cry:
Kuch Log Mohobbat ko ghum samajhte hain...Kuch Log Mohobbat ko ghum samajhte hain.
Jo ghum samjhte hain wo bahut kum samjhte hain.
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #13 on: April 21, 2006, 05:52:23 AM »
Reply with quote
very good  all....

tu na sahi teri yaad sahi
tera saath na sahi
tera dard hi sahi
ye kaise rishta hai
tere payar ka
aur mere aansuo ka.........
Logged
farooq_4_u
Guest
«Reply #14 on: April 21, 2006, 04:51:02 PM »
Reply with quote
SATH DIL KAY CHALAY DIL KO NAHIN ROKA HUM NAY.......
JO NA APNA THA USAY TOOT KAY CHAHA HUM NAY.........
IK DHOKAY MAIN KATI UMAR HAMARI SARI KIA BATAIN.....
KUCH HOSH HI NAHI KISAY PAYA KISAY KHUYA HUM NAY....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:24:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer